Hooriya:Banno re banno meri chali suraal re,
Ankhyo main paani de gyi...Surkh makhmali jorre mai saj kr mai Ahad Raza ki dulhan bne uske samne saji sanwri bethi hui thi. Haan mjhe usse muhabbat hogyi thi.
Yahi wjah thi ke baba ne meri muhabbat ko qabool krke mera hath hmesha ke liye Ahad ke hathon main sonp dya.Main tw us rishte ke bare mai kuch janti bhi nahi thi jo is rishte ke jurne se pehle baba ne tay krlya tha, aur shayad meri zindagi mai Ahad ki itni ehmyat na hui hoti tw phir mai uski dulhan bni hoti jiska na mjhe naam maloom tha aur na hi mai jiske chehre se waqif thi. Ye tw bus naseeb ki baat thi ke mera naseeb meri takhleeq ke waqt hi mere Rabb ne likh dya tha.
" Assalam.o.Alaikum biwi saheba "
' Walaikum assalam shohar sahib '
Nikkah ke baad ye hmari pehli guftagu thi. Salaam ke baad kuch minto ki khamoshi chai rahi , shayad na usmai himmat thi kuch aur baten krne ki na hi mjhmai. Aik dusre ka hojane ka ehsas is shiddat se sehar'angez tha ke hum dono goya sirf ek doosre ki zaat ki hadh tak hi mehdud hogye thay.
' Tum mjhe yunhi ghoorte rahoge kya? '
" Nahi. Aur bhi bohat iraade hain, filhal ye pehla marhala tay kr rha hun. "
Us ne sharart se meri thori ko upar krte huay meri ankho se ankhen milate huay kaha.
' Achaa. Aur un iraadon mai kya kya shamil hay? '
Maine bhi jawaban sharart bhre andaz se usse sawal kya.
" Bus zyada kuch nahi qudrat ke haseen shahkar ki rubaru beth kr akkaasi krna. "
' Yaani tmhara artist mode phr se on horha hay? '
Bhanwo ko uchkate huay maine pucha.
" Akhir itni feelings jo ek sath mjhpe hamla kr rhi hain, usse nimatne ke liye kaheen na kaheen kaghaz pe ya canvas pe tw utarna prega na unhe? "
' Lekin... Tum aesa nahi kroge, ab ki baar se tum jab bhi mere naqoosh ko kaheen utarna chahoge tw wo sirf tmhari ankhon ke canvas mai hoga. Allah ko pasnd nahi ke Uski ye sift (Al'Mussawwir : behtareen mussawwir) koi aur apnaye us soorat mai jab wo kisi jandaar ki takhleeq ki akkaasi ho. '
" Okay madam. Jo ap munasib smjhen. "
Ab ki baar uss ne mere qareeb atay huay apne dono hatho mai mere chehre ko bhar ke, peshani pr pyar kya. Jese koi artist apne masterpiece ko bnate huay uske features ko mehsoos krke apna pehla stroke chalata hay.
Uske baad wo waalihana andaaz se meri ankho ko choomne laga. Bilkul aese jese us ek canvas pr ahista ahista koi rang utara ja rha ho.
Meri kefiat waqt ke sath sath deewanepan mai brhti ja rhi thi.
' Bus. '
" Kyun? Meri deewangi ke agay tmhara bus nahi chal rha hay kya?"
Kuch lamhe yunhi beyaqeeni aur asbaat ke takkhayyul mai guzre,
Kuch lamho main qaid, uske jazbat haseen masterpiece pr apne un'ginat rang utarte ja rhe thay aur wo zehnaseeb canvas mera wajood tha jispr Ahad Raza Mir ke lams zarre zarre mai simte ja rhe thay.
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020