Family fun❤️

1.6K 115 12
                                    

Sai comes down before virat call her..
Sai: mere bina hi baathe kar rahe hai kya...
Ninad: tumhe bhulane ke liye tho virat ko bej rahe the hum... Aau bada... Mere paas baito...
Sai sits near baba...
Sai(whispers): baba... Aapne ladoo khaye kya...
Ninad(whispers): kaha... Ashwini tho mujhpar nazar rakhi hui hai... Yeh uska ladla bhi... dho hafthe hogay... Ek ladoo tho bantha hai na...
Sai:(whispers) hmm... Mai hu na... Bas ek laddoo ha... Usse jyada nahi mangenge aap...
Ninad: promise..
Virat: yeh kya ho raha hai yaha par... Maine laddoo aisa kuch suna...
Sai: laddoo... Kya laddooo kaisi laddooo... Aap bhi na virat... Kya sunthe hai aaj kal... Shayad aapne yeh suna hoga ki..ki aap laddoo jaise ho rahe ho... (Ninad🤭)
Virat: mai... Mai laddoo... (Louder)Aai dekhiye na yeh log mera mazak uda rahe hai... Aur  laddoo ke baare mein baathe kar rahe hai... Kahi chopa lijiye sweets ko
Ninad: baap ka dushman... Kyu bataya apne aai ko...
Virat: subah jab aai mera khaan kheech rahi thi tab tho mazaa kar rahe the.. ab dekho plan spoil kardiya aur hogaya na revenge poora...
Sai: haww... Dekha baba.... aapse revenge lena chahthe hai yeh...
Ninad: dekh raha hu sai... Kabhi na kabhi tho milega na mujhe mauka... Tab bataunga.. ki tera baap bhi kam nahi hai...
Ash: bas bas ninad... Iski acting skills na aapse aaye hai shayad... Dono ke dono kharab acting karthe ho... Apni Ladli bahu se milkar laddoo ka treasure hunt karo raath ko... Kuch nahi milne vala...
Ninad: kyu...
Ash: kyunki ghar mein sweets hai hi nahi..
Virat😂🤭😂 ninad and sai😯😯
Sai: aise kaise Maine tho sambhalke rakhe the...
Ash: kya..? Kya kaha...
Virat(in mind): pakdi gayi...
Sai(trying to cover up): kuch nahi aai.. maine kya kaha.. haaa voh chai dene keliye kaha....
Ash: achi baat hai... Ninad.. yeh lijiye chai pee lijiye aur yeh rahi aapke garma garam pakode...
They all have tea along with pakode...
With some gossips and taang khichayi
After completing...
Sai: baba... Ek request hai.. Pesh karu..
Ninad: karo bacha..
Sai: suna hai ki aap hormonium bajathe hai... Ek baar... Hume bhi suna dijiye na... Please
Ninad: par sai... Bhohot saal pehle bajaya kartha tha ab patha nahi kuch yaad hai bhi ya nahi... Aur voh hormonium bhi purana ho gyaa hoga kaam nahi karega...
Sai: please baba... Ek baar koshish tho kijiye na ... Aapki sai ki choti si... Choti si request hai...
Seeing her cutely requesting he couldn't say no...
Virat: aap play karne wale hai... Tho mai launga hormonium store room se...
Sai: mai bhi jaungi...
They both go to store room...
Sai: itna andhera hai yaha par... Virat lights on kariye na...
Virat: kar raha hu sai lekin lights on hi nahi ho rahe... Lagtha hai karab hogay...
Sai: tho phone ke torch tho on kijiye...
Virat: lo kardiya... Ab doondoo...
They search for hormonium...
Sai while searching for hormonium she pushes something unknowingly which is supporting a cupboard... It's about to fall over her...
Virat: saiiiii..... He stops the cupboard from falling on sai...
Sai: virat... She helps him to make the cupboard stand properly in its right position... sai checks his hands...
Sai : aapko lagi tho nahi... Huh...
Virat: nahi sai... Shaanth... Kuch nahi hua... Tum teek ho na...
Sai: haa virat...I am sry...Meri vajah se
Virat: shhhh... Ab yeh hatsa bhul jau aur hormonium doondo...
At the same time an album falls from the cupboard....
Sai: yeh kya hai... Mmm.... Koyi album lagtha... Bahar le chalthe hai...
Virat: teek hai... Yeh rahi hormonium... Mil gayi... Chalo ....
They brings out album and hormonium to the hall....
Ninad: kitni der laga dhi aap logon ne.
Ash: kuch hua hai kya godu... Sai... Muh kyu utra hua hai...
Sai: voh aai... Cupboard mujhpar girne vaali thi aur virat ne girne se rokha...
Ash: kya...kuch hua.. chot lagi kya..
Virat: aai..Kuch nahi hua..chintha math kijiye aap log..chot bhi nahi lagi..
Ninad: chalo sab shaanth ho jau... Yeh hormonium yaha rak dho... Dekho tho kaam kar raha hai ki nahi...
He tests it and thank God it's still working... He plays it singing a song...
Others enjoy the song...
Sai pulls ashwini to dance... Ashwini denies first but later she dances with sai... Virat joins them.. Ninad adores looking at his family... After the song ends... Sai gets an idea...
Sai: kyu na hum antyakshari khele...
Ash: nahi nahi sai.... Mujhe gana nahi athi hai...
Ninad: jhoot math bholo ashwini... Kitne ache se gaathi ho tum... Humming bhi karthi rehthi ho...
Virat: ha aai... Aaj tho aapka bhi gana sunke rahenge...
Sai: ek kaam karthe hai teams banathe hai... Virat aur aai ek team... Mai aur aaba ek team mein...
Virat: teek hai...
They sit according to the teams and facing eachother...
Virat: sai babaa aap log start kijiye...
Ninad: teek hai...
He starts singing... Then virat then sai then ashwini.... They kept playing the game....sai sings a song which already sang as they didn't get any idea ...
Virat: cheating... Sai tumne yeh gana pehle bhi gaa chuki ho...
Sai: nahi tho... Aap cheating kar rahe ho... Aap aise kaise jhoot bhol sakthe ho Virat...
Virat: mai jhoot nahi bhol raha... Tum jhoot bhol rahi ho... Tum bhi jaanthi ho ki tumne yeh gana ga chuki ho...
Sai: aapna yeh Policegiri apne thaane mein dikhayiye... Yaha nahi... Maine koyi cheating nahi ki...
Ninad: bas bas... Virat chod dho is baath ko... Hum tho sirf game khel rahe hai na...
Virat: nahi baba... Aise kaise chod dhe
Sai galathi maan bhi nhai rahi...
Sai: kyu maanu... Nahi manungi...
Virat: matlab tumhe bhi pata hai ki tum galath ho... Hai na....
Sai: n..n..nahi nahi... Maine kab kaha... Mai nahi manungi kyunki maine galat nahi ki... Mr. Gabbar aap apna investigation ghar pe nahi thaane mein kijiye...
Virat: Mrs. Bhulakkad... Tum bhi cheating karna bandh karo...
Sai: aaapna ....
Ashwini holds her
Ash: shaanth sai... Shaanth...
Virat: haa aai... Garam dimaag ko shaanth karne keliye boliye ga...
Sai: babaa...aap bhi inse kahiyega ki apna kadoos vala roop chod dhe.. kadoos jasus kanjhoos makichooz...
Virat: sai... Tum...
Ninad holds him...
Ninad: virat... Tum tho chup hojau...
Kitnaa ladthe ho tum dono... Yeh game hi cancel kardethe hai... Teek hai ab...
Ash: ek dam sahi kaha ninad... Game vame chodo... Sai chalo dinner bana Lethe hai... Ya phir padayi karni hai tho upar jau... Dinner ke vakth bhula lenge...
Sai: nahi aai... Madadh karungi...
Ash: teek hai...chalo...
Sai teases virat while going... Virat gives her a angry look which further converted to a smile seeing the child in her....
Ninad and virat have a conversation related to cases and all... Whereas aai and sai prepare dinner....
After preparation they have dinner together... they all went to aai baba room...
Sai: arree... Aai mai tho bhool hi gayi
Ek album mila mujhe... Abhi laathi hu..( she went downstairs and got the album)
Sai: yeh rahi album...
Ashwini in excitement takes it...
Ash: eyy... Ninad dekh humare virat Samrat Mohit aur devi ke bachpan ke album.... Patha hai sai beech mein is album ko doonda is kamre mein.. mila hi nahi...
Ashwini opens it... ashwini and ninad  tells the story behind it... Few sweet memories few embarrassing moments... Childhood is the best part in anyone's life... Sai felt happy seeing the three refreshing all the memories... She felt her world is complete.... She misses her aaba...she recollects her memories with her aaba... She has tears in her eyes but hiding them from the family...
Ninad observes this and calls sai to sit by his side...
Ninad: Sai... jab tum is ghar mein aayi thi tho mai tumhe bahu tak nahi maantha tha... Dheere dheere bahu ke roop mein sweekaar kar li... Lekin aaj kehtha hu ki tum meri beti hi sai... Kabhi apne aaba ko yaad karke dukhi math ho... Khushi khushi yaad karo.. aur yeh bhi yaad rakhna ki jab bhi aaba ki yaad aye na baba ke paas aajau aur gale lag jau... Teek hai...
(Whispers) aur phir hum icecream aur sweets khane chalenge...
Sai smiles at this point...
Ash: kya bhola ninad...
Ninad: sai aur uske baba ke beech ka secret hai... Nai batayenge...
All have a group hug... They say goodnight to eachother...
Sairat leave to their room....
Virat enters the room and says...
V: sai aaj kitna maza aya na...the best day tha aaj....
Sai immediately hugs him from behind... And starts crying...
Virat gets tensed...
V: sai... Sai... Tum teek ho...
He brings her forward facing him... Cupping her face...he asks...
V:(softly)saiii.... Kya hua.... Bholoo
Sai: aaj mujhe bhohot acha laga aise time spend karke...
V: yeh tho achi baath hai na tho phir rona kyu...
Sai: aaba ke guzar jaane ke baad maine aise happy family ke sapne hi dekhna chod dhi thi virat... Mujhe kabhi is parivaar se pyaar aur parvah ki umeedh nahi thi... Aur jab sab mujhe samajhne lage pyaar dene lage mujhe bhohot khushi hothi thi... Aaj na aisi feeling aa rahi hai jaise meri life complete hui ho...
V: sai...sai... Yeh kya bhol rahi ho... Tum sirf 21 ki ho... Poori zindagi padi hai tumhare saamne... Aise kaise complete feel aa rahi hai... Huh?
Sai: virat... Mera matlab tha ki mujhe ek completeness feel ho rahi hai jo aaba ke jaane ke baad kaalipan thi mere life mein... Voh poori ho rahi hai... Mujhe apna parivaar milgaya hai... Thanks to you virat....
V: chup.... Ajau....
He hugs her so tight as if there is no tomorrow.... Their love kept increasing day by day... Hope it continues as such for the rest...

I hope you like it ☺️.... Thanks for supporting and keep supporting... Your precious comments makes me feel happy... Thank you... Once I get new ideas to add I will keep posting the chapters... It may not be consistent... But will post for sure..

Ghum hai kisike pyar me❤️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें