Hooriya:Maine sukun ka saans tb hi lya jb mai college ke hudood tk pohnch chuki thi, meri bhook tw kbki mitt chuki thi, khauf aur ghbrahat ke paseene ne mere wajood ko tar kya hua tha.
Itne main phone ki ghnti ne mjhe mutawajja kya lekin wo mera phone nahi th, us driver k tha jo mjhe yahn tk pohchane wala tha.
" Assalam.o.Alaikum. jee. Jee sir. Main unhe pohncha chuka hun. Wo kheryat se hain. Jee acha, theek hay. "
Uski baaton se yun lgrha tha jese wo usi anjan maseeha se bat kr rha tha jo meri mdad ko aya tha.
Mere tajassus ne mjhe phr se ye janne ke liye uksaya ke akhir wo insan kon tha, lihaza maine driver se bina jhijk ke sawal kya.
' bhai sahab, plz mjhe bata den ke wo admi kon hy jis ne mjhe yahn tk pohchane ka kaha. Asal mai meri qeemti ghari unke paas rehgyi hay... '
" Dekho bibi, mjhe jtna kaha gya maine utna krlya, ab meri salamti isi mai hay ke main apko ba'hifazat yahan choru. Mjhe us insan ke bare mai sawal mt kren. Braye mehrbani ap jayye. "
Jb maine dekha ke meri bat ka uspe kuch tasur nahi hua, tw maine socha dusra pentra azmaa kr dekhugi. Lekin us shakhs ke baare main zaroor jan kr rhugi.
' Acha theek hay. Mjhe ap hostel ke gate tk chorden. '
Hostel tk pohnchne pr maine apne dimagh ke idea ko follow krte huay wahi kya jo mai krna chah rhi thi, kch door chlne ke bad chkra kr gir gyi. Mjhe pata tha ke wo driver mjhe dekh rha tha aur jb tk mai andr na pohch jau wo wahn se jane wala nahi tha. Aur wahi hua.
Wo foran ghbra kr gaari se niche utra aur hrbrate huay phone pr baat krne laga.
Kch der baad ek gaari ke rukne ki awaz ayi aur usmai se phr mjhe ussi admi ki awaz ayi jo mjhe bachane k liye aya tha. Mera maseeha. Allah k shukr mera idea work kr rha tha.
" Kya hua ise? Aese kese behosh hogyi? Tmne gaari kaheen bich mai roki thi? Kisi ne kuch kya tw... "
' Kisi ne kuch nai kya mjhe, mai blkl theek hu......
Tm? '
Kpro ko jharte huay jb mai usse face to face bat krne ke liye uthi tw uska chehra dekh kr heran rehgyi... Jese ekdum meri bolti bnd hogyi ho. Wo tw wahi admi tha jise maine airport pr dekha tha aur phr college mai bhi mere aas paas hi tha.
' Agar tm wahi ho tw phr mjhe apni ankho pr yaqeen nahi araha. Tm. Tm kese? Tm tw aunty se mile huye thay na. Tm wahi ho jo mjhe kidnap krna chah rhe thay. Phr tmne mjhe kyun bachaya.? '
Wo shrminda nazren jhukaye chup chap khara tha, driver hmain baat krne ke liye space dete huay uske ishare pr wahan se ja chuka tha. Hum hostel ke gate ke bahr kharre thay.
" Ap ghalat smjh rhi hain. Haan ye theek kaha ke mai Ayesha se mila hua tha, aur... Aur... Unhi ke kehne pe maine hi apko.. "
Mai uski baat smjh chuki thi aur ab mere ghusse aur ghm ki kefyt dugni hochuki thi, kyuke mera maseeha wo tha jo meri rooh ka qatil tha. Aur ye nihayat takleefde baat thi.
" Mjhe maaf krdain pls. Allah ki khatir. Mai shuru s... "
' Chuppppp! Blkl chup! Tmhe Allah ka wasta main de rhi hun. Jao yahan se. Mjhe tmse na tw bat krni hay aur na hi mai chahugi tm kbhi mere aas paas nzar ao. Nfrat hay mjhe tm jese mrdon se jo aurat ki taqdees ko yun pamaal krte hain aur dusri tarf najane kyun ache banne ke dhong rachate hain. Mjhe tw herat hay ayesha aunty ne ye sb kya ... '
" Na.. Nahi aesa nahi hay. Pl.. "
' I SAID LEAVE! GOOO! '
Maine apni bhrpoor shiddat se awaz nikal kr kaha, zabt kye huay ansuon pr ab mera zor baqi ni rha tha wo zabt ki zanjeero ko torte huay meri ankh se phoot nikle thay...kuch log hmare ird gird ikhatta hogye thay lekin ab mjhe koi prwah nahi thi. Mjhse bhi wahi ghlti hui thi jo meri maa se hui thi, aur wo ye ke ek mrd ki achai se mutasir ho kr use maseeha smjh bethi thi. Wo tw Allah ka shukr hay mjhe iski asliat jldi pata chlgyi.
Ansu ponchte huay jb maine chand qadam hostel ki janib brhaye tw andr se itne main Ilyana mjeh dhondhte huay bahar ayi, uske chehre pr preshani aur mathay pr shikan thay. Uski ankhon mai ansu ter rhe thay.
" I am sorry Riya.. I am really sorry. Main achi dost nahi bnpayi. "
Wo mere galay lgkr besakhta rone lagi, Allah jane meri qismat main kya lkha tha. Mjhe flhal sirf itna samajh araha tha ke kaheen na kaheen mere sath bhi wahi horha tha jo meri maa ke sath hua tha.
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020