33

261 16 2
                                    


The Nikkah

Ek nazuk si bareek nageeno se jarri hui matha patti balon mai ghusi hui, aur uske sath mazeed balon ki khubsurti ko ujagar krne ke liye laal gulaab ke phool uske jooray mai saleeqe se tan'ge huay thay, aur uski dilkash grey ankhon mai kajal aur eyeliner uske chehre ko pur'kashish aur numayaa bana rahe thay. Uske honto pr gehra laal rang uski nikhri rangat ke sath khoob mail kha rha tha. Uss ne ek akhri nazar sheeshe mai dalte huay apne ap se ek tahayya kya ke wo jis maqsad ke liye dulhan bni hay wo maqsad poora kya bgher apne nikkah mai nahi bethegi, aur yehi kuch sochte huay uske chehre pr ek nihayat hi khaufnak si muskurahat phelne lagi.

Khuda jaane ab wo kya krne wali thi, shaadi mai bs  do hi ghnte rehgye thay.

****

Cream color ki sherwani uspr khoob jach rahi thi, uss ne halki halki darhi rkhi hui thi jo uske chehre ke naqoosh ke hisaab se usse bht hi munfarid aur ek ba'waqar shakhsyat bata rhi thi.

Uss ne koi pachas'wi nigaah apni kalai pr bandhi gharri pr dali hogi, jo ke ab bhi yehi bata rha tha ke nikkah ke liye mazeed do ghnte baqi hen. Usse smjh hi nai araha tha ke jahan uss ne itne din itne maheenay sabar ke sath guzar liye thay , tw usse ab ye chand lamhe aur chand ghnte kyu nai bitaye ja rhe thay... Kyu bechaini thi usse... Kyun uska dil iztrab main tha, usse aesa lgrha tha jese uski sansen ukhar ukhar ke arahi haun...

Kya ye aik nayi zindagi ki shuruat se pehle , dil mai samane wala khauf tha ... Ya phir kuch aur baat thi?

****

Bila'aakhir intezaar ki gharyan khatam huien, aur milan ka khushnuma pal uski zindagi mai aachuka tha. Uska dil zor zor se dharak rha tha, uska ishq, uski mohabbat uski ankhon ke saamne dulhan bani saji sanwri bethi hui thi.

Uss ne ahistagi se darwaza bnd kya aur dheeme andaz mai usse salaam kya, jispe ussne salam ka jawab dya .

Ab uss ne jhijakte huay hatho ke sath uska ghunghat uthaya, aur uski khubsurti se mehzooz hogya ... Wo kisi hoor se kam nahi lgrhi thi, laal rang ka jorra uspr bht khoob lgrha tha, uski zaban goong aur hawaas pr sakta taari hogya tha...

" Maine nahi socha tha ke Allah meri dua itni jaldi qabool krlega, aur... Mere sabar ka phal itna behtareen hoga. "

Bohat mushkil se uss ne apni dil ki baat usse btayi.

' Hmm. Lekin maine soch lya tha. Aur mjhe pata tha , Allah meri dua ko zaroor qabool krega. Mere sabar ka phal bhi bohat meetha hay. '

Be'sakhta wo uske qareeb hua aur usko apne seene se laga lya.

Wo saamne sheeshe mai dekh kr phir se ussi khaufnaak andaz mai muskurane lagi, uski ankhon main jeet ki chamak saaf dikhai de rhi thi.

Jaane wo kya krne wali thi, ya... Kya krchuki thi?

Pls vote/comment.
Share with your friends if you like this story.

DeewangiWhere stories live. Discover now