Samrat's decision

2.1K 132 7
                                    

As usual Virat goes to work and when he comes back home he finds Samrat... He feels so happy and thought to hug him... But he remembers yesterday's incident and samrat's words... His anger... So he stopped himself...
Samrat: ab jab tumhara pati aa gaya hai tho jo bholne aya tha voh bhol detha hu.... Sai.... Mai aapke saath ghar... Vapas chalunga...
(Sai and virat are so happy to hear this)...sai jo tumne kal kaha voh teek laga... (He sees Virat and says)Chand logon ke karan mai apne baaki  parivaar se dhoor kyu rahu... (Looks back at sai)agar tum batao ki aap log kab jaa rahe ho tho...
Virat: voh hum.... Kal hi nikhal sakthe hai... Mera yaha kaam katam ho chuka hai aur mujhe parso nagpur station mein report karna bhi hai...
Samrat: toh phir teek hai sai... Mai nikhaltha hu... Kab aur kaise jaana hai yeh tum mujhe call karke bathaa dena..
Sai: ho Dada..
He leaves without looking at Virat..
Virat is happy that atleast Samrat accepted to come back home... He went to sai hugged her and says..
" Thank you sai... Thank you so much... Jeeva maan gaya tumhare vajah se..."
Sai breaks the hug ...
Sai: bappa... Itne saare thank you... Virat sir maine jo bhi kiya parivaar ke kushi keliya kiya isme thankyou kehni ki zarurat hi nahi
Virat: phir bhi mai kahunga... Meri patni ko bhi pata hona chahiye ki uske vajah se uska pati kitna kush hai... Aur kitna lucky bhi...
Sai: lucky..?
Virat: haa... Tum mera lucky charm ho sai... Tumhare aane ke baad jo bhi galath tha mere life mein voh sab sahi hone lagaa..jo kuch bhi bikar gaya voh phirse judne lagaa... Jo meine kho diya tha voh phirse paane lagaa... Sirf aur sirf Sai ke vajah se...
Sai: kuch bhi virat sir... Itna tareef... Itna bhi badaa kuch nahi kiya jitna aap bhol rahe hai...
Virat makes her sit on the bed and he kneels down holding her hands and says...
Virat: arre... Sach hi bhol raha hu... Tumhare aane se pehle mere life mein kitna kuch badal gaya hai... Pata bhi hai...
Aai ko har roj sunathe the lekin mein unka support nahi ban payaa bas akele mein aai ko sahaara detha rehtha tha... lekin tumne Aai ko unka hak dilaya hai...tumne unhe himmat dhi hai awaaz utane keliye...
Devi Tai .. Devi Tai ka halat dekh kar mujhe dukh hotha tha lekin kuch karne ke baare mein koyi socha bhi nahi..par tumne haar nahi maani unhe unki kushiya dila dhi...
Mohit ko humesha se compare kiya jatha tha mujse or jeeva se aur uski talent ko koyi respect bhi nahi kartha tha aur ek pal aisa bhi aya jab voh apna sapna chodna chahta tha.. lekin uski yeh pyaari si vahini ne use himmat dhi apna Passion follow karna ka... Aur ab dekho uski passion keliye aur uski vahini keliye poore ghar walon se lad Letha hai...
Ghar ke badon ko hamesha galat karne se rokha hai...
Jeeva ko phirse parivaar mein jod rahi ho... Pakhi ko uska pati ka saath milegaa... Mansi bua ko unka beta vapas mil jayega... poora parivaar ka Raunak hai jeevaa...jo mere vajah se kho gaya tha... Use phirse parivaar mein tum vapas laa rahi ho...
Aur mujhe... Mujhe tho sacha pyaar dila dhi na sai...  Jise mein pyar samajh baita aur itna bada phaisla le liya tha vo asal mein pyaar tha hi nahi.. aur jise mein sirf ek deal aur meri zimmedari maantha tha aaj vahi meri zindagi ban gayi...
Sai... tum is baat ko maano ya na maano par sach yahi hai ki tum meri lucky charm ho... Lekin mein ... Mein tho tumhare life mein sirf problems hi diya hai....(saying this he looks down with guilt)
Her eyes were filled with tears ... She wipes them and says..
Sai: arre.... (Lifts his head up) aap aise kaise keh sakte mere pati ke baare mein... Meine toh unke patni banne ke baad kuch kiya hai... Lekin voh toh mujse judne se pehle se hi mere liye bhohot kuch kiya hai.. mujhe jagtap se kitne baar bachaya hai pataa bhi hai aapko... Meri ek hi duniya thi ... Mere abaa... Unka mauth ka zimmedar tehraya unhe kitna kuch kadve shabdh bholi thi meine phir bhi mera saath diya... Mujhe khoon dekar meri jaan bachayi...aaba keliye meri zimmedari Li... Meri padayi rukne nahi di... Mujhe college mein admission dhilaane keliye apne parivaar ke niyamo ko thod diye... Devi Tai ke shaadi ke samay unhe mujhpar yakeen nahi hua aur ghar se nikhal diya tha... Lekin jab unhe realise hua ki mein sahi thi maafi mangne aur ghar lejaane aye the...tab bhi meine kitna kuch suna diya lekin veh haar nahi maane... mujhe ghar vapas le gaye.. mujhe ek parivaar diya... Kuch log abhi bhi naraz hai par mujhe yakeen hai ki veh bhi jaldi apnalenge mujhe... Mere liye poore pariwar se lad gaye... Mujhse itna pyaar karthe hai ki mujhe apni duniya maanthe hai... Itna kuch kiya unhone mere liye... (Tears rolled down their eyes... They wipes out eachother tears... Sai says)
Isliye kabardaar mere pati ke khilaaf kuch bhola tho...
Virat smiles and says
Virat: ho maajhi aai....
Sai kisses his forehead and says..
" Virat sir... Aap bhohot strong hai lekin jab baat parivaar ki ho toh aap bhohot sensitive bhi hai... Situation kuch bhi ho jaise bhi ho.. aapko tootna nahi... Mai aapko vaise halat mein nahi dekh sakthi... Sab kuch teek karlenge... Hum dono..."
Sai is back to her masti mode now...
Sai: bhohot hogaya yeh senti baathe... Virat sir kya aap aise hi rehne vale ho.. Utiyee aur freshup ho jayiye... Kitna kaam hai aur aap ho ki aise rone rulane mein lage hai....
Virat stands up and sai too...
Virat: acha ji... Rona rulana...haa?
He turns her around and pulls her towards him... (Her back facing him...)
He holds her tight and says..
Virat: ab tho bilkul nahi jane dene valaa hu... Aise hi rehlunga mai...
Sai stamps his foot and virat releases her ...
Virat: ouch !!! Sai yeh kya kiya..
Sai: aap chod nahi rahe the isliye... Ab chaliye good boy ki tarah jayiye aur freshup ho jayiye... Chaliye chaliye...
Virat : teek hai.. teek hai... Jiddhi ladki ... Romance ka dushman...😏😏
He leaves....
They had dinner and starts packing... They feel excited that their family is going to get the best surprise ever... But sad that Jeeva shiva bond is not like before.. they gave support and strength to eachother to fight the coming situations.... 
Sai informs when to leave to samrat..
They recollect their manali memories and fall asleep..

The travel to Nagpur started ...
Let's see what happens in Chauvan niwas...


Ghum hai kisike pyar me❤️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें