" Ma, wo apko papa pese kiun dete hain mjhe smnbhalne ke? "Baby ke iss herankun sawal ne mjhe hila kr rkhdya tha, bawjud iske ke maine bohat khushi ki ke ispr apni mamta ko zahir na karu magar ek maa ke dil se mjboor khud ko nahi rok payi.
' Beta main tumhari maa nahi hu, tumhari maa tumhe tab hi chor kr Allah Tala ke pas chali gyi thi jab tum dunya main ayi thi. '
Ansoo ko peete huay, maine bohat himmat juta kr usse jawab dya tha. Ye ek talkh haqeeqat thi jisse main apne sath zindagi ke 7 salon se lete huay chal rhi thi.
Shaadi ke pehle do saalon main mjhe jab hamal thehra tha, tab wo Allah ki marzi se zaya hogya tha aur lihaza main jab shaadi ke tesre saal maa bnpayi thi tab mere shohar mjhse bohat khush thay. Wo din meri ankhon main aik khuwab ki trah jagmagata rhta hay.
Janti ho, Seems tumne mjhe aj dunya ka sbse ameer admi bana dya hay. Main itna khush hun ke tumhe bata nahi skta, dil tw kr rha hay ke dunya ki har dolat tumhare qadmon main la kar rkhdu!!
Aik aur khushk ansoo ankh ki teh main betha intezar kr rha tha ke main apna zabt kho du aur wo wahan se azaad hojaye, lekin baby ne aesa hone nahi dya.
" Ma, ap kyun ro rhi hain? "
' Main tumhari ma nahi hu! Seema bulao mjhe, nokrani hu tmhari. Tumhari dekh bhaal krne ke main pese leti hu. Aur ek maa apne bache ki dekh bhal ke pese nahi leti. Ayi smjh? Jao apne kmre main ja kar so jao main bas kam nimta kr aati hu. '
Apne lehje ko thora narm krte huay main usse sone ke liye bhej dya, usse mere bghair neend hi kahan ati thi.
Na tw main usse apni beti bula skti thi aur na hi mere shohar ko apna shohar maan skti thi. Zindagi mjhe bus krwe rango ki dawayen wakt se pehle khila khila kr boorha krna chahti thi, aur issi iztirab main mere agay ke taqreeban baal 30 sal ki umar main hi safedi bharne lage thay.
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020