Virat's care

1.8K 134 12
                                    

She finishes her breakfast soon and goes to her room....
Bhavani: Virat.... Sai ko kuch hua hai kya....? Tum dono ka jagda hua hai ?
Virat: nahi kaku....kal raath bhi teek thi... Mujhe bhi nahi patha ki kya hua hai.... Mai... Mai baath karlunga use kaku... Don't worry....
In Sairat room....
Sai: ahhhhh...... Is baar itna pain kyuuuu?
She searches for painkillers....
Sai: oh no... Lagtha hai katham hogaye... Ab kya karu.... Kareedna padega.... Aur sanitary napkins bhi nahi hai.... Ek time se pehle aa gayi aur itna pain.... I hate it.... Ab jaungi tho sab questions poochne lagenge... Kya karu...? Shaam ko jaan teek rahega shayad...
She sits on the bed holding her stomach trying to get relief from the cramps.... She gets irritated.... To divert herself she gets herself involved in some work.... She starts arranging her clothes in the cupboard.... Actually it's arranged but still she wants to do it again.....
Virat enters the room... He finds her in bad mood.... He thought he could change the mood....
He goes and hugs her from behind...
Sai removes his hands and goes to her study table.... Virat goes to her and holds her by shoulders ...
Virat:(smoothly) kya hua sai
Sai:(removes his hands and irritatingly answers) kuch nahi...
Virat: Sai... Agar kuch nahi hua tum aise behave kyu kar rahi ho....
Sai:(irritated)kaha na kuch nahi hai...
Virat: nahi... Kuch tho hai... Jab tak tum nahi bataugi mai hilna vala nahi hu yaha se....
Sai:(angry) yeh kya bachpana hai aapka.... Maine kaha na kuch nahi tho kuch nahi hai... Aap jayiye station jayiye ...
Virat: okay... Shaanth... Jaa raha hu....
He leaves..... Sai gets upset with herself for reacting in such a way....
Sai: sorry Virat.... Patha nahi kyu mujhe tho aaj bhohot gussa aa raha hai... Ek aur dard kam hone ka naam hi nahi le rahi.... Yeh cramps...oh godd...
She sits on the bed.....
Sai: is baar mar gayi mai.... Har mahina tho aathe ho lekin itna torture tho nahi karthe tho aaj kya dushmani hai mujhse ki meri jaan nikhal rahi ho ..... Aur yeh mood swings .... Mujhe khudse handle nahi ho raha tho bechara Virat kya karenge.....
Virat heard all this standing outside the door....
Virat:( figuring out things)cramps... Pain.... Har mahina.... Mood swings...
Iska kya matlab hua? (Thinking deeply) periods.... Ohh haaa.... Periods hi hoga.... Par us time par itna chid chida hothe hai kya... Itna gussa?
Jyadaa pain ho raha hoga.... Kya karu?
Haan.... Aai se baath kartha hu... Yeh khudh jaake bathaane Vaali tho nahi hai... Mai hi pooch Letha hu....
He goes downstairs searching for his mom.... She is not in kitchen not in mandhir not in her room... Just then she comes from outside.... He runs towards her...
Virat: aai... Aap kaha thi... Kabse doond raha hu aapko
Ash: mai bahar garden area mein gayi thi yeh phool lene bappa ko chadane keliye.... Aur tu abhi tak station nahi gaya? Aur mujhe kyu doond rahe ho?
Virat: voh aai.... Aapse kuch janna hai
Ash: kis cheez ke baare mein Godu...
Virat: voh...uhmm....voh... Aai...
Ash: aage bhi tho bhol...
Virat:(in one go)aai sai ko periods hai aur voh bhohot dard mein hai isiliye aise gusse mein hai subah se... Aap please mujhe koyi tareeka batha sakthi hai jisse uska dard kam ho jaye....
Ashwini smiles.... She places her hand on his cheeks....
Ash: chal aja...
She takes him to kitchen.... She boils the water and pours in hot water bag....
Ash: yeh lo... Sai ko dho aur kaho ki isse apne stomach pe aur back pe thodi dher keliye rakhe... Aaram milegi.... Aur agar kuch jaruri cheeze laani ho tho voh batha dena mai lekar aajathi hu...
Virat: jaruri cheeze ?
Ash: sanitary napkins, pain killers yeh sab....
Virat: ohh... Tho mai lekar aa jatha hu na... Usme kya hai...
Ash: acha teek hai... Aur uske manpasand khaane ki cheeze bhi le ana.... Use acha lagega.... Pehle yeh hot water bag dekhar phir janaa
Virat: ho aai....
He goes upstairs....
Sai is sitting in the chair near study table trying to read a book....
Virat places the hot water bag on table and holds her hand and makes her sit on the bed.... Legs stretched and her leaning back on pillows arranged by virat....
Sai: Virat... Aap yeh kya kar rahe hai...
Virat doesn't respond.... He brings the hot water bag and half sits beside her
Sai: yeh kya hai?
Virat: ise hot water bag kehthe hai...
Sai: voh mujhe patha hai par kisliye..
Virat: tumhe cramps se aaram milega.
Sai is in shock...
Sai: aapko kaisa patha...
Virat: maine tumhari baathen sun liya tha....
Sai:(angry) aap chup chupke meri baathe sunthe ho.... Aap na(before she completes)
Virat: shaantha gadhadhaari bheem shaanth..... Nahi sunna chahiye tha galathi meri hai... I am sorry.... Lekin kya karu tum tho batathi nahi ho...
Sai:(irritated) kya batau isme? Aur bathaathi bhi kaise....kitna awkward feel hotha hai...
Virat: okay.... Vaise samajh mein aise imaginary rules bane hai tho hum bhi kya kar sakte hai
Sai: matlab?
Virat: pehle yeh bag ko back pe rakho jaha tumhe dard ho raha hai....
She does the same....
Virat: dekho saare mard jaanthe hai ki ladkiyo auratho ko har mahina periods hothe hai aur yeh natural process hai... Phir bhi auratho ka ek imaginary rule banaya hua hai ki mardon ko yeh baath nahi bathana chahiye.... Aur isiliye yeh dard aap akeli seh lethi hai bina kisiko bataye...
Hai na?
Sai: mujhe nahi patha....
Virat: acha tho yeh batau... Jab bachpan yeh vakth aatha tha tho aaba se share karthi thi...?
Sai: nahi... Usha mausi thi na saath mein... Unhe bathaathi thi.... Aaba se kaise share karungi yeh sab
Virat: dekha....yahi hai imaginary rule.... Acha teek hai voh chodo... Tumhare paas sanitary napkins hai?
Sai:(feeling awkward) nahi... Kareedna jaane vaali hu shaam ko... Aur aap aise sawal poochna bandh kijiye ajeeb lag raha hai...
Virat: isme ajeeb kya hai Sai.... Aur tum is halath mein bahar jaugi....
Sai: tho cheeze kaise ayenge... Udke tho nahi aa sakthe na
Virat: yeh mazak tha?
Sai: tha tho?
Virat: mmmm...... Mujhe bathaathi tho mai lekar atha na... Ab yeh math bholna ki (imitating her)aap kaise laa sakthe hai... And all
Sai: copy paste...
Virat: medical store jaake....
Sai: nahi... Awkward ho jayega... Mai khudh chali jaungi...
Virat: chup... Awkward awkward kar rahi ho kabse.... Samajh mein na Mardho ka bhi ek imaginary rule ban gaya hai ki aise necessary cheeze mard nahi laa saktha sirf aurathon ko hi jaana padtha hai.... Hai na.... Dekho Sai... Agar hum badlav chahthe hai tho hum kudh kadam badanaa hoga... Aur yeh jo so called rules hai na ise dustbin mein phek dho... Aur mujhse yeh baath share karne mein awkward feel math karna... Aur mujhse kuch mangvana ho tho please batha dena...
Sai: mmmm....
Virat: ab aaram karo... Kuch problem ho tho aai se baath karlena...
Sai: aai se?
Virat: unhe patha hai... Aur vaise bhi unse tho share kar sakti thi na... Aai hi tho hai.... Mai medical store jaake jo bhi cheeze chahiye voh khareedh ke launga... Okay.... Arre ha... Yeh tho bhool hi gaya... Painkillers chahiye kya?
Sai nods as yes...
Virat: okay... Aur kuch chahiye ho tho message karlena okay.....
He leaves.... Looking at him sai smiles.
After an hour.... Virat comes to the room with a big cover ....
Sai: pads lene gaye the ya phir medical store kareedne.... Ek ganta lag gaya aapko?
Virat: mujhe nahi patha tha ki periods ke time pe insaan ek dam lame jokes maarthi hai.....
Sai: 😏
Virat: yeh pads tumhare cupboard mein rakh diya aur ye lo pain killers...
Aur yeh pav bhaaji ....
Sai:( excited) pav bhaaji.... Mereliye
Virat: nahi is state ke chief minister keliye jo kuch hi dher mein ghar aane vale hai....
Sai: yeh joke tha?
Virat: tha tho..... Of course tumhare liye hi launga na.... Aur yeh dark chocolate....
Sai: thank you..... aur aap station nahi jayenge....? Vaise bhi bhohot late ho chuka hai
Virat: aaj chutti maarli... Math poocho kyu... Bas mann tha is vakth mein tumhare saath rukhne ka.... Tho leliya
Virat feeds her bhaji pav...
Virat: ab no more questions...
Sai admires his caring nature...
........
After dinner.... Sai spent some time downstairs with family as she was in her room most of the time today... Virat went up saying he has some work..... After an hour or so sai went up to the room.... Before she opens the room virat came out....
Sai: mai andhar hi aane vaali thi...
Virat: very good par tum aise andhar nahi jaa sakthi....
Sai: par kyu...
Virat: tumhe blind fold karna padega..
Sai: kyu?
Virat: reason nahi batane vala... Bas meri baath maanthi jau....
Sai: koyi or option hai
Virat: nahi....
Sai: okay...
He blind folds her eyes... And takes her into the room.... The room is dark... ( If you remember our SaiRat room.... Behind bed there is a small area and then they have window)
He took her to that space... Make her stand there for a moment and goes to close the door... And then removes the blindfold....

Can you see a pillow in the pic replace that with Sai's gift for Virat

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Can you see a pillow in the pic replace that with Sai's gift for Virat....
Sai: wowww..... Virat yeh sab? Kab aur kyu?
Virat: jab tum neeche thi tab kiya... Aur kyu ka reason yeh hai tumhara mood subah se fluctuate ho raha hai... Mostly off hai.... Tho is mood ke saath day end kyu karogi... Isiliye tumhe bas khush dekhne keliye yeh sab...
Tumhe comfortable feel ho isiliye bhohot saare cushions rakh diye hai... Aur yeh hot water bag bhi.... Aur dekho window ke teek samne hai tho tum aasmaan dekhthe hue apne saare dard bhool sakhogi.... And finally yeh Chocolates mood cheer hojayega....
Ha bas aaj ke raath kha lena... Roj roj math khana daanth sad jayenge aur moti hojaugi...🤭
Sai: kya kaha aapne🤨
Virat: acha relax... Mazak kar raha tha
Sai looks at her gift....
Sai: yeh tho.... Yeh tho mera gift tha aapkeliye.... Aapke paass kaise...
Virat: pehle yaha bait jau....
Sai sits on the bed arranged... stretching her legs and leaning back to the pillows and cushions arranged... Virat sat beside her in same way... Wraps his hands around her.... Gives her the hot water bag which she places on the stomach....
Sai: mmm... Ab batayiye....
Virat: kal raath mujhe neendh nahi aa rahi thi tho ....
Sai: tho aapne mere gifts chori kar li
Virat: chori...? Seriously sai... Gifts mereliye hi the na tho chori kaise hui....aur yeh kya hai Sai bina meri poori baath sune conclusions par aa rahi ho...
Sai: acha babaa.. sorry... Bholiye
Virat: haa tho mai songs sunna chahtha tha aur mere earphones nahi mil rahe the tho maine tumhare bag mein earphones doodne laga aur mujhe letters mil gaye...
Sai: letters? Haww.... Aapne bina meri permission liye letters bhi pad liya...
Virat: uffooo.... Mrs. Concluder..... Apna conclusions dena bandh karogi thodi dher....
Sai: fine....
She starts eating the chocolate...
Virat: good girl.... Ha mai kya keh raha tha? Haaan... Voh letters mile the tho maine padliya.... Aur yeh gifts bhi leliye.... Par Sai.... Voh letters... Sachme bhohot pyaare the... They're so special to me.... Yu kahu ki merliye pehla love letter jaisa hai....
Sai: acha... Par aapne tho kaha tha ki aapke college times mein bhohot saare ladkiya aapke peeche padthe the unme se koyi aapko letter nahi diya kya.... So sad...
Virat: mazak uda rahe ho mera...? Huh?
Sai: nahi tho... Aapko aisa lag raha hai kya...🤭
Virat: tum tho aise bhol rahi ho jaise ki tumhe bhohot saare letters mile hai
Sai: haa mile na...
Virat: kya? Kab? Kisne dhi? Aur mujhe kyu nahi bataya tumne?
Sai: ohho ek baar mein itne saare sawal....(taking bite from her chocolate) Mere pyaare pati dev... Letter mujhe tenth mein mila tha....
Virat: kisne dhi?
Sai: ek ladke ne🤭
Virat: baadh mein haslunga....pakka
Sai:(feeds him a bite of chocolate) par voh letter maine phadkar uske haathon mein dhe di thi
Virat: that's like my sherni
Sai: thq.... Aur baadh mein kabhi nahi mila.... Lekin bhohot saaare surprises mile gifts mile....
Virat: aur voh sab kisne dhi?
Sai: hai koyi... Mr. Khadoos jasus....
Virat: oohhh.... Tho voh mai hu...
Sai: jiii..... ( Hugging him) jitne surprises aap dethe ho jitna pyaar aap dethe ho na koyi or nahi de sakta....
Meri bas chale na Mai aapko Best husband of the year award dedhu...
Ek minute.... Yeh pillow ko award samajhiye thodi dher....
Virat: okay...
Sai: so... Ladies and gentlemen....
Presenting you the best husband of the year award...mmm...nah... Best husband of the decade award.... Nahi... Best husband of the millennium award... Ha yeh sahi hai...
Virat: kuch jyada nahi ho raha...
Sai: nahi.... So the best husband of the millennium award goes to Mr. Virat chauvan..... Yayyy......
Virat takes the pillow....
Virat: thank you...
Sai:(whispers) thank you speech
Virat: oh ha... Mujhe award dene keliye thank you so much... Yeh sab mumkin isiliye hua hai kyunki meri patni Sai meri life mein hai.... Agar voh nahi hothi tho virat yaha tak kabhi pahunch nahi patha....
Sai: aapne tho emotional kardiya mujhe....
Virat: awleee.... Ajau ajau...
She immediately hugs him.... And he hugs her back too....
Virat: ab kaisi hai... Pain kam hua?
Sai looks at him....
Sai: voh tho aapke pyaar dekhkar na bhaag gaya hai....
Virat:🤭😂
Sai: thanks Virat.... For everything....
Virat: thanks to you too.... For being my everything....
Virat kisses her on forehead....
Sai sleeps hugging him.....
.....
I hope you are satisfied with the chapter.... Thanks for supporting and keep supporting and keep voting....
Drop your valuable comments...




Ghum hai kisike pyar me❤️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें