Dubara na hoga - 20 Jan

37 1 1
                                    

Life Mai yeh jo shanti aur sukoon hai,
Iski koi keemat nahi hai.
Hai bahut saari pareshaaniya,
Kaam se companionship tak ki,
Par ab jo yeh sukoon mila hai Akele pan mai jaha sirf mai rehti hu.
Apni tanhaiyo aur khusiyon k saath
Jaha Kisi k na hone (existence) ka gam hai bhi or nahi bhi.
Ab lagta hai bas mil Gaya Mujhe mera sukoon aur jahan
Ab nahi chahiye koi jisse yeh sukoon milega
QKi yeh sukoon khud k andar ka safar tha Mujhe yeh pata hote huwe bhi shaq tha.

Na ispe Kisika bas hai na Zor,
Aur na kisika chalega kabhi.
Jaane wale sukhriya,
Tum gaye toh sukoon aagaya
bas saatmai Anxiety, stress, allergies, aur reality check bhi aaya.

Ki hamari koi aukat nahi thi, tumhare saamne aur yeh baat peso ki, ya sakal ki nahi hai. Yeh Hamare aatma samann ki thi.
Tumko hamne bhagwaan manna tha
Pata nahi kya hi nikle tum.

Mujhe ab samajta hai tumhara dard.
Par ab dikhta hai ki tum hamse kitne alag the,
Aur ham kitne naadan tumhare pyaar mai.
Ki jab tumhara dukh hame dikhta tha tumhe humara q nahi dikha?
Aur dikha bhi toh, qadar toh nahi ki tumne kabhi hamari.
Kitni na insafiya ki tumne bhi.
Hamne toh na ginaya,
Ya sunaya, ya jataya, ya tumhe kabhi nicha dikhaya.
Par sukhriya jaane k liye
Mujh mai toh ab bhi himmat nahi thi, majbur aur akele jo hogaye thi.
Laga nahi tha khudko esa dhoka dungi ki sirf tum nahi puri qaynaat ruth jaaegi hum se.

Aur tum hamari itni izzat bhi na kar sake ki hame safaai (closure) dene layak bhi nahi Samajhe ya fir ek aakhri mulakat.

Tum pyaar the aur hamesha rahoge.
Par jo tum de gaye,
Woh sukoon aur koi bhi nahi de sakega
Kuch bhi, kabhi bhi, kese bhi,
Kitna bhi pyaar kar k jaa sakta hai.

Yeh jaanna sachmai bahut dardnaak tha
Ki pyaar jutha bhi hota hai,
Dikhawe bhi karta hai,
Dil laga k 100 bahane bhi karta hai,
Aur jab unse galti ho jaye,
Toh gayab hi ho jaata hai.

Na koi sawal, ka jawab milta hai,
Na koi Sach Sunne milta hai,
Bas ignorance milta hai.
Aur fir samaj aata hai ki hum
Kitne stupid the ki Sach Batate the.
Roo te the gid gidaate the.
Aur hame sunaakar chota feel karaya jaata tha.

Accha hi hai, tum hote toh akal hi nahi aati, tum na jaate toh samaj nahi aati.
Ab tumhare wajah se koi aur kabhi faida nahi uthaega, iss naadani ka ya pyaar ka, jo hume huwa tha.
Ab yeh pyaar doobara na hoga.

JournalingWhere stories live. Discover now