22

303 32 1
                                    

Pls, vote & comment!
Also share the story with your friends if you like it.

" Main kuch nahi janta, zinda ya murda mjhe wo bacchi har haal main kal tak chahye. Theek 24 ghante hain tmhare paas wrna main jo bolta hun wo krke dikhata hun "

Ghar ke andar wapas atay atay mere qadam phir sawalia nishan se maat kha kr ruk gye.Wo ussi ghusse se kisi se baat kr rhe thay, shayad ussi orphanage se jahan uss din...

Kya main iss admi ke sath dubara rehne ka fesla krke theek kr rhi hu? khyalon ke umadte jhamgat ko jhatak kr maine LAHAWL parha aur Allah pr bharosa krte huay ghr main dakhil hogyi.

" Tum ... Tum wapis agayi Ayesha??? Meri jaan... maine tmhe ktna dhoondha? Kiun chorr ke chali gyi thi mjhe? Janti ho main kitna pagal hogya tha? Kahan kahan nahi dhunda tmhe? Wo... mai... tmhe ... bcchi aur... "

Maine hath ke ishare se honto ke paas apni ungli rkh kr unhe chup rehne ka ishara kya, main kuch bhi nahi sunna chahti thi. Kisi wazahat ki talabgaar nahi thi. Mohabbat daryadil hoti hay, maaf krna janti hay. Main unhe maaf krchuki thi.

' Ap ko kuch kehne ki zaroorat nahi. Maine ap se shadi islye ki thi kiuke mjhe ap se mohabbat thi, mohabbat krne ke baad ye ek shart hoti hay ke uss mohabbat ki paasdaari ki jaye usse wafa se nibhaya jaye, main nibhaugi iss rishte ko. Maine apko maaf krdya. Lekin... lekin main chahti hu ke ap uss aurat ko bhi apnayege... usse dhutkarege nahi aur na hi usse talaq dege... apki beti... meri bhi beti hay ab se... Main chahti hun ke ap Unhe yahan pr bulayen... Itna barra ghar hum dono ke liye ghermunasib tha, lekin ab nahi... ab hum sab... '

" Pagal hogyi ho kya tum??? Kisi maykhane main tw panah nahi dhoond li thi ek do hafte se?? Dimagh thikane se hatt gya hay tw baby ja kr araam kro. Main tmhe iss halat main nahi dekh skta, bohat pyar krta hun tmse. "

Zehr undelte karwe alfaz mjhe mushkil se peene parre, darguzar krna kisi ko baraks uski khataon ke... koi asaan kaam nahi tha.

Qareeb akar unho ne meri kalai pkri aur hatho ko apne honto se choote huay phir mere baalo ko pyaar se sehlaya aur peeche se sar ko apne hatho ke bal apne honto ke qareeb kya, aur wahan pr bosa lya.

Ye kesa pyar tha inka main nahi janti thi, lekin jo bhi tha... ye hi mera naseeb tha.

A/N:

Sorry main masroofyat aur zaati problems ki wjah se update nahi krpayi thi, koshish ki hay ke in do updates se haq talfi ki maafi hojaye. Fesla apka hay. :)
Shukrya!

DeewangiWhere stories live. Discover now