Kya kahain kitne mraasim thay hmare us se,
Woh jo ek shakhs hay munh pher kr jaane wala
~ Faraz6 years later
Manta hun, ke main us ke qabil nahi.
Hmara kaheen se koi mail nahi. Agar wo aasman hay to main zameen, usmai aur mjhmai umr ka bhi farq hay, magar ... mohabbat umr dekh kr kb hoti hay? Us din se le kr aj tk, in do saalon mai hr ek din maine usse yaad kya hay. Mjhe pata hi na chl ska kb meri pashemani , ehteram ka rang aurhne lagi, aur phir ehteram sabr ki kalaiyon se chooth kr mohabbat ki panah dhundne lga aur phir kb mohabbat deewangi mai tbdeel hui.Ek afsurda si muskurahat ke sath maine apne sar ko jhtak kr dubara uski painting pr deehan dena shuru kya, koi kotaahi mjhe gawara nahi thi. Uske chehre ki masoomiyat aur uski ankhon se chalakti masti ko main apne khyalon main piro kr uski tasweer bnane mai ek bar phir kamyab hogya tha.
Introducing Sajal Ali as Hooriya
Mere kmre mai chaaron su maujud uski tasweerain mere bejaan wajood ko sansain bakhshti thi, wo meri zeest ka la'haasil sahi meri be'wuqqat zindagi ka aabe-hayat thi. Sirf kmre mai hi nahi , mai uski tasweero ko khaako ki shakal mai mehfooz apne paas apni sketchbook mai bhi rkhta tha.
Uski ye tasweer maine college ke farewell party ke din li thi, jb wo siyaah gown main apne khubsurat lmbe baalon ko azaad chore huay ksi waqt ki malika se km nahi lgrhi thi. Main uss party main caterer bn kr gya tha.
Aj bhi yaad hay uski wo muskurahat jo maine apni ankhon mai qaid krli thi aur jiska khaaka maine apne dil mai tyyar kr rkha tha.
Main uss din bhi college main tha jb mjhe ilyana ne btaya tha ke wahan pr literature society ki traf se ek drama organize kya gya hay aur jsmai un dono ne hissa lya hay. Jb main uske makeup room main chupa hua usse khudko nikharte huay dekha tha.
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020