One night.....
After dinner... In our SaiRat room....
Sai's feet are swollen... Walking is bit difficult for her.... She somehow sat on chair..... Virat observes this.... He first places pillows at her back....He then brings oil and sits down leaning back to the chair...takes her into his lap....
Sai: yeh aap kya kar rahe hai.... Pair chodiye....
Virat: nahi.... Dekho pau sujh gaya hai.... Aai ne kaha ki thel se massage karoge tho aaram milega....
Sai: tho mai kar lungi na....
Virat: meri beti tujhe karne hi nahi degi...
Sai: kya
Virat: Sai.... Tum kar nahi paugi... Tumhare haath pair tak nahi ayenge is halath mein... Dhikkath hogi... Aur mujhe yeh sab karne mein koyi problem nahi hai .... Isiliye aapne muh pe thala lagau aur thodi dher relax karo....
He starts massaging her feet..... She felt so relieved....
After giving massage...
Virat: chalo ab so jau....
Sai: neendh nahi aa rahi hai Virat...
Virat: koshish karo.... Neendh aa jayegi... Chalo ab
Sai: nahi ..... Subah se aaram kar karke thak gayi hu....
Virat: acha teek hai.... Movie dekhe....?
Sai:(excited) okay.... Konsi movie...
Virat:(making fun of her)horror dekhe? Chudail bhooth and all... Maza ajayega....
Sai: haa haa mujhe darane mein tho mazaa aatha hi hai aapko....
Virat:(hiding his smile) kyaa?! Gadchiroli ke sherni ko dar lagtha hai.... Voh bhi bhoothon se....
Jhoot math bholo sai...
Sai: aap tho aise baath kar rahe hai jaise aapko patha hi nahi ki mujhe dar lagtha hai....
Virat laughs...
Virat: patha hai....ki Kitnaaa dar lagta tumhe.... Koyi Rom com dekh Lethe hai....
Sai: okay.... (She tries to get up )
Virat: rukho ek minute....
He helps her and makes her sit on bed... Arranges pillows behind her to lean on... He brings his laptop... And sits beside her... He keeps laptop in his lap.....She clutches his arm and places her head on his shoulder...
The movie starts....
(imagine ur fav rom-com)
They are watching the movie.... Some action sequence is going on.... Virat likes action sequences so he is watching with so much interest.... He hears some crying sound....
Virat:(in mind) action sequence mein rone ki awaz....
He looks at sai who is crying....
Virat:(tensed) Sai... Tum teek ho? Pain ho raha hai? Kya hua kuch tho bholo...
Ro kyu rahi ho...
Sai:(crying) mujhe kuch nahi hua...
Virat: phir ro kyu rahi ho....
Sai:(pointing to the screen and crying)yeh....
Virat: yeh(looks at screen) ek minute.... Tum action sequence dekhkar ro rahi ho....
Sai nods as yes
Virat: par kyu?
Sai: kitna maar kha raha hai... Kitna dard ho raha hoga na...
Virat: villain hai tho hero se maar khayega hi na.... Kya yaar Sai
Sai: phir bhi.... Mujhe rona aa raha hai.... (Crying )
Virat couldn't control his laugh...
Sai: aap has rahe ho?
Virat: tho phir kya karu .... Koyi action sequence ko dekhkar rotha hai kya...
Sai:(crying more)aap mazak uda rahe ho na mera....
Virat: aree nahi....
He brings tissue box and gives tissues to her to wipe her tears....
Virat: acha ok... Hum... Yeh forward kar dethe hai... Teek hai?
Sai: mm....
He puts some romantic scene... A emotional proposal scene....
Sai cries again....
Virat: ab kyu ro rahi ho Sai...
Sai:(wiping her tears) kitna pyaara scene hai.... Kitna pyaar kartha hai
Virat: tho isme bhi rona ...
Sai:mm....
Virat: movie cancel...
Sai: arre par kyu...
Virat: tum tho har scene par ro rahi ho.. isiliye no movie....
Sai: arre par movie achi hai.... Mujhe dekhni hai....
Virat: bilkul nahi.... Tumhare mood swings tho confusing hai.... Itni confusion mein mai movie nahi dekh sakta.... Chalo so jathe hai...
Sai: mujhe neend nahi aa rahi...
Virat: acha teek hai phir... Chalo walk karthe hai .... Vaise bhi doctor bhi suggest kiya tha tumhe walk karne keliye.... Chalo thodi dher corridor mein walk karthe hai..
Sai: nahi na....
Virat: chaloo.... Bas thodi dher Keliye... Chalo Sai....
He takes her to corridor... And starts walking.....
Virat: tumhara pau dard tho nahi kar rahe hai na?
Sai: nahi... Pehle se better hai.... Apka massage kaam kargaya....
Virat: Good....
Sai: Virat... ek baath poochu....
Virat: haa poocho....
Sai: jabse yeh suna hai ki aapko lagtha hai ki humara baby girl hoga... Tabse ek sawal dimaag mein atak gayi hai...
Sabko ladka chahiye hotha hai lekin aapko ladki.... Matlab ladki paidha hone par tho kisiko itni khushi nahi hoti jitna ek ladka paidha hone par hotha hai....
Virat: aisi koyi baath nahi hai Sai... Zamana badal raha hai log aur unke soch bhi badal rahe hai... Ab ladki paidha hone par bhi khushiya manayi jaa rahi hai... Ha shayad kuch log honge jinhe khushi nahi hothi hogi....
Par sab tho aise nahi hai na... Change has started na.... Aur patha hai is ghar mein auratho ka number jyada hai...
Bachpan se aaj tak mujhe itna pyar diya hai in sab ne... Bachpan mein aai ka pyaar... Bhavani kaku, sonali kaku, mansi bua shivani bua in sab ka itna jyada pyaar mila hai... Aur Tai... Tai tho humesha protect karthi thi hum bhaiyon ko daant padne se.... Voh rakhi bandhthi thi aur khudh hume protect karthi thi... Aur jab unki dimaagi halath teek nahi thi tab bhi unke pyaar mein Zara sa bhi badlav nahi dikha... Actually or jyada bad gayi thi..... Aur meri life partner... Tum bhi tho mujhe itna sara pyaar diya hai aur dethi rahogi.... Mereliye katra bhi mod lethi ho.... Aur phir karishma jaise pyaari choti behen ka pyaar mila... Pakhi ke saath athith mein kuch kadvahat thi aur voh kadvahat bhabhi ke roop mein pyaar se mita diya hai.... Mere zindagi ke har mod par yeh saari aurathe mere saath khade rahe mere daal bane....
Sai mard na aurath ke bina shunya hotha hai....lekin aurath apne aap mein poori hothi hai..... Kuch mard yeh baath samajh nahi paathe aur apna thos jamathe hai.... Kuch auratho ko lagtha hai ki unka koyi asthitv hi nahi hotha mard ke bina... Aur dono hi galath hai.... Jab sahi baath samajh jayenge tho koyi atyachar hi nahi hoga aur aurath aur mard ke beech equality apne aap ban jayegi....
Mai jo bhi hu usme mere parivaar ke auratho ka bahut bada haath hai.... Unhe mai pyaar ke alawa kuch nahi dhe sakta... Lekin apni beti ke life mein ek important role play karke usse duniya bhar ki khushiyan aur pyaar dekhar halatho se ladne ka himmath dekhar uski zindagi kubsurat banakar apna... Apna rin utarna chahtha hu...
Sai: rin?
Virat: galath math samjho... Mera matlab yeh tha ki mai yeh saara pyaar apni beti ko dena chahta hu....ek ladki ko..... Aur patha hai ... Harini.... Jab bhi use dektha hu tab mujhe lagtha hai ki kya meri beti bhi aise hi dhikegi... Aise hi mujhse pyaar karegi... Aise hi baath karegi.... Voh tho meri princess hai hi... Lekin ab mujhe meri pari bhi chahiye....
Sai: aapke baathen aapka soch.... Mujhe aapse phirse pyaar karne par majboor kardethi hai...
Virat: majboor..?
Sai: haa.... Ab yeh batayiye ki aapko kya lagta hai ki humari beti kaisi dikhegi matlab kispar jayegi....
Virat: tum par.... Maine bataya tha na ki meri beti apni aai jaise hogi.... Aur harkathe meri jaisi... Kya combo hoga na....
Sai: haa haa tab tho meri band baj jayegi dono ko sambhalthe sambhalthe....
Virat: very funny.... Vaise mere paas ek picture hai jisse patha chalega ki meri beti kaisi dhikegi...
Sai: picture....
Virat: haa ek minute dhikatha hu...
He takes his phone and opens the gallery....
He shows pictures to her...
Virat: yeh dekhoVirat: aur yeh bhi....
sai: yeh harini ke bday vale din ke pictures hai...aapke paas kaise....
Virat: mmm.... Tumhe kya laga ki tum Mohit se pictures khichvaugi aur apne pass rakhlogi tho tumhare pati tak voh pictures nahi ayenga....
Sai: lekin... Tab tho.... Humare beech...
Virat: tab bhi mai apne jaan ke pyaar mein ghum tha lekin.... Tab tho tum puzzles mein ghum thi...
Sai: mmm....
Virat: uhmmm.... Dekho tho kitni cute pictures hai yeh....(looking at the picture) Aise hi Xerox hogi meri beti....
Sai holds his arm and becomes emotional.....
Virat: Sai....
He brings her in front and cupping her face he says....
Virat: phirse ro rahi ho... Kya hua....
Sai: mai bhohot lucky hu... Bhohot jyada.... Mai kabhi nahi socha tha ki mere aaba ke baadh bhi meri ek duniya ho bhi sakthi hai ..... Aap aur yeh parivaar mujhse itna pyaar karthe hai ki mujhe aaba ki kami mehsoos nahi hothi.... Aur jab bhi unhe yaad karthi hu khushi se yaad karthi hu....
Virat: patha hai Sai... mai apne beti se kaisi rishta chahta hu.....
Sai: kaisi?
Virat: vaisa rishtha jo tumhare aur aaba beech thi.... Aaba hi meri inspiration hai is mamle tho.....
Sai: ab tho mujhe intezaar nahi ho raha yeh dekhne keliye ki aap dono ki bonding kaisi hone wali hai....
Virat: mujhe bhi....
Sai: hum dono uski aai baba se jyada ache dosth banenga....
Virat: bilkul.... Thaaki voh humare saath sabkuch share kar sakhe...
Sai: haa.... Aur hum use bhurayi se ladne ki training bhi denge...
Virat: haa... Sai version 2.0 bana dena.
Sai: with virat 2.0 qualities and features.....
Virat: haaan.... Aur use bhi meri tarah police wala bana dunga....
Sai: oo hello.... Aisa kuch nahi karenge aap.... Voh vahi banegi jo voh banna chahegi....
Virat: haa mai bhi vahi chahtha hu... Lekin yeh possibility hai na ki use khudh police force join karne ka icha ho.... apne baba ko dekhkar...kya patha voh bhi banna chahegi....
Sai: tho doctor banne ki bhi chances hai... Uski aai ko dekhkar voh doctor banna pasand kar sakti hai na...
Virat: haa lekin voh police hi banegi...
Police papa ke police pari.... Wah...
Sai feels the kick of the baby...
Sai: kick ki.... Baby ne
Virat: wah... Meri pari tho abhi se meri side le rahi hai.... Dekha....
Sai:😏 fine fine....
Virat: tum na jal rahi ho....
Sai: aisa kuch nahi hai....
Virat: aisa hi hai.... Dekha pari... Aap mere team mein ho na isiliye aapki aai ko jalan ho rahi hai....
Sai: coincidentally usne kick kiya... aap tho itni si baath pe ud rahe hai...
Virat: yeh coincidence nahi hai....(he places his hand on the baby bump) Pari aap hi bathadho ki aap mere team mein ho ki nahi... Ho na?
They feel the kick.....
Virat: yes yes...
He starts jumping like a kid and sai kept admiring.....
Sai: acha teek hai.... Ab mai thak gayi hu.... Sone chale .... Mujhe tho bhohot neendh aa rahi hai....
Virat: okay.....
They go to their room....
Sai sleeps on her side... Sideways.... Virat hugs her from behind placing his hand on her baby bump and she places her hand on top of his...
And they sleep peacefully.....
..........
I hope you like it and thanks for supporting and keep supporting and keep voting and drop your valuable comments too....
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai kisike pyar me❤️
FanfictionFocus on the journey of Sairat❤️ Journey from hatred to Love💘 Continuation is in Ghum hai kisike pyaar mein ❤️ part 2