30. Guests From North Pole

344 2 0
                                    

30. Guests From North Pole
Episode- 30
''Kya tum sach keh rahe ho?? Kya hum bhi chal sakte hai??'' Nikunj ne poocha. Uski ankho mai ek nayi chamak thi.
''Haa bilkul.. basharte tum IDT theek kar sako to....'' gaurav ne kaha.
''Ab to ye machine theek hokar hi rahegi..'' mayank ne khush hote huye kaha.

Is dimension mai aaj un charo ka dusra din tha. Nikunj aur mayank ne poori raat jaagte huye hi bitayi aur IDT ko samajhne ki koshish karte rahe. Unke liye ye ummeed ki nayi kiran thi jise wo kisi haal mai khona nahi chahte the.

''Gaurav.. yaar jara aana to ek baar... un teeno ko bhi le aao..'' Agli subah nikunj ne gaurav se kaha. Wo un charo ko usi room mai le aaya jaha kal shaam ko mayank tha. Yeh janne ke liye ki baat kya hai unme utsukta badh rahi thi.
''Mere paas hamare liye ek achhi khabar hai aur ek buri khabar hai..'' nikunj ne un charo se kaha. Usne 'hum' kaha tha isliye sab turant samajh gaye ki baat IDT se judi hai.
''Bhai kya hua?? Jaldi batao baat kya hai??'' Sarang ne adheerta se poocha.
''Achhi khabar ye hai ki machine ka koi bhi part toota nahi hai.. ye bilkul theek hai magar....'' nikunj ne baat adhoori hi chhod di.
''Magar kya?????'' Gaurav ne bhi adheerta se poocha.
''Magar buri khabar ye hai ki hum ise theek nahi kar paa rahe hai..'' nikunj ne hatasha ke sath kaha.
''Whattttt???'' Charo ek sath bole.
''Haa.. humse iski settings theek se set ho hi nahi rahi.. ye voice controlled automated settings hai.. kisi ek insaan ki awaaj se hi activate hongi.. aur hume poora yakeen hai ki wo awaaj zetron ki hi hogi..'' nikunj ne bataya.
''Ohh nooo... ye to gadbad ho gayi.. zetron ki awaaj milna to namumkin hai.. use to humne usi din pehli aur akhiri baar dekha tha.. kya koi aur rasta nahi hai??'' gaurav ne mathe par hath rakhte huye kaha.
''Ek rasta aur hai.. hum machine ki voice settings ko bye-pass kar ke use previous mode mai le jaa sakte hai.. lekin uske liye hume machine ko hack karna hoga.. jisme kafi time lagega.. you see ye ek bahut hi advanced gadget hai..'' nikunj ne aage ki sambhavnaye batayi.
''Kya tum aisa kar paoge??'' Nikhil ne poocha.
''Hum koshish jaroor karenge.. lekin hum nahi jante isme kitna time lagega.. shayad kuch din ya kuch hafte..'' mayank ne kaha.
Yeh sunkar charo nirash ho gaye. Unhe ab yaha kuch din aur rukna tha ya shayad jindagi bhar agar IDT theek nahi hui to.
''Bhaiya.. mujhe dar lag raha hai.. kya hume ab yahi rehna hoga?? Hamesha ke liye??'' Apne kamre mai aate hi neha ne dabdabayi ankho se nikhil se poocha.
''Chinta kyu karti hai behna.. dekhna sab kuch theek hoga.. hum yaha se jaroor niklenge.. bas tu hausla rakh..'' nikhil ne use seene se lagate huye kaha.

Din gujarte jaa rahe the aur har din ke sath unki chinta aur dar bhi badhte jaa rahe the.
Ek din gaurav nikunj se milne uske kamre mai pahucha to dekha ki wo dono apne khaas protection suit pehan rahe the. Gaurav ko ye thoda ajeeb laga. Halaki wo dono upar surface par jate rehte the khane-peene ka intejam karne par sirf subah ya shaam ke waqt par aaj wo dopahar mai hi suit pehan rahe the. Dono kafi jaldi mai bhi the.
''Upar surface par jaa rahe ho kya??'' Gaurav ne utsukta se poocha.
''Haa hume abhi ek signal mila hai.. usi ka pata lagane jaa rahe hai..'' nikunj ne jawab diya.
''Signallll??? Kaisa signal???''
''Waisa hi jaisa tumhara mila tha.. matlab life-tracker ka.. usne ek human life ka signal pakda hai bilkul paas mai hi.. use hi dekhne jaa rahe hai..'' jawab mayank ne diya.
''Ohh.. ye to good news hai.. mai bhi chalun kya?? Waise bhi yaha bore ho raha hu..'' gaurav ne chahakte huye kaha.
''Nahi tum rahne do.. upar bahut khatra hai.. tum yahi ruko hum thodi der mai aa jayenge..'' nikunj ne saaf mana kar diya.
''Please yaar.. le chalo na hume bhi..'' achanak gate se sarang ki awaaj aayi. Usne unki baatein sun li thi aur uska bhi man surface par jane ka kar raha tha. Jab se wo charo is underground ghar mai aaye the ek baar bhi surface par nahi gaye the.
''Theek hai.. magar hamare paas 2 hi extra suit hai.. us bhai-behan ki jodi ko mat bula lena ab..'' nikunj ne kaha.
''Tum unki chinta mat karo.. waise bhi wo dono kumbhkaran to so rahe hai..'' sarang ne haste huye kaha.
Uski baat sunne ke baad nikunj ne almari se suit nikalkar unhe de diye aur pehanne ka tarika samjhaya. Iske baad wo ek special platform type lift par aa gaye. Aaj wo dono pehli baar surface par jaa rahe the isliye bahut excited the. Nikunj ne us lift par bane ek console ka ek button dabaya aur lift upar jane lagi. Koi 15-20 seconds ke andar hi wo surface par pahunch gaye. Wo ek chota sa room tha jo sirf us lift ke liye hi bana tha. Us room ke bahar ka najara waisa hi darawana tha jaisa unhone pehle dekha tha. Har taraf malba hi malba, idhar udhar pade kankaal aur samne jwalamukhi se behta lawa. Nikunj aur mayank life-tracker hath mai pakde usi direction mai chal diye jaha se signal aa raha tha. Gaurav aur sarang unke peeche peeche chalne lage.
''Ye kankaal kinke hai bhai??'' Dono bhaiyo ke peeche chalte hue gaurav ne kankaalo ki taraf ishara karte huye kaha.
''Ye wo badnasib logo ke kankaal hai jo nuclear war ke waqt yaha mojoud the.. saalo se yu hi pade hai.. kisi ne nahi hataya inko.. koi jinda hi nahi bacha jo inhe uthata..'' nikunj ne kaha.
''Kitni bhayanak baat hai.. kash aisa kisi ke sath na ho..'' sarang ne lambi saans bharte huye kaha.
''Ye dekho yahi wo ghar hai.. jaha tum hume mile the..'' achanak ek ghar ki taraf ishara karte huye mayank ne kaha.
Dono ne us ghar ki taraf dekha jaha mayank ishara kar raha tha. Ek purana sa ghar tha jo lagbhag khandhar ban chuka tha, deeware bilkul kali pad chuki thi lekin us kali deewar par ek bachhe ki chhaya bani huyi thi shayad 5 ya 6 saal ka. Us chhaya ko chhodkar poori deewar kali thi. Wo ghar yakeenan neha aur nikhil ka hi tha lekin ab use pehchanna bhi mushkil ho raha tha.
''Ye bachhe ki design kisne banayi?? Kafi perfect shape hai..'' sarang ne poocha.
Ek pal ke liye dono bhaiyo ne us chhaya ko dekha to unki ankho mai ansoo aa gaye.
''Ye koi design nahi hai.. jis pal yaha nuclear bomb gira is deewar ke paas shayad koi bachha khada hoga.. nuclear dhamake ki aag uske sharir ko to nigal gayi lekin uski parchhayi is deewar par hamesha ke liye thehar gayi..'' nikunj ne bataya.
''Yaha tumhe aisi kayi design milengi jaha log khade the aur unke sharir ke karan unke peeche ki deewar par nuclear kirane nahi pahuchi aur deewar par unki parchhayi ban gayi..'' mayank ne aage bataya.
Ye sach to pichhle sach se bhi jyada bhayanak tha. Wo kalpna kar rahe the ki kaise wo log khade honge jab nuclear dhamaka hua hoga aur un logo ko hilne ka bhi mauka nahi mila hoga. Jo log bach gaye jhulasne se unke kankaal ab yu hi pade hai lekin Jo dhamake ki chapet mai aaye unke to kankaal bhi nahi bache. Ye sochne matra se hi unki rooh kaap gayi aur unki ankhe bhi nam ho gayi.

''Bhaiya wo dekho.. waha ek 'Glide-McPod' hai.. lagta hai koi dome se aaya hai..'' chalte chalte achanak ek ajeeb se plane ko dekhkar mayank utsah se chilaya.
''Ye to sach mai ek 'Glide-McPod' hai.. yani wo log hamare liye hi aaye honge.. magar wo log hai kaha??'' Nikunj ne bhi utsah ke sath kaha aur idhar udhar dekhne laga shayad wo mil jaye. Wo us plane ke paas pahuche hi the ki us plane ke andar se teen log bahar aaye. Teeno ne hi ekdum pitch black dress pehni huyi thi. Unme se ek jise hindi aati thi wo bola, ''hum north pole ke dome 'humanity' se aaye hai.. hum tum dono ke rescue call par hi yaha aaye hai..''
to be continued...

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें