164. Baby shower

371 22 0
                                    

Happy Anuseena day💖💖

Continued from previous part.

Maa- kitne pyare lagte hai dono sath mein...(Whisper to ammi)

Ammi-haa or dono ek dusre ka kitna khyal rakhte hai, phele Haseena ne Anu ke liye jaldi se khane ke liye bana diya or ab Anu Haseena ko apne hath se khila Raha hai taki usse takleef na ho...(whisper back)

Maa- yahi toh pyar hai inka, ek dusre ke liye kuch bhi kar sakte hai..

Hm- aah...(Lightly moan)

Ammi- kya hua Haseena...

Hm-kuch nhi ammi vo bas baby ne jor se kick kiya tha...(Smiling)

As- aaj kal bada jor se laat marna laga
hai...(Rubbing her bump)..

Hm- aap sab baate kariye hum khane ka dekhte hai....

Maa-chal hum bhi chalte hai...

Ammi- mai bhi chalti hu.....

As-hum akele kya karenge yaha hum bhi aap teeno ki saheta kar dete hai...

Hm-aap teeno ko aane ki jarurat nhi hai hum akele manage kar lenge or kuch bhi jarurat hogi toh bula lenge... (smiling)

Maa-chal thik hai ja tu sunegi toh hai nhi...

She went in kitchen for preparing dinner while All trio are talking.

Maa- acha Anu sun, maine or samdhan ji ne socha hai ki ab Haseena ki god bharai kar le or sath me Anuradha ki bhi...

As- thik hai maa jaisa aap sabko thik lage...

Ammi- sham ko pandit ji ko bula kar muhurat nikalvaya hai 3 din baad ka muhurat nikala hai....

As- thik hai toh hum us din chutti le lenge...

Maa- tujhe chutti lene ki jarurat nhi hai, ye sirf aurto ka kaam hai...

As- ese kaise maa hamari patni or bache ka samaroh hai hum kaise nhi honge, please maa hume bhi aane dijiye na, ammi aap boliye na maa se... (pleading)

Ammi- aane dijiye samdhanji, vase bhi ab toh sab aate hi hai...

Maa- thik hai ruk jaiyo tu bhi..... (Smiling)

As-Dhanyawad maa dhanyawad ammi, ek min aapne ye kaha na 3 din baad hai...

Maa-haa kyu??

As- are us din toh Haseena ka janamdin bhi hai 17 may....( Smiling)

Ammi- are haa hum bhul kaise gaye...

Maa- fir or double khushi ka moka ho jayega...(Smiling)

As-haa, Haseena ko bataya is baare me aapne...

Ammi- sirf itna bataya tha ki 3 din
baad hai Tarik nhi boli thi or esa lag
raha tha jaise usse khud yaad na ho..

As- toh aap dono unhe bataiyega bhi mat ussi din pata chalega toh kitna acha hoga...(Happily)

Maa- thik hai nhi batayenge...

Hm- kya nhi batayenge...( while coming to them)

Ammi- kuch nhi bas ese hi... (Nervously)

Hm-kuch toh baat hai Anubhav aap bataiye kya kisse nhi batana...

As- vo nhi batana nhi batana hai sabko ki 3 din baat god bharai hai tabhi toh sab mehman aayenge naa...(effeciently change the topic)

Hm-ohh...

As- maa jo bhi kuch kaam hoga bata dijiyega...

Maa- tu bas phool vale or meethai vale ko phone kar diyo baki mehmano ko hum kar denge....

Anuseena-Strangers to loversWhere stories live. Discover now