18. Something Is Wrong With Everyone (Episode- 18)

376 3 3
                                    

18. Something Is Wrong With Everyone

(Episode- 18)

Kawya unse thodi door jhadiyo ke paas apne dosto ke sath baithi thi. Unse ek bahut hi bhadda sa black top aur white short skirt pehna hua tha. Wo usme kafi ajeeb lag rahi thi lekin sabse ajeeb thi wo cheez jo wo kar rahi thi. Wo aur uske saare dost waha baithe 'cigarette' pi rahe the. Lekin aisa lag raha tha jaise kawya ko cigarette pini nahi aati kyuki wo kafi khaas rahi thi.
''Ye meri kawya nahi ho sakti...'' uski harkato ko dekhkar gaurav khud hi bola.
''Is dimension mai lagta hai kawya bhi hamare dimension wali se alag hai..'' sarang ne ek lambi saans chodte huye kaha.
''To isi antar ki baat zetron kar raha tha.. lekin ye to kisi bhi angle se meri kawya nahi lagti.. wo to cigarette ko chooti bhi nahi thi... aur ye kapde kitne wahiyat hai..'' gaurav ko to yakeen hi nahi ho raha tha kawya ko aise dekhkar.
''Haa yaar.. ye to apni kawya ki theek ulti hai.. lekin patana to tujhe ise hi hai..''
''Abe pagal ho gaya hai kya.. aisi ladkiyo ko to mai dekhta bhi nahi.. aur phir kawya ki sabse badi khasiyat to uski saadgi aur masoomiyat thi.. aur ye to mujhe kisi bhi angle se masoom nahi lag rahi..'' gaurav bola.
''Lekin hum yaha isiliye liye to aaye hai.. agar tu kawya ko nahi pa saka to hamara yaha aana bekar ho jayega..'' sarang ne gaurav se kaha.
''Chalo.. baat karke dekhte hai..'' gaurav ne kaha aur phir waha se uthkar kawya ki taraf chal diya. Uske peeche peeche sarang bhi chal diya.
''Hii kawya..'' gaurav ne darte huye kaha.
''Hii..'' kawya ne bina uski taraf dekhe ekdum rookhi awaaj mai kaha aur phir ek kash lagaya. Aur is baar bhi kash lagate hi use khaasi aa gayi.
Is par gaurav ki kuch aur bolne ki himmat hi nahi huyi uski rookhi si awaaj sunkar.
''Abe dekh.. 'sir ji' aaye hai.. is chashmish ke sath..'' kawya ka ek dost sarang ko aata dekh kawya se bola.
Is par kawya ne sir uthakar gaurav ko dekha aur uska majak udate huye boli, ''oye.. hoye.. dekho to sahi... chashmu aaya hai.. wo bhi bina chashme ke... phir se tod diya kya tera chashma janu ne..''
Gaurav ko to yakeen hi nahi ho raha tha ki kawya kaise baat kar rahi hai usse aur kise janu keh rahi hai. Par use iska jawab turant hi mil gaya. Sarang ke aate hi kawya uth kar khadi huyi aur uske gale lagte huye boli, ''Hii janu.. kaise ho.. aaj phir is chashmish ko peetne wale ho kya?? And sorry! mera man kar raha tha isliye aaj cigarette try kar li..''
Sarang ekdum bhochakka reh gaya tha kawya ki is harkat par. Usne turant kawya ko apne se alag kiya aur bola, ''ye kya kar rahi ho tum.. mere gale kyu pad rahi ho.. mai to tumhe theek se janta bhi nahi.. aur mai apne sabse achhe dost ko kyu peetne laga bhala..''
''Ohho itni narajgi.. aur majak achha kar lete ho janu.. mujhe nahi jante?? Aur ye gadha kab se apka best friend ho gaya??''
Isse pehle sarang koi jawab deta gaurav bol pada, ''chal bhai yaha se.. mujhe aur kuch nahi sunna hai..''

Gaurav ki ankho mai aansoo the. Use to kawya ki baatein sunkar poori duniya ghoomti najar aa rahi thi. Yaha is duniya mai to kawya sarang ki girlfriend hai. Use to zetron par gussa aa raha tha ki kyu usne isi dimension ko chuna.

Sarang bhi gaurav ki ankho mai aansoo dekhkar waha se bina kuch kahe uske sath chal diya.
''Ye kya ho raha hai yaar.. yaha to sabkuch alag hai.. chal wapas chalte hai yaha se..'' sarang college se bahar aakar gaurav se bola.

''Ha bhai chalte hai..'' gaurav ne itna hi kaha aur apni jeb se IDT nikal li. Wo red button dabane hi wala tha ki kuch sochkar usne IDT ko phir se jeb mai rakh liya.
''Abe kya hua.. chalna nahi hai kya.. ab bhi kuch dekhna sunna baki reh gaya hai kya..'' sarang ne use IDT jeb mai rakhte dekh kaha.
''Mujhe yaha ke gaurav se milna hai.. usse kuch poochna hai..'' gaurav ne uski taraf dekhte huye kaha.
''Ab ye kya naya drama hai.. usse kyu milna hai tujhe.. pata nahi wo kaisa ho.. chup chap chal yaha se..'' sarang ki ankho mai ab gussa tha.
''Bas aise hi.. kuch baat karni hai usse..''
''Lekin tujhe dekhkar wo dar nahi jayega??''
''Kuch nahi hoga.. tu chal to sahi..''

Sarang ne aage behas karna theek nahi samjha aur phir kuch sochte huye kaha, ''theek hai.. mai abhi pata karke aata hu wo kaha milega.. hostel room dekh kar to aisa lag raha tha jaise hafto se wahi koi nahi aaya..''
''Theek hai.. lekin jaldi aaiyo..''

Sarang wapas college mai chala gaya aur phir thodi hi der mai wapas aate huye bola, ''chal.. uska pata mil gaya.. shehar ke bahar rehta hai..''
Dono waha se gaurav ke thikane ki aur chal diye. Sarang jaha jaha mudta, jaha jaha jata gaurav bhi bas uske peeche peeche wahi mud jata.
Thodi hi der mai wo ek purane se ghar ke samne khade the.
''Wo room to shayad hafto se Khali tha, lekin ye ghar to lagta hai saalo se khali hai.. pata to sahi hai na..'' gaurav ne ghar ki halat dekhte huye kaha.
''Ha yaar.. pata to yehi bataya tha.. dekh darwaja khula hai.. chal ander chal ke dekhte hai..''

Ander kafi andhera tha. Kisi ko kuch dikhayi nahi de raha tha.
''Abe yaar sarang.. yaha to bahut andhera hai.. kuch bhi nahi dikh raha..'' gaurav andhere mai sarang ko tatolte huye bola.
''Mujhe sab yaha 'sir ji' kehte hai.. teri sehat ke liye achha hoga ki tu bhi wahi kahe..'' sarang ekdum kadakdaar awaaj mai ek switch dabate huye bola.
to be continued...

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें