51. First Day Of Training continues...
Episode 51
''Ab baari hai dusri duniya se aaye huye dono mehmano ki.. sabse pehle nikunj ki baari.. tumhe mili hai surya-kiran urjaa... ye shakti tumhare dushmano ke liye jitni ghatak hai.. usse kahi jyada tumhare liye hai agar ise apne vash mai na kar sakoge to.. ab thoda aage aa jao..'' vayun ne kaha. Uski baat sunkar nikunj baki bache logo se thoda aage aa gaya.
Jaha gaurav ka door door tak koi pata nahi tha wahi sarang paas mai hi us robo par laat-ghoose barsa raha tha lekin us par koi asar nahi ho raha tha kyuki sarang kafi gusse mai tha aur yahi gussa us robo ki taqat tha. Halaki gusse ke sath sarang ki taqat bhi badti jaa rahi thi lekin yeh gussa use khud ko dikhana tha na ki us robot ko jisme wo abhi tak fail ho raha tha. Wo robo jo bhi keh raha tha wo sirf sarang ko sunayi de raha tha aur uska gussa bhi badhta jaa raha tha.
''Apni shaktiyo ko vash mai karne se pehle tumhe ye samjhna hoga ki tum kya kar sakte ho.. surya-kiran urjaa... ek aisi taqat jiske samne poori ki poori fauz pal bhar mai raakh ho jaaye.. ek poore surya ki aag, uska tej, uski shakti tumhare andar samayi hai.. lekin ye tabhi sambhav hai jab tum ise vash mai kar sako.. aur iske liye tumhe apne shareer ko aur apne man ko is laayak banana hoga ki in shaktiyo ko samhaal sako..'' vayun ne kaha aur apne hath hawa mai lehraye. Turant hi hawa mai se ek machine prakat huyi jo dekhne mai kafi kuch taboot jaisi thi.
''Ye machine tumhe jitna dard degi utna shayad tum seh nahi sakoge... ye tumhare jism se urjaa ki ek ek boond ko kheech legi.. tumhe is machine ki bhookh khatam karni hai yani ise 100% capacity tak charge dena hai.. yaad rahe surya-kiran urjaa aseem hai.. lekin yeh tabhi niklegi jab tumhara shareer is layak hoga.. gussa tumhari taqat hai lekin ek had tak magar jeene ka jajba aur junoon hi tumhari kamyabi ki vajah banengi.. is machine se ya to tumhari maut hogi ya tumhe milegi aseem-shakti... ab jao is machine ke andar...'' vayun ne kaha aur nikunj dheere dheere kadam badhata machine ki taraf chal diya.
''Ye mujhe kuch theek nahi lag raha.. please tum mat jao uske andar.. agar tumhe kuch ho gaya to mera kya hoga..''neha ne peeche se nikunj ka hath pakadte huye kaha.
''Kuch nahi hoga jaan... mujh par bharosa rakho.. aur aise khatre to hume jhelne hi honge..'' nikunj ne uske gaal sehlate huye kaha.
Neha ne uski baat maankar uska hath chhod diya aur nikunj machine ki taraf badh gaya.
Machine mai use letna tha aur jaise hi wo leta machine se kayi belts nikli jinhone use baandh liya aur ek click ke sath machine on ho gayi. Pehle to nikunj ko kuch khaas mehsoos nahi hua lekin dheere-dheere use aisa lagne laga jaise koi uske shareer se uska khoon nikal kar le jaa raha ho. Wo kaapne laga aur ab dard ke sath-sath kamzori bhi mehsoos kar raha tha.''Ab baari hamare dusre mehman ki.. nikhil chaudhary.. tumhe mili hai paacho tatvo par kaabu karne ki taqat.. lekin tumhe sirf kaabu nahi in par maharat hasil karni hai.. tumhari shaktiya sabse jyada vinashkari hai.. lekin maharat hasil karne ke liye utni hi mushkil.. sabhi tatvo ko alag-alag tarah se kaabu karna seekhna hoga.. sabse pehle vayu ko control karna seekhna hoga.. mere paas aa jao..'' vayun ne kaha to nikhil lambe kadam bharta hua turant uske paas chala gaya.
Uske apne paas aate hi vayun ne hawa mai apne hath lehraye aur dekhte hi dekhte waha ek bawandar ban gaya.
''Ye ek shaktishali bawandar hai.. tumhe ise vash mai karke ise rokna hai.. iske liye tumhe apne aap par yakeen karna hoga ki tum ye kar sakte ho.. self-confidence paida karo apne andar.. aur yaad rahe jitni der ise shant karne mai lagaoge utna hi ye taqatwar hota jayega.. aur apne raste mai aane wali har cheez ko nasht karta jayega..'' us bawandar ko khali disha mai modte huye vayun ne kaha. Nikhil bhi us bawandar ke peeche chal diya.
''Ab baat karte hai is team ki ladkiyo ki.. sabse pehli wo jiski vajah se ye sab ho raha hai.. kawya...'' vayun ab baki dono bachi ladkiyo se bola. Vayun ki baat sunkar kawya ke dil ko kafi thes pahuchi. Use laga ki uski vajah se kitno ki jaan khatre mai hai.
Use udaas dekhkar vayun ne kaha, ''tumhe dukhi hone ki jarurat nahi hai.. mera wo matlab nahi tha.. in sab ghatnao par tumhara koi vash nahi tha isliye khud ko doshi mat samjho.. ab aage aa jao..''
Uski baat sunkar kawya do kadam aage ki taraf badh gayi.
''Tumhe mili shaktiya sabse khatarnaak hai.. tum kisi bhi jeev-jantu ko choo-kar unki shaktiya hasil kar sakti ho.. unki kabiliyat tumhari kabiliyat hogi.. aur unki kamzori tumhari kamzori hogi.. tumhari shaktiya agar vash mai na ho to samne wale ki pal bhar mai poori jaan kheech sakti hai.. isliye sabse pehle tumhe ise vash mai karna seekhna hoga..'' vayun ne kaha aur apne hath phir se hawa mai lehraye. Turant hi waha kayi sare phoolo se bhare gamle aa gaye.
''Tumhara kaam bahut hi asaan hai.. tumhe bas in phoolo se inki shakti sokhni hai.. inke upar hath rakho aur inse shakti kheechne ki koshish karo.. lekin dhyan rahe phool murjhane nahi chahiye.. aur tumhara yeh task tab tak chalta rahega jab tak tum apni shaktiyo ko apne hisab se control karna na seekh lo..'' vayun ne kawya ko uska kaam samjhaya. Kawya un phoolo ko kuch der tak yu hi dekhti rahi aur phir phoolo ki taraf badh gayi.
Pehle gamle ke ek phool ko choo-kar usne apni ankhe band ki aur dekhte hi dekhte phool bilkul sookh gaya aur jhad kar gir gaya.
''Aur akhir mai baari hai is team ki antim sadasya ki.. neha chaudhary.. tumhe di gayi hai 2 shaktiya.. ek hai forbomium ki kabiliyat aur dusri mausam ko vash mai kar sakne ki shakti.. sabse pehle hum tumhari forbomium shaktiyo ko jagayenge.. kyuki inke rehte koi tumhara aur tumhare hone wale bachhe ka kuch nahi bigad payega.. lekin dikkat ye hai ki ise sikhaya nahi jaa sakta.. ye shakti apne aap hi kaam karti hai.. tumhe jab bhi koi khatra mehsoos hoga ya dar lagega... ye shakti apne aap bahar aa jayegi.. isiliye hume tumhari dusri kabiliyat par hi kaam karna hoga..'' vayun ne kaha aur akhiri baar apne hath hawa mai lehraye.
Turant vayun ke hath mai mobile jaisi dikhne wali device aa gayi.
''Yeh ek weather-controlling device hai.. iske jariye mai yaha ke mausam se chhed-khani karunga.. aur tumhe mausam ko wapas normal karna hoga.. aisa karne ke liye tumhe khud par yakeen karna hoga ki tum ye kar sakti ho.. lekin usse pehle tumhe ye jaanna hoga ki yudhh ke maidan mai ye kaise tumhari madad karega.. tumhare dushman surakians ke grah par bilkul bhi pollution nahi hai.. unke yaha kabhi aandhi-toofan nahi aate.. sath hi unke grah ki ozone parat prithvi se do guna moti hai.. iska matlab ye hai ki wo na to dhool bhari tej hawa seh sakte hai aur na hi tej dhoop.. aur in dono kamzoriyo ka fayda mausam niyantrit karke hi uthaya jaa sakta hai.. to ab shuru ho jao..'' vayun ne neha ko sab samjhaya aur phir us device par kuch buttons dabaye. Dekhte hi dekhte waha kale badal ghirne lage.Gaurav bhagte-bhagte thak chuka tha lekin wo janwar use kahi dikh hi nahi raha tha. Ek jagah pedo ka jhurmut dekhkar wo araam karne ke liye udhar hi chal diya. Usse ab bhagna to door chala bhi nahi jaa raha tha. Wo pedo ke neeche baitha hi tha ki wo janwar teji se bhagta hua uske samne aaya aur use apna chehra upar-neeche karke dekh raha tha mano use chida raha ho.
''Abe O gaurav ke chamche... uske naukar.. teri aukat hi kya thi jo neha tere paas aati..'' ek baar phir ye awaaj sarang ke kaano mai goonji. Uska gussa badhta hi jaa raha tha aur uski taqat bhi lekin isse bhi kahi jyada asar uske gusse ka us robo par ho raha tha aur uska kavach bhi majboot hota jaa raha tha.
Nikunj ke shareer ki lagbhag ek -tihayi urjaa wo machine ab tak kheech chuki thi. Itna dard aur kamzori use aaj tak mehsoos nahi huyi thi aur ye takleef badhti hi jaa rahi thi. Use nahi samajh aa raha tha ki kaise ise rokna hai aur isiliye wo siway tadapne aur idhar udhar hath pair marne ke kuch nahi kar paa raha tha.
to be continued...
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mistério / SuspenseSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...