Discharge is given.... Samrat Virat Sai along with our cute little new member of chauvan family started off to Chauvan niwas....
They knocked at the door.... The door is slowly opened..... All the family members are standing in a row few feet away from the entrance.... Sunny and Riya , Devi's family too came to welcome the new member of the family.... Sai virat are about to enter...
Harini: arree.... Rukhiye... Kaha aa rahe hai.... Humne tho nahi kaha na andhar aane ko....
Virat: par princess...
Harini: shhh.... Hum itne saare preparations ki hai un sab mein paani pherne ka plan hai kya....
Bhavani enters with aarthi ki thaali...
Bhavani: harini sahi keh rahi hai... Humne humare ghar ki lakshmi ke gruhpravesh Keliye itne saare taiyyariya ki hai.... Thoda sabar tho rakho....
Virat: ho kaku... Jaise aap kahe...
Bhavani does the aarthi and puts teeka on the baby's forehead.... Baby is actually observing the surroundings... Samar and Krish comes running towards the entrance and pulls a rope which is hanging.... This makes flower petals fall on them......
They enter the house.... A red liquid in a plate is bought .... Sai slowly dips the baby's legs in the liquid and prints it in on a white sheet.... (I know it's not any ritual... But it's the parents happiness to treasure such moments... Same was done during samar and Krish too) later they came into the hall..... The way to hall is decorated with flower petals and sai walks on it.... Virat was holding his jaan who is holding their love.... They are made to sit on the sofa.... Samar, Krish ran towards them... They are looking at the baby.....
Samrat: tum dono ki choti sister hai....
Krish: baby sister...
Mohit: haa.... Aur ab tum dono ko apne sister ka khayal rakhna hoga...
Samar and Krish: haaa......
Harini: veeru maamu.... Baby ko kaise bhulayenge.... Naam kya rakhenge...
Sonali: deva re deva... Humne tho kabhi is topic pe charcha varthalap discuss kiya hi nahi....
Ash: haa Sonali... Yeh baath tho dimaag se hi nikhal gayi....
Bhavani: koyi baath nahi... Ab tho aur 11 din hai ..... Uske baadh hum naamkaran karenge....
Ninad: Vahini.... Ab naam kaun rakhega.... Samar aur Krish ke time tho hum log aapas mein hi jagadne lage the ki kiska naam rakha jayegaa...
Omkar: ha dada... Aakhir mein sabke suggestions chits banani padi aur unme se nikhalke naam rakhna padaa...
Shivani: lekin kamal ki baath tho yeh hai ki dono hi times humare Sai aur Virat ke suggestions hi final hue hai...
Tho apni beti keliye kuch na kuch naam tho doondli hogi na ....
Sai: nahi bua....maine ab tak koyi naam socha hi nahi....
Samrat: lekin Shiva ne socha hoga na...Matlab.... Baby ko pari pari kehkar bhulatha hai... Tho uska naam pari socha hoga...
Virat: nahi jeeva... Mai tho aise hi bhulatha hu... Jaise harini ko Princess bhulatha hu vaise hi baby ko pari bhulatha hu... Yeh naam nahi hai....
Mohit: tho humare paas abhi bhi time naam sochne ka...
Pakhi: kyu na hum is baar kuch alag kare....
Karishma: kya alag bhabhi?
Pakhi: hum is baar bhi pairs banke naam sochenge lekin.....
Karishma: lekin....
Pakhi: lekin is baar naam ke saath saath hum reason bhi batayenge...
Samrat: reason?
Devi: shayad mai samajh gayi.... Pakhi yeh kehna chahti hai ki.... Baby ko ek naam rakthe vakth hum vajah batayenge... Ki... Baby ko yahi naam kyu rakha jana chahiye...
Riya: aur jiska bhi best reason hoga aur sabko pasand ayega uska naam final hoga...
Pakhi: Exactly....
Samrat: ohhooo wifie... Kya kamal ka idea diya hai.... Too smart
Pakhi: voh tho mai hu hi....
Pulkit: sachme patraleka... Idea is too good... Aise karne se naam bhi special hoga aur naamkaran ki function bhi yaadgaar hojayega...
Devi: bilkul....
Bhavani: teek hai phir... 11 din baadh matlab 12 ve din ghar mein naamkaran ke chota sa function rakhenge.... Tab tak aapne apne pairs ke saath ek naam socho aur ready rakhna... Sunny aur Riya... Tum dono ko bhi aana hai... Phirse gayab math ho janaa...
Sunny and riya: ho kaku....
Virat: is baar gayab hua na Sunny.....chodunga nahi...
Sunny: bilkul nahi.... Aur naam bhi aisa doondunga ki mera suggest kiya hua naam hi rakhega tu....
Virat: achaa...
Samrat: itni over confidence nahi chalega sunny....
Mohit: ha Sunny bhaiya is baar tough competition hone wala hai....
Shivani: ek minute mera pair kon banega....
Harini: mai hu na nannu.... Samar aur krish bhi humare team mein honge... What say brothers....
Samar and Krish: yaayyy.....
Ash: sai badaa... Tu bache ko lekar kamre mein jaa aur aaram kar....
Godu... Tum bhi jau.... Samrat ja tu bhi aaram karle... Lunch ke time bhulalenge sabko ....
Samrat: ho maami....
Ash: sunny riya... Lunch karke hi yaha se nikhloge .... Samajhlaa...
Sunny: ho kaku... Vaise bhi aapke haath ka bana hua khana kha kar bhohot din hogaye.... Bhohot miss kiya....
Sonali: kyu sunny.... Riya ke haath ka bana hua khanaa swadh tasty yummy nahi hotha kyaa....
Riya looks at sunny waiting for the answer....
Sunny: aisa nhi sonali kaku.... Riya bhohot acha banthi hai khana.... Par har kisike haath ka bana hua khaane ka swadh same kaha hotha hai.... Mai tho har roj Riya ke haath ka bana hua khana hi khatha hu na...Tho....ashwini kaku ke banaya hua khana miss kar raha tha...
Ash: teek hai teek hai.... Riya bada tu bhi chal meri madadh karne... Aur thodi baathe bhi hojayega....
Riya: ho kaku ....(she leaves)
Mohit goes to sunny....
Mohit: kya save tha Sunny bhaiya.... Kitne ache se baath ko sambhal liya..
Sunny: agar nahi kartha tho raath ka khana cancel aur upar gussa hojayegi... Riya ko manaane sabse Katin kaam hai mere liye....
Mohit: what a plan bro.....
......
At night....
Sunny, Riya and Devi's family left at evening..... After dinner everyone are in their respective rooms....
Whenever baby cries sai rushes to give her milk....
At 11pm...
Baby and baby's aai both are sleeping peacefully on the bed.... Aur veeru babu is staring at his life... I meant his wife and his daughter....
Sai's sleep gets disturbed and she wakes up... She finds virat staring at her and the baby with a wide smile...
(So imagine a situation like the below picture)
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai kisike pyar me❤️
FanfictionFocus on the journey of Sairat❤️ Journey from hatred to Love💘 Continuation is in Ghum hai kisike pyaar mein ❤️ part 2