Hooriya:Hostel mai aane ke baad mera dil kaafi pur'sukun tha, yahan ka mahaul Alhamdulillah acha tha ... Un sb baaton ke bar'aks jo maine sun rkhi thin. Strictness aesi thi ke koi chirya bina warden ki permission ke par nahi mar skti thi.
Ilyana se main kafi hadh tk naraz thi lekin phir bhi uss ne mjhe pastry khila kr mana lya tha, lekin kher thora bht khafa rehne ka poora haq rkhti thi mai. Aese kese koi apni dost ko anjan shehr mai museebat main tanha chor jata hay. Not a friend indeed.
" Hmm. Lgta hay ab mohtrma ko shopping bhi krwani pregi tb ja kr manengi ap. Right? "
' Kya? '
" Yahi ke you think I am not a friend indeed. "
' Tmhe kese pata chla mai kya soch rhi thi? Tm mind reader ho kya? '
Maine bhanwe uchka kr uski traf sawalia nigahon se dekha jis pr wo hnsne lagi phr jawab dya,
' Nahi. Tum sochte waqt bolti bhi ho Hooriya. Tmhe aj tk kisi ne btaya nai, apni baten dil tk rkhni chahye '
Uss ne mjhe wink krte huay bola.
" Shut up okay. Haan tw mera haq bnta hay naraz hona. Tmhe kaheen jana tha tw atleast mjhe hostel tk hi drop krte huay chali jati kya jata tmhara? Aur by the way gyi kiske sath thi ap? "
Maine phr us se tafteesh shuru krdi.
' Are you sure tmhe doctor bnna hay? Kyuke mjhe tw lgta hay tm ek achi CBI bnskti ho '
Chips ke packet ko khol kr meri traf brhate huay us ne mera munh bnd krna chaha lekin mai haq ke khilaf awaz buland krne walo mai se thi, so maine socha mai wo chips accept krne se pehle apni baat bol kr rhugi.
" pehli baat jee han mjhe dr hi bnna hay aur ye tfteeshi keera mere andr tmhari hi wjah se ghusa hay. ek tw tm mjhe bina btaye kaheen gayab hogyi mjhe chor kr chli gyi aur ab ulta chor kotwal ko dante??? "
' Hooriya tum! '
" Ilyana tum! "
Uss ne mjhe terha sa munh bnate huay dekha aur chips k packet ko jise meri traf brhaya hua tha ek jhatke se apni traf khencha,
' no chips for you! '
Maine bhi kandhe uchka kr apna rukh washroom ki traf badal lya, mjhe jldi se kpre change krke hostel pohnchna tha. Mai nahi chahti thi ke first day first impression mai main late comer jani jaun, lekin mere is "reputation ki fikr" se Ilyana ko koi gharz nahi tha wo tw bare aram se tv pr koi movie dekhte huay chips kha rhi thi.
Jab main wapas ayi aur tb bhi Ilyana ko sofay pr bethe dekha tw mjhe ghussa aya,
" Ilyaana tmhe aana nahi hay kya college? Der horhi hay utho! "
' Nai yar aj mera man ni kr rha , meri attendance laga dena pls. '
Tango ko seedha krte huay apne bazuon ko sar ke piche krte huay boli.
" Hadh hoti hay. Hunh! Mai koi nai laga rhi tmhari attendance wgera. "
••••
College pohnchne ke baad class dhundne mai mjhe zyada waqt nahi laga kyuke entrance ke baad samne hi reception counter tha jiske brabar mai ek bara sa notice board laga hua tha jiske upr freshers ke naam bold huroof mai printed thay aur uske sath hi unki assigned classes bhi maujud theen. Naye anay wale bcho ko koi diqat na ho islye side mai ek hostel se hota hua college tak ka map bhi pin kya hua tha aur uske ilawa har class ke baare mai bhi map pr tafseelat maujud theen, ke konsi class college building ke kis floor pr kis traf hay.
Raaste mai meri tkkar ussi lrke se hui jo mjhe bin mange help krne ko tyyar tha. Mjhe kafi herat hui pehle ke wo mjhe follow krte krte yahan tk kese agaya, phir apni aqal pr hnsi ayi kyunke baat hi kuch aesi thi. Wo lrka asal mai wo admi tha hi nahi, kyuke agar wo mjhe pehchan leta tw mjhse dubara usi topic pr baat krta ke wo mjhe safely pick and drop krega kyuke aesa aunty ne kaha tha.
Class mai bethne ke taqreeban adhe din ke baad, kaafi thakan ke sath mai apne locker se saman nikalne ja hi rhi thi ke achanak mere munh pe piche se kisi ne apna hath rkha aur kuch seconds ki jadd'o'jehad ke baad mai bedum hone lagi. Ankhon ke saamne gehra andhera chaane laga.
••••
" Apka kaam hogya hay.Mai umeed krta hun ab se hmare raste alag honge. Na ap mjhe tang krengi aur na mai apko. Khuda Hafiz. "
' Theek hay phir, achi baat hay. Mai bhool jati hu ke tmhara Farooq se koi rishta b tha. Maine tm pr uska khoon maaf kya. '
Ajeeb kefyat hoti hay insan ki, aik gunaah ko chupane ke liye dusra gunaah krta hay. Ya phir yun kehna zyada theek hoga ke badle ko insan apne sar pr itna haawi krleta hay ke use phir sahi aur ghalat ki pehchan hi nahi rehti.
••••
Maine ankh kholi tw khudko bare ajeeb o ghareeb kism ke kmre mai paya, jahan tarah tarah ki lighten jal rhi theen aur hawa mai aik bht tez perfume ki khushbu sarahiat kye huay thi.
' Ye mai konsi jagah agayi hu? Ya Allah madad. '
Meri awaz sun kr ek aurat jo ke nihayat chust libaas mai thi wo mere paas ayi aur boli,
" Ab tum aesi jaga ayi ho jahan se bchna na'mumkin hay. Yahan pr koi khuda nahi. "
A/N:
Ramadan mubarak everyone :)
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020