After Raksha bandhan.... Evening Devi Tai and her family left the house... everyone got back to their respective works... Sai went to study as she didn't go to college the previous day and has lot of portion to complete... She sits near her study table and got completely engrossed in studies... Virat also decides not to disturb her... He and samrat got busy with their cases and some discussions related to them... Ninad and Omi have work related to their business... Mohit busy with his rehearsals for the shoot the next day.... Other ladies are busy preparing dinner...
Night.... 8:45 pm
Everyone gathered at dining hall except sai....
Kaku: Virat sai kaha hai... Dinner keliye nahi aayi?
Virat: ha kaku... Padayi kar rahi thi tho disturb nahi kiya aur apne kaam mein busy hogaya tha.... Mai abhi dekhkar atha hu...
Ashwini: tu ruk godu.. mai dekhkar athi hu...
Virat: ho aai...
Sairat room.....
Ashwini enters the room and sees sai sleeping on the study table itself... She is murmuring some words in the sleep....
Ash: dekho ise neendh mein bhi padayi kar rahi hai... Sai... Sai.... Uto bada...
Sai: (in sleep) n...nahi....
Ash: bada... Khana khalo phir so jana...
But no use... Sai is in deep sleep that she is not waking up... And seeing her sleep innocently Ashwini didn't feel like waking her up and spoil her sleep...
Ashwini comes down....
Virat: aai aap akeli aayi hai... Sai...
Ash: voh so rahi hai...
Virat: aise kaise so rahi hai... Bina kuch khaye... Aur aapne utaya nahi..
Ash: shaanth... Utayi... Lekin voh bhohot neend mein hai... Aur neendh mein bhi padayi kar rahi hai...
Sam: itna dedication... bapre... Aisa pada tho mai upsc mein pehla rank laya hotha...
Ninad: aaj kal bhohot jyada padayi kar rahi hai... Sone dho... Neendh tootegi tab khalegi...
Virat: lekin....
Ash: godu... Samajh sakthi hu ki tum kya soch rahe ho... Par tum hi socho kya sahi hoga use neendh se jagana... Tum bhi jaanthe ho voh Kam sothi hai... Ab soyi hui hai tho jagana kyu...
Virat: teek hai...
After dinner.... everyone left except
Pakhi , Karishma and ashwini ... They are cleaning the kitchen and dishes etc.... Pakhi sees virat coming to the kitchen...
Pakhi: Virat... Tum yaha... Kuch chahiye?
Ashwini and karishma look at him..
Virat: voh...uh... Bhabhi...
All the three smile as they know the reason behind him coming...
Pakhi: hum samajh gaye... Sai keliye khana lene aye ho... Hai na...
Virat: haa... Apko... Kaise patha...
Karishma: kya dada.... Hum tho aap dono ko shayad aap dono se jyada hi samajthe hai... Sai bhabhi khana nahi khayegi tab tak aapko chein nahi milegi... Aur aap yahi check karne aye honge ki khana bacha hai ki nahi...
Pakhi: agar yahi reason hai na... Tho yeh dekho hotbox mein roti hai... Cooker mein rice rakha hua hai... Upar kamre mein bejh sakthe the lekin phir socha ki patha nahi na sai kab utegi... Agar khana tanda ho gaya tho acha nahi lagega... Isiliye jab voh utegi tho yaha lekar aau aur khiladho... Teek hai...
Virat: thanks bhabhi....
Ashwini: aur ho sake tho tum bhi sojau... Sai ko bhook lagi tho utayegi tujhe... Tumhari tarah hi bhook bardaash nahi kar pathi... Dekho ankhen laal hogayi... Jau bhohot kaam karliye jaake sojau....
Virat: ho aai....
He comes to his room.... He sees sai sleeping on the study table...
He slowly lifts her from the chair and makes her sleep on the bed...
Virat (in mind): ab patha chala aai ki aap kyu nahi uta payi sai ko... Itne cute se so rahi hai tho man kaise hoga... Yeh utegi tho mujhe nahi utayegi ... Ek kaam kartha hu paper mein lik ke iske bagal vaali table pe rakh detha hu... " Khanaa neeche hai... Mujhe uta dena..."
He places it beside her on the table...
He sleeps... He worked more today so he fell asleep soon....It's 11:00 pm...
Sai slowly wakes up... Finds herself sleeping on bed.... She sees the clock...
Sai: gyarah baj gaye.... Aur mai yaha kaise... Koyi mujhe utaya bhi nahi khane Keliye... Yeh bhi so rahe hai...
She sees slip beside her...
Sai: khana neeche hai... Inhe utau..? Kitne gehri neendh mein so rahe hai... Inhe kaise utau... Kudh chali jaungi aur doondlungi... Usme kya badi baath hai... Chalo sai... Bhohot jhor se bhook lagi...
She goes downstairs to kitchen... Searching for food... She finds nothing..
Sai: kaha hai... Kaha hai... Yaha tho kuch bhi nahi hai...
She finds chips and starts eating them...
Sai: lagtha hai inse hi kaam chalana padega...
Samrat and Mohit enters.... Sai gets shocked seeing them...
Sai: aap log yaha... Is vakth...
Sam: haa voh bhook lag rahi thi hum dono ko... Tho aa gaye... Aur tum chips kyu kha rahi ho... Tumhare liye khana rakha hai na...
Sai: kaha... Mujhe tho nahi mila... Poora kitchen chan mara...
Mohit: acha... (He opens the cooker lid and hotbox) yeh kya hai phir...
Sai: haww... Maine yeh dekha hi nahi...
Mohit: patha hai na mujhe... Kya vahini... Bhook aur neendh mai teek se doonda bhi nahi aur bhol rahi hai ki poora chan mara...
Sai: acha teek hai teek hai...
She serves in a plate and starts eating... She sits on the slab( just like in episode where she sits and eats while virat adores her)
Sai: aapko bhi bhook lagi na... Kya khane aye hai...
Samrat: vahi tho samajh nahi aa raha...
Mohit: lekin dada bhook bhohot lagi hai...
Sai: mm... Yaha ayiye... Hum share karlethe hai...
Samrat and mohit takes a plate each...
Sai: kya kar rahe hai...
Samrat: plates le rahe hai sai...
Sai: kyu... Saare dishes washed hai...kaam badayiye math aap log....
Isme kaam challenge hum...
Mohit: kaise vahini...
Sai: mai khilaungi aap dono ko..
Samrat: tum khilaugi..?
Sai: kyu...kya hua...
Mohit: acha lagega kya?
Sai: Devi Tai ke haath se kabhi khana khaye ho aap log...
Samrat: ha bachpan mein bhohot baar...
Mohit: aur dada college ke time par bhi raath ko tai hi tho khilathi hai na hume...
Samrat: haa...
Sai: hai naaa.... Aap dono mere bhai ho... Proof chahiye tho apne haath dekho... Rakhi bhi baandhi hai maine.. apni choti behen bhi mantho na mujhe... Behen khila rahi hai tho khane mein kya problem...
Samrat: acha baba... Emotional blackmail start math kar dena...
Sai feeds them both...
Samrat: shiva ko utaya nahi tumne... Pakhi bata rahi thi ki ashwini mami ne kaha Shiva ko ki jab tum utogi usse utaugi... Aur voh khana khiladega tumhe...
Sai: voh tho so rahe the... Tho utane ka man nahi kiya... Jaise aap logon ka man nahi kiya mujhe utane ka...
Aur patha hai dada... Table par soyi thi tho Uti bed par....
She feeds them...
Mohit: vahini.. ashwini kaku aayi thi utane aapko... Lekin aap itne neendh mein bhi padayi kar rahi thi tho unhone disturb nahi kiya... Aur yahi baath aapka bed par sone ki... Voh tho virat dada ne apko chair par se utakar bed par sula diya hoga...
Sai: mm... Ho saktha hai... Aap sab mujhe sach mein bachi samajhne lage ho...
Samrat: bachi hi tho ho...
Sai: kya dada...
Samrat: chalo voh chodo... Yeh batau padayi bhohot jyada stress hai kya...
Sai: hai tho... Par koyi baath nahi manage ho jayega dadaaa....
Mohit: haa yeh patha hai hume lekin aap apna health ka dyaan bhi rakhna chahiye ...hai na... Aap time par nahi khathi time par nahi sothi... Tho kaise chalegaa....
Samrat: dekho sai padayi jarurat hai lekin health usse bhi jyada jaruri hai...
Sai: samajh gayi.... Yeh lo ab khau...
(Don't worry she's also eating in between and enough food is there )
Samrat: teek hai... Kal se dekthe hai na hum log ki tumhe kitnaaa samajh aya hai... Hai na Mohit
Mohit: ha dada...
Sai: arre yeh kya baat hui... Maina kaha na karungi matlab karungi...
Acha yeh baaten chodiye.. yeh batayiye shaadhi ke baad kya aap apne wives ghumane legaye ho...
Samrat: kya ghumana... Mera tho kaam hi katam hone ka naam nahi le rahi...
Mohit: aur mera tho outdoor shoots start hone wala hai....
Sai: kitne budhu log ho tum dono... Samrat dada aage janmastami aa rahi hai holiday tho milega hi aur Saturday chutti lo tho Sunday bhi chutti mil gayi... Kahi chota sa trip plan kyu nahi karthe... Aur dekho pakhi bhabhi ko bhi mood change hoga... Aur Mohit aap... Aap kudh hi outdoor shoots jaa rahe ho... Poora din thodi na shoot karoge karishma ko bhi saath le jau... Morning shoots tho evening masthi...
Samrat: haa... Aisa tho maine Socha nahi
Mohit: brilliant idea vahini... U r the best... Kya ghar mein sab log maanenge..
Sai: purana chauvan niwas nahi yeh... Yeh humara naya chauvan niwas hai sab samajh jayenge... Yeh lijiye khayiye(feeds them)... Aur ha best tho mai hu hi... Aur aap kya keh rahe the ki mai choti bachi hu... Jabki aapko apke wives ke saath time spend karne ka tips de rahi hu...
Samrat: humara tho teek hai... Tumhara kya..
Sai: matlab?!
Mohit: matlab yeh ki tum aur Virat dada koyi trip plan kyu nahi karthe...
Sai: nahi nahi... Mai classes miss nahi kar sakthi ek din bhi nahi...
Samrat: hmm....
Sai: vaise bhi mai tho already ek trip par gayi thi na virat ke saath... Jaha Samrat dada se mili thi...
Samrat: aur phir tumne mere life ko badal dhi...
Mohit: aur phir humare ghar ki kushiya vapas aa gayi...
Sai: aap log phirse shuru hogaye... Senti kyu ho jaathe ho har baar... Happy ho jayiye... Tears nahi...
She washes her hands and the plate...
Samrat: Sai... Tum kitna bhi kaho hum bhohot lucky hai ki tum is family ka hisaa ho...
Mohit: aur humari pyaari si choti behen...
Sai: haan haan... Isiliye tho rakhi bandhne ke baad koyi gift hi nahi diya...😏
Samrat: voh haa... Hum tho bhool hi gaye...
Mohit: sry vahini... Hum Devi Tai ki aane ki khushi mai hum yeh baath tho bhul hi gaye...
Sai: ab gift dho...
Samrat: par humare pass nahi hai na..
Sai: hai na... Jo aap abhi de sakthe ho...
Mohit: kya...
Sai: icecream...
Samrat and Mohit together: ice cream?!
Sai: haa... Fridge mein dekha mai ne... Please lelu kya... Please....
Samrat: pagal hogayi ho kya... Itni raath ko ice cream... Sardi ho jayegi..
Mohit: ha vahini... Abhi bilkul nahi...
Sai:(pretending to cry) teek hai... Math dho...aap logon ko itna acha ideas dia hai maine... rakhi bhi baandhi... aap log chote behen bholthe ho phir bhi itni choti gift maangi tho de nahi rahe ho...
Samrat: ooo dramebaaz.... Bas bas ah... Sab samjhta hu tera yeh natak...
Mohit: vah vahini... Aapse acting seekh Lena chahiye... Kya kamal ki acting hai....
Sai:🤭 thank you Mohit...
Samrat: teek hai... Par thoda sa... Aur ek hi baar milega... Baar baar nahi poochogi tum...
Sai: teek hai...
Mohit: dada... Agar vahini ko de rahe ho tho mujhe bhi.... Please
All the three enjoy their icecream....
Virat pakhi and karishma finds their partners missing and comes to search them... They find the three eating ice cream in kitchen...
Sai Samrat and Mohit get shocked seeing Virat pakhi and karishma...
Sai: aap... Yaha.... Aap so rahe the...
Virat: ha... Lekin neendh khul gayi... Aur mai ne chit kyu choda tha vaha par? Uta sakthi thi na mujhe...
Sai: kaise utathi... Aap itne deep sleep mein the tho...
Pakhi: hum patha nahi kaha kaha doond rahe the...
Samrat: par kyu...
Pakhi: kamre mein nahi ho itni raath ko tho chintha hogi na Sam...
Karishma: aur baby... Sothe vakth tho kaha tha ki(imitating him) karishma mujhe disturb math karo mujhe bhohooootthhhh neendh aa rahi hai... Aur yeh kya hai... Huh?
Mohit: haa par bhook lagi tho aa gaya... Tum bhi tho athi ho popcorn khane... Maine poocha hai kabhi huh?
Virat: vah karishma tumhari chintha kar rahi hai aur tum us par gussa kar rahe ho...
Mohit: gussa... Mai... Nahi nahi dada...
Sai: bas... Bas.... Virat kya aap bhi... Hum ghar mein hi honge na... Chote bache thodi na hai ki ghar mein ghum hojayenge... Aur aap na yeh lijiye(feeding him icecream) khayiye... Dimmag tanda hojayega...
Virat: kya matlab...
Samrat: arre baba... Bas bas... Ice cream khana hai tho khau ya phir chalo... Humara tho ho gaya...
Pakhi: nahi mujhe khana hai...
Karishma: mujhe bhi...
Samrat: aur Shiva tujhe.. nahi khana..
Virat: khana hai... Aap mere samne kha rahe ho tho mera man bhi hoga na...
Sai gives them ice cream in each bowl and slowly puts a scoop in hers too...
Samrat: dekh raha hu mai.... Sai.... Not allowed...
Sai: dada... Please na... Akri wala...
Aap bhi lo Mohit aur dada aap bhi... She serves them too... And all have icecream party....Bhohot khana khana hogaya na.... I hope you like it.... Thanks for supporting and keep supporting...
आप पढ़ रहे हैं
Ghum hai kisike pyar me❤️
FanfictionFocus on the journey of Sairat❤️ Journey from hatred to Love💘 Continuation is in Ghum hai kisike pyaar mein ❤️ part 2