41. Execution Of Plan And....

230 1 0
                                    

41. Execution Of Plan And....

Episode- 41
Kawya ko dekhte hi gaurav ki saanse hi atak gayi. Kawya aaj use bala ki khubsurat lag rahi thi. Yellow colour ka sleeveless knee-length top, gale mai chota sa ek sundar necklace, halka fulka makeup aur chehre par hamesha bani rehne wali khubsurat si muskurahat. Halaki 2nd dimension mai gaurav ne kayi baar kawya ko dekha tha aur uski clone to abhi bhi uske bagal mai hi khadi thi lekin phir bhi use aisa lag raha tha jaise na jane kitni sadiyo baad wo kawya ko dekh raha hai. Iski sirf ek vajah thi, wo unse nahi apni kawya se pyar karta tha. Gaurav to but ban ke khada ho gaya tha lekin sarang aur nikunj abhi bhi hosh mai the. Kawya abhi unse door thi isliye usne unhe abhi tak nahi dekha tha lekin wo paas aa rahi thi.
''Abe oye... chhupao re isko.. agar kawya ne ise dekh liya to problem ho jayegi...'' sarang clone ki taraf ishara karte huye bola.
Sarang ki awaaj se gaurav ka dhyan toota. Wo bhi is situation mai hadbada gaya kyuki kawya kafi kareeb aa chuki thi.
''Jaldi se tum dono ise parking lot mai le jao.. mai kawya ko samhalta hu..'' wo hadbadahat mai bola.
''Theek hai...'' sarang bola aur clone aur nikunj ko apne sath lekar dusri taraf se parking lot ki or chala gaya.

Unke jate hi gaurav bina waqt gawaye kawya ki taraf bhaga aur seedha jakar uske gale lag gaya. Kawya bhi achanak huye is 'hamle' se ghabra gayi. Usne jor lagakar apne se chipke gaurav ko alag kiya aur kaha, ''are kya kar rahe ho.. sab dekh rahe hai.. aise kar rahe ho jaise barso baad dekh rahe ho..''
''Shhhh... please abhi kuch mat bolo..'' gaurav ne usse kaha aur phir uske gale lag gaya. Uski ankho mai ab ansoo aa chuke the.
Is baar kawya ne bhi use alag karne ki koi koshish nahi ki. Kuch der tak yu hi chipke rehne ke baad gaurav ko samay ka dhyan aaya to wo alag hua aur mall ki ghadi ki or dekha. Waha 8:07 ho rahe the.
''Kya baat hai Mr let-latif... aaj to aap time se pehle hi aa gaye..'' gaurav ko ghadi ki taraf dekhte huye kawya ne majakiya andaz mai kaha.
Ghadi ki taraf dekhte hi gaurav ko apne kimti samay ka andaj hua aur wo ekdum serious ho gaya.
''Hume yaha se chalna hoga.. abhi..'' gaurav ne kaha. Wo kafi serious lag raha tha.
''Are abhi to aaye hai.. aur tum chalne ki baat kar rahe ho..'' kawya ne shikayat karte huye kaha.
''Please... yaha se chalo... warna kuch bura ho jayega..'' gaurav ne uske samne hath jodte huye kaha.
Gaurav ko aise pareshan dekh kawya bhi serious mode mai aa jati hai. Use bhi lagta hai ki kuch baat jarur hai jisse gaurav pareshan hai.
''Theek hai.. chalo chalte hai..'' kawya ne uske kandhe par hath rakhte huye kaha.
Kawya ke ha kehte hi gaurav ne uska hath pakda aur teji se usi taraf chal diya jaha abhi thodi der pehle sarang aur nikunj clone ke sath gaye the.
''Aaj tum taiyar hokar nahi aaye??'' Kawya ne kuch der baad chalte huye kaha. Uska ishara gaurav ke kapdo ke upar tha. Usne casuals hi pehan rakhe the lekin wo bhi store-room ki dhool mitti ki vajah se gande ho gaye the.
''Haa'' gaurav ne bas itna hi kaha. Wo jaldi se parking lot mai jana chahta tha.
''Kya baat hai?? Itne pareshan kyu ho??'' Kawya ne bhi pareshan hote huye poocha.
''Sab bata denge.. tum bas jaldi se yaha aa jao..''gaurav ki jagah sarang ne kaha. Jab gaurav ne aas-paas dekha to wo parking lot mai pahucha chuke the aur sarang unke samne khada tha.
''Ohh.. hi sarang... tum yaha kaise??'' Kawya ne sarang se poocha. Sarang ko yaha dekhkar wo thoda surprised ho gayi thi.
''Kuch baatein hai jinka jaanna tumhare liye jaruri hai.. mere peeche aao..'' sarang ne kaha aur unhe apne peeche wahi le gaya jaha time-machine, nikunj aur clone the. Kawya ne clone ko to nahi dekha kyuki use sarang ne chhupa diya tha magar use machine aur nikunj dikh gaye.
''Ye kaun hai??'' Nikunj ki taraf dekhte huye kawya ne poocha.
''Ye nikunj hai.. hamara naya aur sabse achha dost..'' jawab gaurav ne diya.
Kawya ne usse hath milaya aur phir gaurav ko dekhte huye boli, ''ab please mujhe bataoge.. yaha kya ho raha hai..''
''Bata denge lekin pehle kisi aur se bhi mil lo..'' gaurav ne kaha aur ishaare se clone ko lane ke liye kaha.
Sarang itni jaldi kawya ke samne clone ko nahi lana chahta tha magar gaurav ke kehne par use clone ko lana hi pada. Jaise hi sarang clone ke sath waha aaya use dekhte hi kawya dar ki vajah se 2 kadam peeche hat gayi.
''Y...ye...y...ye k..kaun.. hai..'' haklate huye wo boli.
Gaurav ne use samhala aur paas khadi ek gadi ke bonut par bitha diya. Iske baad uske dono hath apne hath mai lekar usne us raat se lekar aaj raat tak ka saara kissa use suna diya. Kawya use aise sunti rahi jaise goongi ho gayi ho. Use kuch bhi samajh mai nahi aa raha tha ki ye gaurav kya keh raha hai.
''Tumhe yaad hai tumne abhi upar kaha tha ki aise kar rahe ho jaise barso baad dekh rahe ho.. mai aaj tumhe lagbhag 1 saal baad dekh raha hu.. ye ek saal kaise beeta ye bas mai hi janta hu..'' itna kehkar gaurav ne apni baat khatam ki.
''Ye majak hai... hai na??'' Kawya ne poocha. Use ye sab wakai majak hi lag raha tha.
''Nahi ye koi majak nahi hai.. agar yakeen na ho to ye tumhare samne hi khadi hai hamari time-machine..'' gaurav ne kaha.
Kawya kabhi time-machine ko dekh rahi thi to kabhi un teeno ko.
''Hume jaldi karni hogi.. 9:00 baje chuke hai..'' sarang ne kaha. Kawya ko sari baatein batane mai time kab nikal gaya kisi ko pata nahi chala.
''Tumm... tum waha jao.. waha idhar udhar ghoomti rehna.. aur koi admi tumhe chede to usse jhagda karna..'' gaurav ne clone ko ek direction mai jane ka aadesh diya. Uski baat sunkar clone usi disha mai chal di.
''Ye galat hai.. tum mere liye uski bali chada rahe ho.. wo bhi to insaan hi hai..'' kawya ne gusse se kaha.
''Hum kisi ki bali nahi chada rahe.. wo ek clone hai.. aur clones waise bhi jyada din nahi jeete..'' gaurav ne nikunj ke dialog kawya par chipka diye.
''Phir bhi.. hai to wo jeeti-jagti insaan hi..''
''Please jaan.. bahas mat karo.. jo ho raha hai hone do..'' gaurav ne kaha jiske baad kawya chup ho gayi.
Thodi der wo log wahi khade rahe aur tabhi goli chalne ki awaaj unhe sunayi di jise sunkar sab saham gaye. Thodi der sab yu hi khade rahe aur phir gaurav bola, ''sarang... jara dekhke to aa.. nikunj ko bhi sath le jaa..'' gaurav ne sarang se kaha. Kawya kafi dari hui thi to wo wahi rukna chahta tha. Uski baat mankar sarang aur nikunj dono usi disha mai chal diye jaha se goli chalne ki awaaj aayi thi.

Thodi hi der mai dono laut aaye. Unke chehre par ek ajeeb expression tha jise dekhkar andaja lagana mushkil tha ki kaam hua ya nahi.
''Kaam ho gaya.. chalo chalte hai yaha se..'' sarang ne kaha.
Uski baat sunkar kawya ko kafi bura laga kyuki uski vajah se ek jaan gayi thi. Wo log machine ki taraf badhe hi the ki nikunj ne kaha, ''gaurav mujhe kuch kehna tha isse pehle ki hum apne samay mai pahuche..''
''Yahi na ki tujhe hamare nahi dusre wale dimension mai rehna hai..'' gaurav ne muskurate huye kaha.
''Haa.. lekin tujhe kaise malum??''
''Abe ab rehne bhi de.. dekha tha maine kaise gale mil rahe the tum dono.. aur tera chehra bhi pad liya tha jab maine kaha tha ki ab hum yaha nahi aayenge.. chinta mat kar... waha pahuchte hi mai tujhe tere pyar se mila dunga.. waise aag dono taraf barabar lagi hai..'' gaurav ne use chedte huye kaha.
Iske baad sabhi time-machine mai aa gaye. Jaha kawya kuch dukhi thi wahi gaurav bahut khush aur excited tha. Iska asar ye hua ki gaurav ne galti se time-machine ka time 3 March 2022 ki jagah 3 March 2023 yani 1 saal aage ka daal diya aur use pata bhi nahi chala. Usne 'Go!' button dabaya diya aur machine furrr ho gayi.

Jaise hi wo time-machine se bahar nikle bahar ka najara dekh kar unki ankhe phati ki phati reh gayi.
''Abe hum mere dimension mai kaise aa gaye..'' nikunj ne kaha.
to be continued...

______________________________

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें