55. Zetron Comes To The Rescue
Episode 55
Gaurav thaka hua to tha lekin is baar use malum tha ki use kya karna hai. Wo ek jagah baitha besabri se us janwar ka intejar karne laga ki kab wo use chidane aayega. Use jyada der intejar nahi karna pada. Abhi 2 min hi beete honge ki wo janwar uske paas aaya use wahi apne andaaz mai chidane laga.
Gaurav use dekhkar halka sa muskuraya aur phir use ghoorne laga. Wo janwar apni gardan idhar-udhar ghumate huye use chida raha tha aur gaurav bhi bilkul usi ki tarah gardan idhar-udhar ghumate huye uski aankho mai jhankte huye use lagatar ghoore ja raha tha. Thodi hi der mai us janwar ka chidana band ho gaya aur ab wo bhi gaurav ko ek-tak ghoor raha tha. Gaurav uski aankho mai dekhte huye hi apni jagah se khada hua aur dheere-dheere ek-ek kadam bharte huye uski taraf badhne laga. Jawab mai wo janwar bhi usi tarah dheere-dheere ek-ek kadam uski taraf badha raha tha.
Gaurav use hypnotize karne mai safal ho gaya tha. Jab uske aur us janwar ke beech sirf 3-4 kadam ka faasla reh gaya tha tabhi achanak ek tej hawa ka jhonka aaya jisse gaurav ka us janwar se eye-contact toot gaya aur wo wapis hosh mai aa gaya. Use hosh mai aate dekh gaurav ne teji se us par jhapatta mara lekin der ho chuki thi. Hosh mai aate hi us janwar ne gaurav ko apne itna nazdeek dekhkar jo daud lagayi, gaurav use dekh bhi nahi paya.
''Chalo ye to malum chala ki meri shaktiya kaam kar rahi hai..'' gaurav khud se hi badbadaya aur us disha ki taraf chal pada jaha se dhool udti dikh rahi thi.
''Mujhe baaki shaktiya bhi try karke dekhni chahiye..'' thodi dair chalne ke baad gaurav phir khud se bola.Yaha sarang bhi ab us robot ki bakwas sunte aur use marte huye kafi thak chuka tha lekin us robot par koi asar nahi hua tha. Sarang apne ghutno par hath tikaye saanse bhar hi raha tha ki zetron ki awaaj uske kaano mai goonji.
''Ye kya kar rahe ho?? Ye gussa tumhare liye hai na ki us robot ke liye.. apne gusse ko kaabu karo.. use apne andar rakho na ki us robot ko dikhao..''
Is awaaj ne ek jadoo ki tarah naam kiya. Sarang kuch pal ke liye ruka, apni aankhe band ki aur khud ko shaant karne laga.
''Kya hua be chamche.. neha ki yaad aa gayi kya.. beta wo chidiya to furr ho gayi..'' us robot ne sarang ko ek jagah shaant khada dekh phir jeher ugla.
Lekin is baar kuch alag hua. Sarang ne aankhe dheere se kholi aur us robot ki taraf muskurakar dekha. Sarang ki ye harqat yeh batane ke liye kafi thi ki use zetron ki baat samajh mai aa gayi hai. Bhale hi use andar hi andar bahut tej gussa aa raha tha lekin muskurakar wo use bahar dikhne se rok raha tha. Iska turant asar hua aur wo robot thoda peeche hat gaya aur uski forbomium chamak thodi kam ho gayi.Machine nikunj ki lagbhag saari taqat nichod chuki thi. Usme ab sirf itni hi taqat thi ki wo bas hosh mai reh sake. Uska hath-pair patakna to kab ka band ho chuka tha. Wo behosh hone hi wala tha ki zetron ki awaaj use apne andar sunayi di.
''Tum itni jaldi haar kaise maan sakte ho?? Kya Bhool gaye ki kiske liye tum yaha aaye the?? Apne liye nahi to uske liye koshish karo jo tumhare bachhe ki maa banne wali hai.. tumhara gussa tumhe dabana nahi hai balki bahar behne dena hai.. tum use kaboo karna pehle se jante ho.. isliye behne do is lawa ko warna apni hone wali patni ko apni aankho ke samne hi tadap-tadapkar marta dekhoge..''
Ye shabd nikunj ko uska kaam batane ke liye kafi the. Aur akhiri shabdo ne to jaise uske gusse ke lawa ko poori tarah bhadka diya tha. Neha ki maut ke baare mai to sochne bhar se hi uski jaan nikal jati thi.
''Aaaahhhh......'' Ek jordar cheekh ke sath usne khud ko un belts se ajaad karne ke liye hath-pair patakne phirse shuru kar diye.
Zetron ke akhiri shabd ''warna apni hone wali patni ko apni aankho ke samne hi tadap-tadapkar marta dekhoge'' uske kaano mai lagatar goonj rahe the jo use aur jyada bhadka rahe the. Machine ka energy level is waqt 47% par tha lekin ab yeh teji se bhad raha tha.
Nikunj ka shareer bhi ab chamatkarik dhang se halki peeli roshni se chamakne laga tha jo uski badhti cheekho ke sath lagatar badhti jaa rahi thi.Nikhil jitna bhi bhagta bawandar aur uske beech ki doori kam hi nahi hoti. Nikhil bhagta to wo bawandar bhi usi raftar se bhagta aur thakaan ke karan agar nikhil rukta to wo bawandar bhi ruk jata. Is samay nikhil thakaan se ladkhadate kadmo ke sath uske peeche bhag raha hi tha ki zetron ki awaaj uske kaano se takrayi aur wo ruk gaya.
''Aise bhagne se kuch nahi milega ladke... us bawandar ko rokna hai tujhe na ki uske sath race lagani hai.. tumhe di gayi shaktiyo se tum sirf hawa hi nahi, dharti, agni aur paani ko bhi control kar sakte ho.. socho is baare mai.. tatvo ko control karne ke liye khud ko unke jaisa banana padta hai..''
Zetron ki awaaj ne use bata diya tha ki use kya karna hai. Agar hawa usse control nahi ho rahi to use baki ke tatvo ke jariye koshish karni chahiye. Usne socha ki aag aur paani to is mamle mai koi madad nahi kar sakte isliye usne dharti ko chuna. Usne bawandar ki taraf hath uthaya jo uske rukne ki vajah se khud bhi ruka hua tha lekin is baar uska nishana bawandar ki taraf na hokar uske neeche ki jameen par tha. Usne thodi der socha ki akhir jameen ke jaisa kaise ban sakte hai. Phir use laga ki jameen kafi thos aur sthir hoti hai to use bhi waisa hi banne ki koshish karni chahiye. Usne aankhe band ki aur bilkul shaant khada ho gaya ek hath ko samne kiye hue. Bawandar ke karan hawa kafi tej chal rahi thi lekin wo tas se mas nahi hua. Yaha tak ki hila bhi nahi. Usne man hi man kalpna kee ki bawandar ke neeche aur aas-paas ki jameen phat rahi hai jisse uski gati kam ho rahi hai. Uski aankhe abhi bhi band hi thi aur achanak hi use dharti hilti mehsoos huyi jisse uske chehre par ek halki si muskan aa gayi.
Yaha dono ladkiyo ko bhi koi khaas safalta nahi mili thi. Ek or jaha kawya phoolo ki jaan ki dushman bani huyi thi wahi dusri taraf neha thand se sikud rahi thi kyuki is samay uske aas-paas ka mausam barfila tha. Kawya ne to phoolo se itni shakti sokh li thi ki ab wo khud un phoolo ki tarah mehak rahi thi. Aur phir zetron ki awaaj ne uske kaano mai pravesh kiya.
''Ye kis janam ka badla le rahi ho in phoolo se.. ye aise hi marte rahenge jab tak tum apna man nahi shaant kar leti.. tumhe abhi bhi har waqt yahi lagta hai ki ye sab tumhari vajah se ho raha hai.. is khayal ko nikal feko.. aur yeh socho ki tumhe jis phool ko touch karna hai usse tumhe kya chahiye.. tumhari mushkil asaan ho jayegi..''
Kawya jaan gayi ki ye awaaj zetron ki hai aur ye bhi ki use ab kya karna hai. Ye sach tha ki wo ab bhi khud ko hi doshi maanti thi aur is soch se chhutkara pana asaan nahi tha. Usne aankhe band ki aur sochne lagi ki ye sab uski galti se nahi ho raha. Balki ye sab hona to likha hi tha aur iske hone ka wo bas ek jariya bani hai. Thodi hi der mai use bahut sukoon mehsoos hua aur uske hath khud hi phoolo ki taraf chal diye.
Isi waqt neha ke kaano mai bhi zetron ki awaaj ne dhawa bola. Darasal un sabhi ke kaano mai zetron ki awaaj ek sath goonji thi.
''Yaha khade-khade sikudne se kuch nahi hoga ladki..thoda dhyan lagao.. mausam ko tabhi kaboo kiya ja sakta hai jab tumhari andar se iksha-shakti ho.. mausam ko apne bachhe ki tarah mano jise tum jaisa chahe bana sakti ho.. achha bhi aur bura bhi.. koshish karo.. kuch aur nahi to apne bachhe ke liye hi karo kyuki ye thand to us nanhi si jaan ke liye janlewa ho sakti hai..''
Ye khayal man mai aate hi ki uska bachha mar sakta hai wo kaap gayi thand nahi balki dar se. Zetron ki awaaj se wo ye to samajh gayi thi ki kya karna hai lekin kaise karna hai ye wo nahi samjhi. Lekin phir bhi apne bachhe ke liye usne koshish karne ki sochi.
Usne aankhe band ki aur aas-paas chalti barfili hawao ko mehsoos karne lagi. ''Mujhe Pareshan Mat Karo.. Mujhe Garmi Chahiye..'' apne man wo jor se chillayi jaise man hi man kisi bachhe ko daat rahi ho aur iska asar bhi hua jo usne aas-paas kam hoti thand se mehsoos bhi kiya.
to be continued...______________________________
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Misterio / SuspensoSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...