32. Manish's Anger Is Deadly
Episode 32
''Ye un dono ne kyu kiya?? Kya jindagi itni sasti hai??'' Gaurav ne khud se poocha.
''Wo dono mere sabse achhe dost the.. hum dome army mai ek sath the.. yakin hi nahi hota ki wo aisa kuch bhi kar sakte hai..'' manish ne lagbhag rote huye kaha.
''Shayad dono jindagi se nirash ho chuke the.. pehle dome ka ant.. phir McPod ki kharabi.. aur uska theek na hona.. shayad unhone sari ummeede chhod di thi..'' sarang ne bhi apni baat rakhi.
''Jo hona tha wo to ho gaya.. ab hume ye sochna hai ki aage kya karna hai.. ye tumhara McPod to mujhe nahi lagta ki theek hoga..'' nikhil ne kaha.
Manish abhi bhi shock mai hi tha isliye usne nikhil ke sawal ka koi jawab nahi diya. Manish wahi khada raha to baaki sabhi log peeche aaye aur apas mai khuspusane lage.
''Wahi karenge jo humne tay kiya tha.. yani IDT ko theek karke yaha se hamesha ke liye alvida..'' nikunj ne phusphusate huye kaha.
''Lekin hum ise yaha akela to nahi chhod sakte..'' gaurav manish ki or ishara karte huye phusphusaya.
''To kya ise bhi le chale kya?? humne yaha koi toor and travel agency nahi khol rakhi hai.. ki sab ko sath lekar ek dimension se dusre mai ghoomte fire.. aur waise bhi IDT bhi abhi tak hack nahi hui hai.. aur lagta hai shayad hogi bhi nahi..'' sarang ne thode gusse ke sath phusphusate huye kaha.
''Yaar hum par kyu bhadak rahe ho.. wo ek highly advanced inter-galactic machine hai.. itna bhi asaan nahi hota aisi machine ko hack karna.. aur haa IDT se dhyan aaya ki us machine par 1 nahi balki 2 voice controls encoded hai.. machine hack karne ki koshish mai hume usme 2 voice signals encoded mile hai..'' nikunj ne phusphusate huye apni nayi discovery batayi.
''Matlabbbbb...'' sabne ek sath poocha magar dheere se.
''Matlab ye ki us machine ko 1 nahi balki 2 voices control kar sakti hai.. unme se kisi ek ka bhi voice sample mil jaye to hamara kaam chutkiyo mai ho sakta hai..'' mayank ne nikunj ki baat ka matlab samjhaya.
'Ohhh... ab ye dusri awaaj kiski ho sakti hai?? Xemus ke hi kisi dusre alien ki hogi.. aur kaun ho sakta hai?? Lekin jo bhi hai hume jaldi karni hogi.. warna ek aur bahut badi musibat aa jayegi..'' sarang ne chinta ke sath kaha.
''Aur kaunsi musibat bachi hai ab????'' Gaurav ne sir khujate huye poocha.
''Abe bhool gaya kya ki zetron ne kya kaha tha?? Agar hum kisi dusre dimension mai 60 din se jyada ruke to wapas nahi aa sakenge.. aur yaha aaye hume pehle hi 17 din ho chuke hai..'' sarang ne nayi musibat ginayi.
Ye to wakai badi musibat thi. Pichli baar jab unhone dimension travel kiya tha aur sarang marnasann halat mai pahuch gaya tha tab usne theek 60 din hi waha bitaye the aur gaurav ne 37. Lekin unka dhyan tab is par nahi gaya tha aur unhe koi dikkat bhi nahi huyi thi lautne mai isliye bhi wo is baat ko bhool sa hi gaye the. Lekin is baar baat jyada serious thi kyuki wo machine hi kharab ho gayi thi jisse unhe lautna tha aur is baar to uske theek hone ke bhi lagbhag 0% chances hone ke karan tension badhna natural tha.
''Abe ye to mai bilkul bhool hi gaya tha.. yaaro ab to tumhe aur jaldi karni hogi.. warna tumhare sath sath hum bhi yaha hamesha ke liye fas jayenge..'' gaurav ne sarang ki baat sunkar maathe par aaye pasine ko pochte huye kaha.
''Hum poori koshish kar rahe hai.. lekin kya hume manish ko is baare mai batana chahiye ya nahi??'' Nikunj ne poocha.
''Is bare mai tab sochenge jab machine theek ho jayegi..'' gaurav ne kaha aur uski baat sabko sahi lagi kyuki agar IDT sahi nahi huyi to ye baat batane ka koi fayda hi nahi tha. Lekin wo ye nahi jante ki manish apne khayalo se kabka bahar aa chuka hai aur unki khusphusahat sunne ki koshish kar raha hai. Use kuch baatein sunayi de rahi thi aur kuch nahi par nikunj ke akhiri shabdo ko usne bilkul saaf suna tha ''lekin kya hume manish ko is baare mai batana chahiye ya nahi''.. Uska shaq gehrata jaa raha tha ki kuch gadbad jaroor hai.20 din aur gujar gaye lekin na hi nikunj aur mayank IDT ko hack kar paye aur na hi ye pata laga paye ki wo dono voice controls kiske hai. Idhar manish bhi apni khoj-been mai laga hua tha aur samajhne ki koshish kar raha tha ki majra kya hai. Gaurav ki chinta badhti jaa rahi thi. Use pakka yakin tha ki un dono voice controls mai se ek zetron ka hai magar ye dusra voice control kiska hai ye use ab tak samajh nahi aaya tha.
Us din achanak hi uske dimag ki batti jali. Wo turant bhagta hua nikunj aur mayank ke room mai gaya.
''Mujhe shayad malum hai dusra voice control kiska hai.. shayad nahi pakka yakin hai.. tum jaldi se apna samaan pack kar lo..''gaurav ne utsah ke sath lagbhag un par chhadte huye kaha.
''Kiska haiiiii?? Aur tumhe achanak kaise malum pad gaya??'' nikunj ne ashcharya ke sath poocha.
''Sab bata dunga.. tum bas jaldi se samaan pack karke hall mai aa jao.. mai baki logo ko bhi samaan pack karne ko bol deta hu..'' gaurav ne jis speed se wo aaya tha usi speed se wapas jate huye kaha.
Hall wahi room tha jisme is ghar mai aane ke baad pehli baar ankhe khuli thi. Wo yeh khabar jald se jald bakiyo ko bhi dena chahta tha lekin koi bhi apne room mai nahi tha. Usne socha shayad sabhi hall mai hi hai isliye wo hall ki taraf chal diya. Lekin hall ka najara dekhkar uski ankhe phati ki phati reh gayi.Waha neha ka saara samaan bikhra hua tha aur manish neha aur sarang par ek ajeeb si gun taane khada tha. Nikhil wahi paas mai hi behosh pada tha ya shayad mar chuka tha. Manish ne ab tak notice nahi kiya tha ki gaurav room mai aa chuka hai.
''Jaldi batao kaha hai wo machine?? Nahi to tera bhi wahi haal karunga jo iska kiya hai..'' Manish nikhil ki taraf ishara karte huye sarang se bola.
Tabhi gaurav ka pair ek metallic stool se takraya to sabka dhyan uski taraf chala gaya.
''Aao maharaj.. aao.. tumhara hi intejar tha.. ab aisa karo in dono ke bagal mai aakar khade ho jao..'' apne dusre hath mai bhi waisi hi gun gaurav par taankar manish ne kaha.
''Ye tum kya kar rahe ho?? Tumhe kyaaaa ho gaya hai??'' Apne dono hath upar karke gaurav ne chalte huye kaha. Chalte huye wo sarang ke bagal mai jakar khada ho gaya aur sawaliya ankho se Manish ko dekhne laga.
''In sab sawalo ke liye time nahi mere paas.. tu bas ye bata ki wo machine kaha hai jisse tum sab yaha aaye ho..'' Manish ne direct apne matlab ki baat poochi.
''Tumhe us machine ke bare mai kaise malum..'' gaurav ne ashcharya se poocha. Yaha to jhatke pe jhatke lag rahe the.
''Tujhe kya lagta hai us din tum logo ki kana-phoosi maine nahi suni kya?? Mujhe to pehle hi tum sab par shaq tha.. aur jab is ladki ke bag ki talashi ke dauran maine wo ajeeb si bolne wali ghadi dekhi to mera shaq yakin mai badal gaya.. aur phir iski kanpatti pe gun taankar iske bhai se jankari nikaalna koi difficult task to tha nahi..'' manish ne haste huye abhi 10 min pehle is haal mai huyi poori ghatna ka flash-back sunaya.
''Tumne ise maar to nahi diya na??'' Nikhil ki halat dekhkar gaurav ne poocha.
''Abhi to sirf behosh hai.. lekin agar tune mujhe wo machine nahi di to iske sath sath tum sabko maar dunga siway is sweetie ke..'' nikhil ko ek najar dekhkar manish bola. Sweetie se uska matlab neha se tha jis par to wo pehle hi din se fida tha.
Lekin tabhi kuch aisa hua ki waha sabki ankhe phatne jaisi ho gayi.
Bahar khada koi unki baatein sun raha tha aur mauka dekhkar usne chupke se manish par hamla kar diya aur uske sath gaurav aur sarang bhi manish ka dhyan bata dekh usse bhid gaye lekin manish ke dono hatho mai gun thi. Ek gun to uske hath se choot gayi lekin dusri se usne un par fire kar diya. Bullet seedhi dil ke aar-paar ho gayi aur gaurav ka jism bejan hokar farsh par gir pada.
to be continued...
______________________________
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Misterio / SuspensoSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...