Next day evening:
As per plan sai takes virat to the park and starts searching for samrat...
Virat: kise doond rahi ho sai?... Koyi aane vala hai kya? Par yaha tum kise janti ho? (Sai kept searching) sai mai tumse kuch pooch raha hu... Kon aane wala hai...?
Sai: uffooo virat sir! Kitne sawal poochthe hai aap... Mein yaha tensed hu aur aap hai ki sawal karthe jaa rahe hai... Thodi der chup rahiye...
Virat follows her order as nothing can be done... Suddenly sai pulls him behind a tree...
Virat: yeh achanak kya hogaya tumhe...
Sai:(in low voice)chup rahiye... Dheere boliye... Voh aa gaye he...
Virat: acha teek hai.. par kon ayaa hai...
Sai: virat sir ... Jinhe mai aapko dhikane jaa rahi hu voh aap mai aur poore chauvans jaanthe hai... Par virat sir aapse vadaa chahiye ki aap ... Aap jaise mai kahungi vaise hi karenge .... Vada dijiye...
Virat:(takes a deep breath but he is also confused) teek hai sai... VadaaSai shows him Samrat standing near tea stall where sai and samrat met and had conversation...
Virat looks in the direction shown by sai... Seeing Samrat virat widens his eyes .... Couldn't believe he saw his Jeeva... His eyes filled with tears... He slowly took his name... "Jeeva... "
Virat looks at sai and says.." Jeeva... Mera jeeva ..sai...voh teek hai ..... Mai... Mai...use milne jaa raha hu.."
Sai pulls him back... Virat is just watching samrat with teary eyes... He is trying to go even though he is being stopped.. sai turns his face gently towards her ... To make him see her.. seeing him cry sai couldn't control her tears too...
Sai: virat sir .... Please meri ore dekhiye... Sambhaliye please... abhi Aapka janaa sahi nahi hai .... Aapne vada kiya tha ki jo mai bolungi aap vahi karenge... Aur aap yahi rahenge...
Virat: par sai kyu...? Kyu nahi mil saktha mere bhai ko...
Sai: kyunki unhe apke aur pakhi didi ka sach pathaa hai aur shayad isiliye wo ghar nahi aa rahe hai...
Virat:(little angry) tum pagal hogayi ho kya... Mera jeeva mere vajah se ghar nahi chal raha hai aisa ho hi nahi saktha... Aur tum itni yakeen ke saath kaise keh sakthi ho...
Sai: kyunki kal mein dadaa se mili thi... Aur unki baatho se mujhe yahi laga...
Virat: (in little angry tone)aisa tumhe laga na usne tho nahi bataya na...jhoot hai yeh...mera jeeva hai voh... Aisa kuch bhi nahi hai...
Sai: teek hai... Mai unse baat karne jaa rahi hu... Aap yahi rehkar suniye and please bahar math ayiyega... PleaseSai goes to samrat and virat manages to hide behind a tree from where he could listen their conversation...
Sai: hi dada... Sorry dada thodi late hogayi...
Samrat: koyi baat nahi sai... Vaise sai ek baat poochna tha... Kal jo tum apne pati ke baare me bhola.. voh sunkar mujhe bohot acha laga... Man kiya ki ek baar mil lu... Kya milvaoge..?
Sai:( in mind... Voh tho tadap rahe hai apse milne ka... Par yeh sahi samay nahi hai isliye nahi milvaya varna abhi aap apne bhai ko bhi mil chke honge)
Pakka dada... Dada kya mai bhi aapse kuch pooch sakthi hu?
Samrat: ha sai... bilkul pooch sakti ho..
Sai: voh dada... Kal aapne kaha ki yaha parivaar se dhoor kisi kaam ke vajah se reh rahe hai... Par mujhe aisa lag raha hai ki koyi aur karan hai...
Hai na?
Samrat smiles and says: ha sai... Voh mai ne jhoot bhola tumse...kuch logon se dhoor rehna chahtha tha... Unhe face nahi karna chahta tha isliye yaha reh raha hu... Sai... Kaisa lagega ki apne koyi kareeb humse baathen choopadhe aur voh baath aise time pe bhahar aye jab hum kuch kar bhi nahi sakthe...meri patni... Apni marzi se shaadi ke liye ha kahi aur shaadi ke raat patha chala ki voh mere bhai se pyaar karthi hai aur voh log mere liye apne pyar ka tyaag kiya... yeh janne ke baadh bhi kya mai kushi se jee paungaa.. nahi na....unka tyaag mere liye phasi hai... Gutan ho raha tha... Isiliye ladak ke military ka kaam katam hothe hi yaha chala ayaa... Unhe shak na ho uskeliye mere samaan ghar bejh diya aur mere senior officers ke dwara unhe bataya ki mai missing in action hu...
Sai: Dada... Aapka dard samajh sakthi hu.. lekin kabhi kabhi jo hum sunthe hai dekhte hai voh adha sach hotha aur vakth ke saath bhohot kuch badal bhi kathaa hai... Ek baar apne bhai se baat kare tho...
Samrat: nahi sai.... Kisi se baat nahi karna chahta isliye tho yaha parivaar se dhoor reh raha hu.... Khair... Yeh sab chodo... Mujhe abhi yaad aya ki mujhe kuch kaam hai... Jana padega... Par yaad rakhna kal milvana hai... Are ha... Kaha milvaoge..
Sai: jaha aap kahe..
Samrat: teek hai... Mere ghar par milthe hai... Chai ke sath bathe kar Lethe hai... Tumhara number do mai address bhej detha hu...
They exchange numbers and bid goodbye...
Meanwhile virat after listening to what samrat said is completely broken... He leaves to home alone... He is not in his senses... He just couldn't believe that he is the reason behind samrat not returning back home...
Sai searches for Virat but he is not in the park... She thought he might left to home and so she leaves to home...She searched for him in the house but he is not present anywhere... She searches in garden... He is sitting in the chair and is restless...
She goes to him places her hand on his shoulder.... He sees her with teary eyes and immediately hugs her( just like one attached to this chapter... Inspiration from Bhanwar)He starts crying... She tries to console him caressing his hair...
Sai: virat sir...hushhhhh.... Shanth hojayiye... Please... Shanth hojayiye... Mai jaanthi hu ki aap kis baath par itne pareshan hai... Virat sir samrat dada bhi usi situation se guzar rahe hai jisse mai guzri thi aur apse jagda hui thi... Bas itna fark hai ki mujhe shaadi ke samay patha thi par unhe nahi... Virat sir unhe samjana hoga ki bhohot kuch badal gaya hai... Aur aap hi yeh baat unhe samjayenge...
Virat: (breaks the hug and says) kaise sai... Voh mujse baat tak nahi karna chahta... Mai kaise jau uske saamne... Meri vajah se voh ghar nahi aa raha...yeh soch soch ke mujhe... mujhe kudh par gussa aa raha hai... Kaha meine socha ki aisa karne se sab teek hojayega aur kaha meine teen zindagi barbadh kar dhi...
pakhi ka... Samrat ka ... Aur ...tumhara..Sab .... Sab meri galti hai...
She kneels down before him... Places her hands over his cheeks wiping his tears with her thumb...
Sai: pagal ho gaye kyaa aap... Kisiki life barbad nahi ki hai aapne... Meri tho bilkul bhi nahi... Virat sir sirf situations galat the... Aap nahi... Please apne aapko blame karna bandh kijiye...
She hugs him and rubs his back and consoles him...
Sai: virat sir mai aapko aise toothe hue nahi dekh sakthi... Sabh kuch teek hojayega hum milkar sab kuch teek kardenge.... Jeeva aur Shiva phirse pehle ki tarah kushi kushi rahenge... apne aapko sambhaliye... Agar aap aise toot jayenge toh kal dadaa se baat kaise karenge.. kal unke ghar jaana bhi tho hai na....
Virat nods as yes...
Sai takes him inside the house...
She tries to feed him but he kept denying to have anything... He goes to bed and pretends to sleep...
Sai sits beside him on bed... Caressing his hai...she prays" Bappa... Kal sab kuch teek kardenaa... Please... Virat sir aur samrat dada dono ko milvadena... Please 🙏"Let's see what happens next... Will virat be able to convince his bhai... Will everything becomes normal... Let's see how our SAIRAT manages this situation...
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai kisike pyar me❤️
FanfictionFocus on the journey of Sairat❤️ Journey from hatred to Love💘 Continuation is in Ghum hai kisike pyaar mein ❤️ part 2