" Tjhe kya hua? Aese munh latkaye kiun kharra hay yahan? "Aamir aur Junaid, Farooq ke sath meri traf atay huay mere hath main cocktail juice thama kr puchne lage.
' Tjhe nahi pata kya? Poora college janta tha ke Zoyan, Ayesha ke liye gehre jazbaat rkhta tha. '
Junaid ne hnste huay apni drink ka ek ghoont bhara aur phir se Aamir ki traf mukhatib hua.
' Ayesha hay hi itni pur'kashish ke koi bhi uski traf... '
Aur ek sannatedaar awaaz se Junaid ki baat ka ikhtimam aur poori party ka dehan hmari traf raghib hua tha. Farooq ke hatho ke laal nishan, Junaid ke dayen gaal pr chap gye thay.Uski ankhon main taish saaf dikh rha tha.
" Zaban ko lagam main rkho Junaid Khan. Ye mat bhoolna ke tum, meri biwi ke mutaliq bolrhe ho! "
' Biwi? Tum tw usse shadi krne wale thay na? '
Main ne yakayak herat ke maare pucha, jo dard mere dil ko taaza taaza mila tha ab wo hmesha ke liye nasoor bnchuka tha.
" Ayesha meri biwi hay. Main ne tw yahan tum logon ke liye reception rakha tha.Lekin ab lagta hay tum jese giray huay logon ki sohbat se door rehne ke liye, mjhe yahan se wapas jaana hoga. Aur mjhe Zoyan pr poora bharosa hay, agar wo aj tak Ayesha ke liye jazbaat rkhta tha tw aj ke baad se wo apne dil se aese tamam napak jazbaton ko mitta kr khatam krdega, kiunke hmari dosti kaafi gehri aur purani hay. Itna aitebar hay mjhe ispr, jbhi main isse ankh band krke apna sacha dost keh skta hun. "
Farooq ne mjhe side se galay lagate huay kaha aur nigaah - e - tassahkur se mjhe alwida kehne laga. Yaqeenan woh Junaid ki baat gher munasib thi, aur maine kabhi nahi chaha tha ke meri mohabbat mere dost ke samne yun benaqab ho.
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020