50

178 3 1
                                    

Pls vote & comment!

Junaid:

Uski ek ek harkat pr maine nazar rkhi hui thi, Hooriya kb kahan kis waqt ja rhi hay, kis se milrhi hay, kya kr rhi hay har baat mere ilm mai thi. Maine kch detectives ko kaam pr rkha hua tha aur wo mjhe pal pal ki khabar de rhe thay.

Mai ksi aese moqe ki talash mai tha ke main Hooriya ko Ahad se door aur apne qareeb krlu.

Ayesha ke ghar se wo shaam ke 8 bjay ke qareeb nikli thi. Uske sath Ahad bhi tha. Maine Ahad ki gaari mai ek microphone attach kya hua tha ta'ke mjhe unke beech hone wali baton ka bhi pata chle.

" Ye hum kahan ja rhe hain Ahad? Mai bht thaki hui hu. Ghar chlte hain na pls?? "

' Konse ghar ? '

" Mere ghar, Apke ghar, Apki banhon mai sona chahti hu. "

Uski ye baat sun kr ghusse se mera khoon kholne laga tha , wo itni mohabbat Ahad se bhala kyun krti thi. Kya use meri mohabbat ka zara bhi ilm nahi tha? Mai tw Ahad se pehle iski zindagi mai achuka tha, phir kyun Hooriya meri qismat ki lakeeron mai nahi lkhi gyi thi??!! Mjhe Ahad se bohat jalan mehsus hoti thi.

' Tmhare liye ek surprise hay. '

" Kesa surprise? "

' Bus thora sabar kro meri jaan. '

Jaan? Jaan tw wo meri thi!!
Ahad ki nahi. Junaid ki jaan thi!!

Maine foran apne ek detective ko call kya aur use hidayat di ke wo palak jhapakne ki ghari tk bhi Ahad ki gaari se nazar na hataye. Mai aj ki raat hi Hooriya ko Ahad se juda aur mjhe qareeb krluga.

Hooriya:

Surprise destination jese hi qareeb agayi thi unho ne gaari ko roka aur meri ankhon pr siyah patti bandh kr mjhe tassali se sabar krne ko kaha, lekin mjhse ab sabar nahi horha tha mai janna chahti thi ke Ahad ne mere liye kya plan kya hua tha.

' Bus thori der aur meri jaan. Hooriya tum meri zindagi mai kya ho tmhe aj mai jata kr rhunga. Tm ne abhi meri deewangi dekhi hi nahi. Isiliye shayad tmhe nahi pata ke tum mere liye ktni important ho. '

" Mjhe pata hay Ahad. Lekin meri ankho se patti tw hatayen? "

' Okay. Ab tum patti khol skti ho. '

Jese hi maine ankho se siyah patti ko hataya, mere samne khubsurat golden lights jhilmilane lagi. Raat ko beach pr jaane ka mera ek chota sa khuwab tha aur aj wo sach hochuka tha. Raat ki thandi hawayen mahol ko aur romantic aur khush'gawar bnaye huay thi. Ek table samandar se kch faasle ki ret pr sajaya gya tha jispe ghulab ki pattiya bikhri hui theen aur ek bht mazydar cake rkha hua tha jispr I love you Hooriya lkha hua tha.

 Ek table samandar se kch faasle ki ret pr sajaya gya tha jispe ghulab ki pattiya bikhri hui theen aur ek bht mazydar cake rkha hua tha jispr I love you Hooriya lkha hua tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aur dayen traf safaid curtains ke sath safaid cushions aur mattress tarteeb de kr rkha hua tha, curtains pr golden lights chamakti hui bht dilkash lgrhi theen.

Ye sb meri ankho ke samne ek fairytale movie ka scene lgrha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Ye sb meri ankho ke samne ek fairytale movie ka scene lgrha tha. Main bohat khush thi, bohat khush.

' Kesa laga surprise meri hooriya? '

Uske jawab mai main lapak kr uski banho mai chli gyi use galy se lagaye maine bhi uski trah chandni raat mai aitraf-e-mohabbat kya tha, I love you Ahad .

DeewangiWhere stories live. Discover now