31. Death Strikes

299 3 0
                                    

31. Death Strikes

Episode- 31

''Ye log kaun hai?? Tumne to kaha tha ki tum sirf do hi ho..'' us admi ne gaurav aur sarang ki or ishara karte huye poocha.
''Ye log hume kuch din pehle hi mile hai.. hamari tarah hi ye bhi akele hai..kafi door se aaye hai..'' nikunj ne sach ke sath jhoot milate huye kaha.
''Milkar khushi huyi.. mera naam manish hai.. mai old Agra se tha.. ye hai Mr. John ye old Chicago se the.. aur ye hai Mr. Wang ye old Beijing se the.. hume to yaad bhi nahi hai ki humne akhiri baar dome ke bahar itne saare jinda logo ko ek sath kab dekha tha..'' manish ne unse hath milate huye apna aur apne sathiyo ka parichay diya.
''Hiii... mera naam gaurav hai aur ye mera dost sarang hai.. hamare sath hamare do dost aur hai nikhil aur neha.. dono bhai-behan hai..'' gaurav ne apna aur apne dosto ka parichay diya.
''To.... aap log kaha se the??'' Manish ne poocha.
Ye sawal sunkar gaurav hadbada gaya. Sach wo batana nahi chahta tha aur jhooth usne socha hi nahi tha ki kya bole.
''Wo sab chhodiye.. pehle ye bataiye ki kya apko nahi pata ki north pole par kya hua??'' Gaurav ko hadbadata dekh nikunj beech mai bola halaki uski hadbadahat Manish ne bhi mehsoos kar li thi.
''Kyu?? Kya hua???? Hamara 'humanity' se contact agle din hi toot gaya tha.. hume lagta hai koi technical fault hoga..'' manish ne jawab diya.
''Koi technical fault nahi hai.. 'humanity' dome ab nahi raha.. north pole par aaye earth-quake aur avalanche mai wo tabaah ho gaya.. kuch nahi bacha waha par..'' mayank ne bataya.
''Kya bakwas kar rahe ho?? Hosh mai to ho?? Aur tumhe ye sab kaise malum??'' Manish mayank ki baat sunkar gurrate huye bola. Baat hi kuch aisi thi ki achhe achho ko gussa aa jaye.
''Bhai shaant ho jao.. hum koi bakwas nahi kar rahe.. char din pehle hamare paas ek radio broadcast aaya tha ek survivor ka.. usi ne hume ye bataya.. wo akhiri bache huye chuninda logo mai se tha jo south pole wale dome se contact karne ki koshish kar raha tha par humse contact ho gaya..'' nikunj ne poori baat batayi aur use shaant karne ki koshish ki.
''What are they saying Manish?? Is everything alright??'' John Jo ab tak chup tha usne unke manobhavo ko padte huye manish se poocha.''They said 'humanity' is gone.. a powerful earth-quake and avalanche had destroyed our home..'' manish ne john ko jawab diya.
''Whattttt??? Are they crazy?? It's impossible?? How do they knew??'' Wang ne Manish ki baat sunte hi ashcharya se poocha.
''They were contacted by one of the survivors.. I think they could be right.. you know we are still unable to contact 'humanity'.. I wish they are wrong but truth could be unveiled only if we could make contact with dome..'' Manish ne Wang ko jawab diya.
''We had recorded that broadcast.. you could listen if you want..'' nikunj ne unki baatein sunne ke baad kaha.
''Ya sure.. hum jaroor sunna chahenge..'' manish ne jawab diya.
Iske baad nikunj ne un sabko apne peeche aane ko kaha aur wo unke underground ghar ki taraf chal diye. 15 min mai wo lift room ke paas pahunch gaye aur thodi hi der mai wo unke ghar mai the.
''Very impressive.. you guys had done a very fantastic work..'' john ne lift system aur underground ghar dekhkar kaha.
''Actually our dad had made this all.. he built this house and elevator system about 7 years ago..'' mayank ne john ko bataya.
''Come this way..'' nikunj ne un teeno ko apne peeche aane ko kaha aur wo unhe radio room mai le gaya. Waha usne wo recorded conversation play kiya jo us survivor aur mayank ke beech hua tha.
''Oh god... what should we do now?? Our home is lost again..'' john ne sir pakadte huye kaha. Chooki conversation english mai thi unhe bhi sab kuch samajh mai aa gaya tha. Nikunj aur mayank ne un dono ko samjhaya ki wo jab tak chahe yaha reh sakte hai.
''We had our McPod.. we can still go to south pole..'' Wang ne kaha.
''Ya.. but you are forgetting that our landing gear broke when we landed.. and the damage is beyond repair.. we had no choice but to stay here..'' manish ne kaha.
''Are kaha gaye the tum log?? Bata kar nahi jaa sakte the kya?? Pata hai hum kitna dar gaye the??'' Achanak waha nikhil aur neha aa gaye. Nikhil ne unse gusse se poocha. Lekin anjaan logo ko waha dekhkar unka gussa turant jigyasa mai badal gaya. Manish to neha ko dekhta hi reh gaya.
''Ye log kaun hai??'' Neha ne unke black suit ko dekhkar jigyasavash poocha.
''Hello beautiful.. mera naam manish hai.. hum log north pole se aaye hai khaas aapke liye.. mera matlab aap sabhi ke liye..'' manish ne neha se flirt karne ki koshish ki.
''Aeee Mr.... jabaan samhaal ke.. meri behan se flirt mat karo warna achha nahi hoga..'' nikhil ne gusse se Manish ki or badte huye kaha. Use gusse mai dekhkar manish bhi do kadam peeche hat gaya.
'Sorry yar.. mai to bas jaan-pehchan bana raha tha.. tumhe bura laga ho to maaf kar dena..'' manish ne nikhil ko gusse mai dekh kar sakpakate huye kaha.
''Theek hai.. theek hai.. lekin aage se aisa nahi hona chaiye warna mujhse bura koi nahi hoga..'' nikhil ne daant peeste huye kaha.
''Are bhaiyo lado mat.. hum sab ko ab kuch din saath hi rehna hai.. aur ha tumhara landing gear hum shayad theek kar sakte hai.. par pehle hume inki ID....'' nikunj poori baat kehta usse pehle hi gaurav ne ishare se use chup kara diya.
Gaurav ko ishara karte dekh manish ke man mai ab shaq paida ho chuka tha. Apne shaq ki shanti ke liye usne apna purana sawal phir se poocha, ''aap logo ne bataya nahi ki aap log kaha se the??''
''Hum log old mathura se the..'' is baar gaurav ne turant jawab diya. Usne is baar jawab pehle se soch rakha tha.
''Ajeeb baat hai.. pehle to ye hadbada gaya tha sawal sunkar.. ab itni asaani aur itni teji se jawab de diya.. aur ye nikunj kya kehna chah raha tha.. kuch to gadbad jaroor hai.. pata lagana padega in logo ke baare mai..'' Manish ne man hi man socha.

Din par din gujarte jaa rahe the. Par nikunj aur mayank IDT ko hack nahi kar paaye. Isliye unhone IDT se jyada dhyan ab glide-McPod ke toote gear ko theek karne mai laga diya. Lekin usme bhi unhe jyada kamyabi nahi mil rahi thi jisse john aur wang kuch jyada hi pareshan ho rahe the. Manish ne apne milansar swabhav se un sabse achhi dosti kar li lekin john aur Wang waha ke mahaul mai adjust nahi kar paa rahe the. Aur ek din:
''Manish... wo tumhare sathi john aur Wang surface par gaye hai.. wo bhi bina protection suit pehne..'' gaurav ne sote huye manish ko jhak jhor kar uthaya.
''K...k..kya... kitni der pehle?? Dono bahut pareshan the pichle kuch dino se.. kahi wo jaan-boojh kar toooo....'' manish ekdum se uth baitha ye sunte hi.
''Pichle 2 ghante se gayab hai dono hi.. pehle socha ki shayad hu hi ghoomne gaye honge upar.. lekin abhi unke suit almari mai dekhe to malum pada ki wo bina suit ke hi gaye hai..'' gaurav ne bataya.
''Kya??? 2 ghante??? Ab tak wo dono m....'' manish baat poori karta isse pehle hi gaurav ne use tok diya, ''aisa mat bolo.. kuch nahi hoga unhe.. nikunj aur mayank gaye hai surface par unhe dhoodne.. bas aate hi honge unhe lekar..''

Thodi der baad nikunj aur mayank dono wapas aa gaye magar buri khabar ke sath. John aur Wang sach mai hi mar chuke the radiation-exposure se. Unki dead-bodies unhe glide-McPod ke paas mili. Shayad wo McPod mai jana chah rahe the. Ye khabar un sabke liye stabdh kar dene wali thi. Unhone socha hi nahi tha ki aisa kuch ho jayega.

Lekin John aur Wang akele nahi the jinki maut aayi thi. Abhi kisi aur ki baari bhi aane wali thi.
to be continued...
______________________________

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें