Assalam.o.Alaikum!
Pls vote aur comment se hosla afzai frmayen, Shukria.' Kya apko ye nikkah qabool hay? '
Qabool hay
Aur phir inn do lfzon ko do baar mazeed bolne ke baad main uske nikkah main achuki thi. Pichli baar ki shadi ke manzar meri ankhon main saaf saaf wazeh thay. Farooq se khula lena meri zindagi ka sbse azyatnaak marhala tha.
Few days before ,
' Main chahta hun ke tum wapas ajao seema. Main janta hun mjhse bohat barri ghalti hui hay, maine tmhe thukraya jiski saza mai apni beti se judai ki soorat main kaat rha hun. Khuda ki Qasam seema, main tumhe aur apni beti ko apnana chahta hun. Wapas ajao pls. '
Mjhe ek landline number se call mosool hui thi jo maine bedihani main Hooriya ke liye nashta bnate huay utha li thi.
" Mjhe ap ki qsmon aur apki khuwahishat ki qat'an koi prwah nahi. Main akeli apni beti ke sath khush hun. Behetter hoga ke tum meri beti se door rho. "
Phone band krke maine kitchen ki slab pr rkhdya, aur jldi se Hooriya ke liye dudh garam krke aur uska nashta bna ke common room ki traf aane lagi.
Itne main drwaze ki ghnti ne mjhe phir apni traf madu kya. Shayad Zoyan ho skte hain, wo Hooriya se milne aye honge.
" Zoyan main apko btane... "
Samne dekha tw meri ankhen herat ke maare phelti chli gyeen, khauf aur ghussa nfrat ke sath ankhon mai samaya hua tha. Mere samne wo insan kharra tha jis ne meri zindagi brbaad ki thi.
" Himmat kese hui tmhari mere ghar tk aane ki? "
' Ohh tw ab tum zoyan ko phnsaogi jese mjhe phnsaya tha.. '
Uske gnde munhe se zoyan ka naam sun kr mjhe ajeeb mehsus horha tha, dil chah rha tha ke uski zaban khench lu.
" Khbrdar jo inhe hath lgane ki.jurrat bhi ki tw. "
Hawa main utha hua Farooq ka hath ab sakht girift mai tha, Zoyaan shayd abhi abhi aye thay aur drwaze pe hi hone ki wjah se hmari behes o takrar ka jaiza le chuke thay. Farooq se ankhen milane ki jurrat maine nahi ki thi, shyad isiliye mere bedum alfaz usko khokhle lgte thay. Agar uski ankhon main ankhen daal kr ek mazboot aurat blke ek mazboot maa ki trah do tok suna deti tw wo hath kbhi nahi utha pata... Ya shyd..
' Ab tu mjhe sikhayega meri biwi se mjhe kese pesh anaa h? Kon hay tu? Iska ghulam ya iska naya khreedar? '
Ab ki baar hawa main hath utha aur chehre pr ek sannate daar awaz ke sath aa sakat hua, Farooq ka chehra Zoyan k hatho ki chaap se laal hochuka tha.
" Apni ghatya aur low mentality wali soch apne paas rkho. Main inka wo hun jo tm kbhi nahi bn paye, yani muhafiz. Ek mard ko Allah ne haakim ka darja zaroor dya hay biwi ke uoar, magar zulm ke liye hi nahi uski hifazat aur dekh bhaal ke liye. "
' Hahahahahahahahaha . '
" Mjhe talaq chahye Farooq. Zoyan bus ab pls ap Allah ki khatir chup rahen. Farooq. Mjhe talaq de do aur meri zindagi ko azaab se bakshh do, tum apni nayi beewi ke sath rho. Mjhe tmhari zindagi mai koi dilchaspi nahi. "
' Ye tmhari bhool hay Seema. Bohat barri ghlti kr rhi ho meri mrdangi ko lalkaar kr. Pachtaogi tm. '
" Kon kb pachtayega iska fesla krne wala Upar arsh pe maujud h "
Zoyaan ke kahe huay alfaz mjhe achi trah yaad thay, har ek baat Farooq ki har zakham uska yaad tha...
Yaad tha mjhe...
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020