Ye ... Mjhse kya hogya... Main iss qadar ghusse main kese agaya... Main uski jaan nahi lena chahta tha... Magar... Magar ye hogya.. Ab main kya karun... Wo... Wo kisi bhi waqt ata hoga... Mjhe yahan se jaana hoga..." Ayesha, mai kuch dino ke liye business meetings ki wjah se bahar ja rha hun . bohat urgent hay islye jaana hoga. Tm apna khyal rkhna. Aur... Aur.. Koi .. Mera puche tw btana ke ... Main chand dino se lapata hun... "
Maine ghbraye huay andaz main jldi se bina kuch soche smjhay bs Ayesha ko phone kya aur usse mutla kya jo mjhe flhal theek lag rha tha. Mjhe smjh nahi araha tha ke ab mai jauga kahan, aur agar kisi zrye se Ayesha ko ye baat ki bhinak bhi parri ke main ek khooni hun tw wo mjhse alag hojayegi. Jab usko Hooriya ka raaz maloom hua tha tab bhi wo mjhe chor kr chli gyi thi...
Nahi nahi aesa nahi hone duga main.
Hrbrate huay maine foran London ki flight book krwayi jo sbse jldi jane wali thi yani kal subah 8 bjay. Usse pehle tak mjhe kaheen chupna hoga. Kaheen aesi jagah jahan mjhe wo dhund na sake.
Meri gaari tez raftaari se ek hotel ki traf barr rhi thi, itnay main samne se aati hui gaari ne mere khauf ko aur dugna krdya kiuke main na khud qaboo mai tha aur na hi gaari mere qaboo mai rhi thi, uss admi ne bhrpoor koshish krte huay mjhe tw bacha lya magar uski gaari ek hadse ka shikar ho kr tooth phoot gyi thi, uska matha steering pr hone ki wjh se horn bj rha tha. Itne main bheer ikhatti hogyi aur main na chahte huay bhi wahan se bhag nahi paya.
Shayad meri qismat main ek khooni hona lkha tha...
••••
Banhon main seema ko samete huay maine usse gaari ki pichli seat pr litaya aur Hooriya ko apni maa ke hawale krke gaari chalane laga. Is waqt mai kch bhi sochne smjhne se qasir tha kiuke flhal kisi ki zindagi ... Nahi meri biwi ki zindagi ka sawal tha. Main iss baat ko bad main sochna chahta tha ke ye sb kis ne kya kese hua,lekin main Seema ko bachana chahta tha. Abhi tw hmari zindagi ki shuruaat thi. Ya phir. Ye ikhtitam tha? Astaghfirullah.
Maine apne ulte khyalat ko rokne ke liye kch seconds ke liye ankhen band ki aur phir jab ankhen kholi tw samne se tez aati hui gaari ki roshni ne meri ankhon ko chundhya dya aur bamushkil maine gaari dusri jaanib morr di, lekin mera sar ek jhatke se steering se tkraya. Meri samaton main akhri awaaz horn ki thi aur mere dil main khyal Seema ka... Meri biwi...
••••
Meri ankho ki wehshat ko dekh kr wo lutf'andoz horha tha lekin mjhe nahi pata tha ke woh aesa qadam utha skta hay. Wo tw hmesha se suljha hua, ek saada tabyat ka malik rha tha. Maine usse bar'haa maafi mangi magar nada'rat. Koi faida nahi tha. Maut ka manzar meri ankhon main saaf saaf chalrha tha aur uski ankhon main utra hua khoon mere jism ke andr majud khoon ko khushk krne main kamyaab horha tha.
' Mjhe ek mauqa de do. Main.. Main.. Waada krta hun.. Tm jesa chahoge wesa hi hoga... Bus wesa hi hogaa... Plzs... Meri... '
" Khbrdar jo tmne apni gndi zaban se meri biwi ka naam bhi liya tw. Tmhara khel khatam. Mohabbat ko junoon smjhte thay na tm, ab dekhlo apne junoon ka tamasha. Tmhare junoon ka gala khud apne hathon se ghotuga main. "
' Nahi.. nahi.. Pls.. Nahi. '
Aur phir kamre main ek goli ki awaz aur ek cheekhne ki awaaz ke baad mukammal maut ka sannata cha chuka tha.
Silent readers, pls put dosn your comments here so that I can know you're a part of this journey too :)
Vote and share with your friends!
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020