13

408 31 0
                                    


Hasbe mamool main apna farigh waqt bitane ke liye orphanage aya hua tha, yahan pr mjhe wo sukun milta tha jo wo dunya ki bheer main nahi dhund skta tha.Akhir ... Main bhi tw ek orphan hi tha.

Bench pr bethe huay apne paas main ne nanhe nanhe bachon ka hujoom ikhatta kya hua tha, sb apne 'Zoo bhai' se bohat manoos thay. Ye naam kuch ajeeb zaroor tha magar bachon main pyara aur qareebi tha.

Main hfte ke do din kisi na kisi janwar ke mutaliq dher sari maloomat le kr ata aur phir wo bachon se kahaniyo ki soorat main share krta, isse unke general knowledge main bhi dilchaspi brhti aur usse unsiat bhi gehri hoti jati.Iske ilawa main ne sare bachon main mukhtalif aqsam ke arts ke saman mohaya krdye thay take wo alag bhi apni salahiaton ko ujagar krsken.

" Zoo bhai, aj ap ne choonti ko kiun chuna hay wo tw itni gher mamuli si hoti hay. Wo janwar thori hay! "

" Haan, Zoo bhai. Ap koi aur bhi tw animal le skte thay, choonti hi kiun? "

' Dekho bachon choonti hay tw bohat hi mamooli lekin kya tm logo ko pata hay usmai ktna hosla hota hay? Agar wo ek baar apne qdm se lrkhra jaye tw himmat nahi harti, blke phir se qdm agay brhati hay. '

Call ki tune bjne se mera dehan un bachon se hatt gya aur main unhe muskurate huay excuse krta hua, bahar ki traf jane laga.

Tbhi mera tkrao ek admi se hua jis ne apna munh dhankne ke liye cap ko niche krke pehna hua tha aur uske hath mai ek choti bachi ka hath jakra hua tha, uski ankho se khauf saaf dikhai de rha tha ... Jese ankhain ro ro kr soojh kr laal, faryad kr rhi haun ke mjhe yahan mat choro!

" Sorry wo mai ne dehan nahi dya. "

Bachi ne ek umeed ki nazar se mjhe dekha aur phir ek lmhe mai hi jese uski umeeden tooth gyi haun, meri musskurahat usko sukun nahi blke dard de rhi theen.

' Uncle , kya mai bhi ek balloon le skti hu? '

Mere hatho me pkre gubaray usse shayd apni choti si khushi ka zarya nazar arahe tha, jise wo masoomiat se pana chahti thi.

" Haan kiun nahi, tmhara nam kya hay gurya?? "

'chalo yahan se mere paas itna faltu waqt nahi, chalo! '

Uss admi ne bachi ka hath khench kr tqreeban usse ghaseet'te huay andr le jana laga, lekin ye awaz?

Awaz bohat jaani pehchani lgrhi thi.

" Sunye! Bachi ko ap istrah zbrdsti yahan kiun chorna chahte hain?  Kya ye apki beti hay ya ksi aur ki beti ko yahan chor rhe hain? "

' Tum kon ho mere personal ma'mle mai taang arane wale han? Behetr hoga tm apna raasta napo! '

' Uncle, ap ne sahi kaha. Ye mere Papa nhi ho skte, lekin ye mere papa hain . '

Aur phir uss admi ne bachi ke gaalon pr ek thappar raseed kya aur usse rota waheen chor kr bahar ki trf lmbe lmbe dug bhrte chla gya.

DeewangiWhere stories live. Discover now