32

231 15 1
                                    

Zoyan:

Lmhe kaatu tw kat'te nahi thay. Din bhar hooriya ke sath guzarne ke bawjud mera deehan wapas uss raat ki traf chala jata jb mjhmai darindagi utar ayi thi. Nahi janta tha ke wo bharas maine Ayesha ko na pane ki nikali thi,ya Seema ke qatal hone pr dil ghayyur hochuka tha.

Business mai mjhe kafi loss hone laga tha magar mjhe qat'an uski koi prwah nahi thi. Ammi mjhe karobar ki traf deehan dene ka keh keh kr thak chuki theen, wo chahti theen ke main agay brhu zindagi ke guzre huay kal ko guzre huay daur mai hi piche chor kr agay barhu magar aesa mumkin nahi tha.

Khyaalat mai ab sirf meri mohabbat chayi hui thi,shayad yehi wjah thi jis wjah se Farooq ko marte mere hath nahi kaanpe. Main apni mohabbat ko paana chahta tha phir chahe wo kisi bhi tareeqe se ho mjhe usse gharz nahi tha.

Main uska besabri se intezar kr rha tha jiska intezar maine barson se kya tha.

Uske iddat mai hone ki wjah se mai usse mil nahi skta tha magar mjhe yaqeen tha ke iddat ke mazeed tqreeban do maheenay guzarne ke baad uska jawab haan hi hoga.

Two months later,

Aj main bohat khush tha. Mera sbar, mere ansoo ishq ki bargah mai qabool hochuke thay. Wo khud aakar mjhse keh kr gyi thi ke wo mjhse shadi krne ke liye ab tyyar hay.

Maine usse do din ka waqt manga aur phir tyyari mai lag gya, har khubsurat libaas mai uske liye sochta shopping krte waqt jewelry ke liye meri khaas talash thi... Main usse kuch aesa tuhfa dena chahta tha jise dekh kr wo mjhe aur meri mohabbat ko hmesha yaad rkhe, aur use kbhi bhi iss baat ka dukh ya afsos na staye ke uska shauhar is dunya mai nahi tha... Haan main khudgarz tha, lekin sirf apni mohabbat ke liye.

Bohat thak har kr bila'akhir mai aik nateeje pr pohcha aur mere khyal se kisi bhi lrki ke liye ye tuhfa yaqeenan bohat khaas hoga.

Bus ab mjhe intezar sirf nikkah ke din ka tha.

Choonke meri ammi iss nikkah se raazi nahi thi bari mushkil aur minnat samajat se unhe apni jaan ka waasta de kr iss moqe pr shirkat pr unhe amada kya tha aur wo din ab zyada door nahi tha, jb wo meri hone wali thi...

Ayesha:

Bus do din aur...

Mjhe apne har aik ansoo, aur har ek qarb o aziat mai guzre lmhe ka hisaab lena tha, main usse zindagi issi trah cheenu gi jistrah uss ne meri mjhse cheen li.

Pata nahi ye junoon mere andr kese samane laga tha , ya ye meri Farooq se mohabbat ka aalam tha ke mai pagal hochuki thi... Uske bghair... Halanke, mai janti thi Farooq sahi insan nahi thay. Lekin mjhe unse mohabbat thi, aur mohabbat mai insan sahi ho ya ghalat usse bus yunhi nazar'andaz krke bila'naagha aur be'saakhta shiddat ke sath chaha jata hay. Aur maine yahi kya tha.

Inn chaar mahino ko maine ktni mushkil se guzara hay ye srf mera Allah janta hay.

Ho skta hay ke Zoyan mjhe wo pyar de jiski main haqdar hu, lekin Zoyan mere liye kbhi bhi Farooq ke pyar ka mutabadil nahi hoga. Mere dil se Farooq ki mohabbat unke ehsas ko koi nahi mitta skta.

Aur Zoyan ko mjhse shadi krne ki saza zroor milegi, bus do din... Do din aur...!


Hey!!! Assalam-o-Alaikum!

I'm back :)

Pls vote/comment to share your views.

DeewangiOpowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz