Next day morning......
Sai wakes up and sees virat missing...
Sai: yeh phirse subah subah gayab hogaye.... Aaj chutti hai na.... Kaha gaye honge....
She sees the time...
Sai: ohh... Saath bhaj gaye...
She rushes to Washroom to get ready... Don't know why ladies woke up late today.... All reached the kitchen area to work at around 7:45am.... They are shocked to see that breakfast is prepared....
karishma, pakhi ashwini and sonali in the kitchen....
Pakhi: maami yaha tho breakfast ban chuka hai... Poha bana hai...
Karishma: aur chai bhi ban chuka hai...
Sonali: par hum tho abhi aaye hai... Tho yeh sab kaam work kary kisne kiya hoga?
Ash: Sai...yeh sai bhi na... Subah utke saare kaam karne ki kya jarurat thi...
Sai just then enters....
Sai: Good morning ladies..... Aai aapne virat ko dekha kya...
Ash: voh phirse gayab hai..? Phirse kuch hua hai kya...
Sai: nahi aai... Sab teek hogaya hai kal hi... Patha nahi subah subah kaha chale gaye... Aaj Sunday hai chutti hogi na unka... Patha nahi kaha gaye...
Karishma: walk keliye gaye honge....
Pakhi: sai yeh batau... Tumne saara kaam kyu kardiya...
Sai: maine? Mai tho abhi abhi ayi hu... Dher se uti thi aaj....
Sonali: tho yeh breakfast kisne banaya hoga....
Virat enters just then...
Virat: arre aap sab aa gaye.... Good morning...
Everyone: good morning...
Sai: aap kaha gaye the subah subah..
Virat: mai... Mai...uhm.... Voh chodo... Pehle aap sab bahar ayiye....
Ash: godu... Sab teek hai na...
Virat: haa aai... Sab teek hai... Aap chaliye tho bahar ....
All come out.... Others also reached the dining hall for breakfast.... Everyone sat except sai, pakhi karishma and ashwini... Normally they serve food....
Virat: arrey aap log bhi bait jayiye na... Aaj... Naashtha maine banaya hai... Aur serve mai hi karunga....
Ash: tune banaya hai? Par kyu?
Virat: arre... jab maine poha banaya tha tab tho sab keh rahe the ki... Ki tumhe banathe rehna chahiye... Ab banaya tho aise kyu pooch rahe ho
Samrat: haa lekin tum banaane keliye taiyyar nahi tha.. lekin aaj bina kahe bana diya... Kuch tho vajah hogi na...
Voh batau pehle shiva...
Virat: voh... Maine aap sabko bhohth hurt kiya... Bhohot Pareshan kiya... Kal maine maafi maanga tha aur aap logon ne maaf bhi kardiya.... Lekin...
Mere dil se yeh bhoj nahi utar raha...
Parivaar hai isiliye aap bina kuch kahe mujhe asaani se maaf kardiye... Sai bhi asaani se maaf kardhi... Meri sairu... Usne bhi... Mujhe aap sab keliye kuch karne ka mann kiya tho patha nahi chal raha tha ki kya karu... Socha aisa kuch karu thaaki...
Bhavani:(serious)hum tumhare galathi ko bhool jaye.... Hai na?
Virat: kaku..
Bhavani: Virat... Parivaar hai hum... Hum mein se kisi se bhi galathi ho maafi milegi asaani se... Kyunki hum sab ke beech pyaar hai... Parivaar ko ek saath rakhne keliye kabhi kabhi galatiya maaf karna hi acha hotha hai... Tab tak maaf kar sakthe hai jab tak galathi se jo seekh mila hai voh insaan samajh Jaye... Jaha thak hum dekh pa rahe hai tum apna galathi maanthe bhi ho aur seekh bhi le chuke ho Virat.... Yeh seekh sirf virat hi nahi balki saare ghar vaale bhi le leni chahiye.... Parivaar hotha hi ek dusre ke sukh dukh baatne keliye.... Baaki sab ka tho patha nahi lekin chauvan parivaar ke sadasya aaj Tak har mushkil mein ek dusre ka saath dethe rahe hai... Aur aage bhi dethe rahenge.... Yeh parivaar kabhi bhi tootna nahi chahiye.... Dard apne parivaar se baatne se dikhath hai tho apne jeevansaathi ke saath baaton... Poora haq hai uska yeh sab janne ka... Pareshaani hogi lekin saath tho milega.... Jeevansaathi ka arth bhi yahi hotha hai... Har sukh dukh mein saath nibhaye... tho phir usse uska haq kaise cheen sakthe ho.... Akele lado lekin parivaar ko batau... Hum ladne mein madadh nahi saath dhenge... Himmath dhenge.... Samajh rahe ho na Virat...
Virat: ho kaku...
Bhavani: aur baaki sab bhi... Samajh rahe ho na....
Everyone: ho kaku/mami/vahini
Bhavani: bas aage ki peedi ke beech agar aisa hi ristha banaya rakhna hai tho hume pehle yeh sab karna hoga na.... Samar saira Krish harini inhe bhi ek dusre ke thakath banna hai... Ek dusre ko jode rakhna seekhna chahiye... Parivaar ko ek saath lekar chalna seekhna chahiye... Agar unhe sikhana hai tho hume bhi in sab baathon ka palan karna hoga na....
Ash: sahi kaha vahini...
Ninad: Virat... Tum bhi beethe baathon ko bhul jau... Jo hogaya so hogaya... Lekin aage aisa kuch na ho us baath ka dhyaan rakhna
Bhavani: sahi kaha ninad...
Virat: ji... Lekin... Yeh kaam tho karne dijiye na... Meri satisfaction keliye... Aaj serve karna chahta hu.. sabko... Please
Bhavani: karo... Ab mehnat kiya tho rokh kaise sakthe hai....
Virat: thank you kaku....
He serves everyone.... Everyone appreciate his work....
Saira: papa... Yummy...
Virat: sachi...
Sairu: muchi... Aur milega?
Samar and Krish: hume bhi....
Virat: aree kyu nahi milega... Jarur milega.... Lo lo .....
Sai: dekha virat.... Ban gaye na fans yeh bhi aapke pohe ka....
Virat: haa...
Sai: aap mein yeh talent kisne doonda hai... Maine.... You should appreciate me...
Samrat: nahi nahi nahi... Doonda hoga tumne sai... Lekin banane keliye maine force kiya tha... Tab jaake isne banaya... Aur tab jaake hum iske talent ko jaan paye... Tho appreciation mujhe milni chahiye
Mohit: dada... Galath baath hai.... Maine itne acha compliment diya tha... Dada ko motivation mila aur isiliye unhone phirse banaye... Tho appreciation.... Mujhe milna chahiye....
Virat: bas..... Matlab hadh hai.... Subha utkar maine sabkeliya naastha banaya tho mujhe credit aur appreciation mujhe diye bajay aapas mein lad rahe ho...
Everyone: thank you Virat for the amazing breakfast....
Virat: thank you thank you... Love you family....
Samrat: shiva... Voh... Last vala love you humare liye hi tha na...
Virat: family mein tu bhi hai na...
Mohit: ha hum hai... Lekin confirmation hai ki yeh humare liye hai ya indirectly kisi or keliye....
Virat: chup kar.... Sabko bhola maine...
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai kisike pyar me❤️
FanfictionFocus on the journey of Sairat❤️ Journey from hatred to Love💘 Continuation is in Ghum hai kisike pyaar mein ❤️ part 2