49.Revealing Old Secrets

235 1 0
                                    

Revealing Old Secrets

Episode 49
Bakiyo ki tarah wo xemus-wasi bhi zetron ki tarah hi dikhta tha lekin ek khaas antar jo vayun aur baki xemus-walo mai tha wo ye ki uski awaaj kafi saaf aur sadhi hui thi bilkul insano ki tarah warna waha baki sab ki awaaj ekdum thandi aur sarsarati huyi thi.
''Tum logo ko to malum hi hoga 'consulate' ka aadesh hai ki sirf hamlawar planets ke guardians hi tum logo ko training de sakte hai??'' Vayun ne kaha.
''Jiii....'' sabne kaha.
''To theek hai.. tum logo ki training ab se theek 5 ghante baad shuru hogi.. aur mai tum logo ko bata du ki ye training bahut hi... bahut hi mushkil hone wali hai.. isliye khud ko mansik aur sharirik roop se jitna ho sake taiyar karlo.. ho sakta hai ki shayad tumhe afsos ho ki tumhe akhir kyu chuna gaya.. so be prepared...'' vayun ne bataya to sabki halat training shuru hone se pehle hi kharab hone lagi.

Itna kehkar wo dono waha se chale gaye aur in sabki halat patli kar gaye.
''Abe yar.. aisa kya karane wale hai ye log humse?? Mujhe to abhi se dar lag raha hai..'' sarang gaurav se bola.
''Mujhe kya pata bhai.. aur dar to mujhe bhi lag raha hai..'' gaurav ne jawab diya.
''Jo hoga kal dekh lenge.. lekin mujhe to ladkiyo ki fikra ho rahi hai.. mujhe nahi lagta ye log ladkiyo se bhi koi narmi dikhane wale hai..'' nikunj ne neha ka hath pakadte huye kaha.
''Aisa mat kaho.. mujhe bahut dar lag raha hai..'' neha ne usse chipakte huye kaha.
''Daro mat.. mai hu na.. mai apni jaan ko aur apne bachhe ko kuch nahi hone dunga..'' nikunj ne use pyar se puchkarte huye kaha.

Yu hi baatein karte huye waqt beet gaya kyuki neend to ankho se koso door thi. Theek 5 ghante baad vayun aur zetron unke kamre mai phir se aaye.
''Kaise ho sab log.. ummeed hai tum log taiyar honge.. tumhari training ab shuru hoti hai.. mere peeche aao..'' vayun ne kaha aur zetron ke sath kamre se bahar nikal gaya.
Aadesh sunkar sab log turant vayun ke peeche chalne lage. Vayun aur zetron kafi der tak chalte rahe aur uske peeche peeche wo 6 bhi.
Kafi der tak chalne ke baad vayun aur zetron ek dome jaise room ke aage ruk gaye. Waha gate par vayun ne hawa mai ek baar hath uthaya aur kuch apni bhasha mai bola. Uske bolte hi gate khul gaya aur wo log andar aa gaye. Ye kamra bhi zetron ke control-room jaisa hi tha. Lekin yaha mushkil se 1 ya 2 control boards the aur screen to thi hi nahi.
''Ye mera control-room hai.. har xemus-guardian ka apna ek control-room hota hai jo unke planet ke sath sath is wale aur baki kayi sare universes se connect rehta hai.. ye room guardian ke planet ki tech-grade ke hisab se hi upgrade hota hai..'' Vayun ne andar aakar kaha.
''Baki universessss???? Aur kitne universe hai????'' Gaurav ne ashcharya se poocha.
Gaurav ke sawal par vayun ne pehle zetron ko dekha aur phir kaha, ''lagta hai zetron ne abhi bhi tumhe sab kuch nahi bataya hai.. phir to tumhe ye bhi nahi malum hoga ki aaj tak inter-dimensional travel tumne sirf ek baar kiya hai jise tum time-travel bhi kehte ho.. aur ye bhi ki nikunj aur nikhil kisi dusre dimension se nahi balki dusre universe se hai..'' ek-ek karke vayun ne wo sare raaj khol diye jo niberu ne unhe bhavishya mai bataye the aur jinhe wo bhool chuke the siway nikunj ke jise bahut hi halka sa yaad tha magar ye baatein to wo bhi bhool chuka tha. Vayun ki baat sunkar nikunj ke ilawa gaurav aur kawya ko bhi laga ki ye sab unhone kahi na kahi suna hua hai lekin kaha ye yaad nahi.
Vayun ki poori baat sunkar sabke dimag ki batti gul ho gayi. Jise wo aaj tak inter-dimensional travel samajh rahe the wo to asliyat mai inter-universe travel tha.
''Lekin zetron ne humse ye baat chupayi kyu??'' Nikunj ne poocha.
''Kyuki ye maan-na ki is duniya mai insaan akela nahi hai tum logo ke liye bahut kathin hai.. phir anginat universes hone ki baat maan-na to tum logo ke liye namumkin hai.. jante ho ye universe kitna bada hai?? Itna ki agar ise prithvi jitna maan liya jaye to tumhari milky-way ka size kisi atom ke bhi 1000 karod-ve hisse jitna hoga.. aur milky-way ko agar prithvi jitna maan le to prithvi ka size kisi neutron ke 10 hazar-ve hisse jitna hoga.. itna bada hai ye universe lekin iske bahar iske jitne hi aur anginat universe hai.. wo portal jo tumhe is duniya se is duniya mai le jata hai wo darasal ek normal darwaze ki tarah hai us duniya mai jane ka.. kyuki sabhi universe ek seedhi line mai chalte hai.. 2 universe ke beech mai kuch nahi hai.. na koi jagah.. na samay aur na hi kuch aur.. yu samajh lo ki tum ek galiyare mai khade ho jaha anginat darwaze hai.. tum ek darwaze ko kholkar usme jate ho to waha ek aur galiyara milta hai bilkul pehle wale jaisa.. yahi hai inter-universe travel.. ise samajhne ke liye jitna gyaan chahiye wo abhi ke insano ke bas ki baat nahi hai.. isliye tumse ise chupaya gaya..'' zetron ne ek lambi-si speech mai multi-universe ko samjhaya.
Uski baatein kisi ke samajh nahi aayi. Aati bhi kaise kyuki ye itni jyada pechida aur gehri thi ki inko samajhna gaurav aur nikunj jaise geniuses ke bhi bas ke bahar tha.
''To wo 60 din ki limit kya thi??'' Sarang ne poocha. Aaj zetron sabhi jawab dene ke mood mai tha isliye sab ke man mai se sawal nikal rahe the.
''Wo bhi jhooth tha..'' zetron ne kehte huye apna hath hilaya to IDT gaurav ki jeb se nikalti huyi uske hath mai samane lagi.
''Ye device tumhe inter-universe travel karata tha.. aur jaisa ki tum jante ho sabhi universe ek jaise hote huye bhi alag hote hai.. dusre universe ke xemus walo ke apne niyam-kayde hai.. unki izazat se hi tumhe waha jane diya gaya lekin is shart par ki tum 60 din se jyada waha nahi rukoge..'' zetron ne jawab diya.
''To ye log mere dimen.... matlab mere universe mai kaise aaye???'' Abki baar sawal nikunj ka tha.
''Ye sahi hai ki tumhare dimensiona mai inka jana ek kamal hi tha.. waha jane ki inhe izazat nahi thi.. lekin tum logo ke dono universes se gayab hone par tumhari khoj shuru huyi.. kayi dino tak alag-alag universes mai khojne ke baad tum logo ko us dimension mai dhoond liya gaya.. lekin tumhare waha bina izazat pahuchne ke karan ek gambhir pareshani paida ho gayi thi.. aur inhi sab vajaho ke karan mujhe us waqt tum logo tak pahuchne mai itna waqt laga tha..'' zetron ne uske sawal ka jawab diya.
''Kaisi gambhir pareshani??'' Nikhil ne sawal daaga.
''Us universe mai bina izazat pahuchne ke karan waha ki consulate ne tumhe wapas bhejne se mana kar diya tha.. waha prithvi ka ant hone wala tha aur waha ki consulate ki yahi saza thi is 'ghuspeth' ki.. ki prithvi ke sath tumhara bhi ant ho.. kafi minnatein karne ke baad waha ki consulate is shart par razi huyi ki agar us prithvi ka guardian zetron tumhe jane ki izazat de.. waha ka zetron ne izazat dedi lekin wo maut ke kareeb tha isliye usne tumhare sath sath ise aur iske bhai ko bhi le jane ko kaha taki inki jaan bach jaye..'' zetron ne is sawal ka bhi jawab diya aur akhiri line nikunj ki taraf ishara karte huye kahi.
''Lekin mai hi kyu??'' Nikunj ne poocha.
''Tum dono khaas the.. us prithvi par us waqt tumhare jitna hoshiyar koi nahi tha.. lekin mere pahuchne se pehle hi tumhara bhai mayank aur gaurav mar chuke the.. gaurav ko to zinda kar liya gaya lekin jaisa ki maine pehle bhi bataya tha ki 'purity-election' na hone ki vajah se mayank ko jinda nahi kiya ja sakta tha.. isliye maine us waqt kaha tha ki agar gaurav jinda na hua to anarth ho jayega.. wo anarth tab bhi hona hi tha yani us prithvi ki tabahi.. lekin uske mitne se pehle gaurav ko jinda karna jaruri tha kyuki lashe inter-universe travel nahi kar sakti.. nikunj ke liye maine 2 baatein kahi thi.. 1 ye kaha tha ki ye bahut khaas hai jiski vajah mai bata chuka hu aur dusri ye ki uska ahem role hoga wo isliye taki apne bhai ki maut ke gham ko chhodkar ye waha se chal sake.. iski prithvi ab khatam ho chuki hai.. tum logo ke waha se jane ke 4 din baad hi south pole ka dome bhi toot gaya.. aur usi ke sath hi prithvi se insaniyat ka ant ho gaya..'' zetron ne bina ruke ek lambi saans mai sab keh diya. Apni prithvi ke bare mai jankar nikunj ka dil baith gaya.

Sari baatein clear ho chuki thi siway ek ke.
''Ye 'purity-election' kya hota hai zetron???'' Is baar sawal neha ne poocha.
to be continued...

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें