20

324 38 0
                                    

Assalam.o.Alaikum all!
This chapter is dedicated for all my pyare pyare readers, jo ache bacho ki trah vote krte hain 😍❤

And also, cheers for 1K to Deewangi!

Ankhon ko mahol ke mutabiq adjust krte huay main ne ahista ahista apni ankhen kholi,mere sar main dard ki ek tez lehar dor uthi jiski wjah se main sar nahi utha pa rha tha. Main jahan kahin bhi maujud tha waheen mere paas Hooriya mera hath thamay mjhe inhimak se dekh rhi thi. Main kahan tha?
Lekin jahan bhi tha, shukar Allah ka ke Uss ne meri dua qabool ki.

" Tw ap ab kesa mehsus kr rhe hain? "

Barri chadar main lipti aik khatoon mjhse dryaft krne lagin.

" Ghabrayye mat, main Hooriya ki maa hun Seema . "

Iss naik khatoon ko dekh kr mere dil mai inke liye hamdardi aur ehtram jag rha tha.
Aesa maloom hota tha ke uss waqt Allah ne meri dua sun li thi.

' Pa... ni... '

" Main laugi baba ko pani. "

Hooriya bhagte huay andr ki janib gyi aur rk glass mai thnda pani bhar kr mere liye le ayi, ab wo koshish kr rhi thi ke mjhe wo pani pila sake lekin main dard ki tkleef se uth nahi pa rha tha.

" Straw se piyege ap  "

Uss ne phir bina dairi ke mere liye asaan sa hal nikala aur side table se hi juice ke dabbe pr lage straw ko nikalte huay usse glass main dala, aur mere munh ke qareeb krdiya. Pani ke kuch ghoont pee kr mera khushk halaq ab thanda hochuka tha.

' Allah.. tmhe khush rkhe gurya. '

Uske sar pr maine shafqat se hath phera aur tasshakur'aamez nazron se uski maa ki traf dekha, aur phir nazron ko jhukana hi munasib smjha.

Aik nazar main hi lekin shayad wo mere dil ko bhaa gyi theen, umar ke aitebar se shayad wo mjhse zyada faraq na rkhti haun lekin aala'zarfi ke maamle main aur ache aur naik dil ke zamre main wo mjhse bohat agay theen. Chehra tw nahi dekh ska tha, lekin uski bhoori rang ki ankhen mjhse na chup saki theen. Wo ankhen jinmai dard, ghussa, tarrap aur najane kya kuch tha.

" Ap yahan jb tk theek nahi hote reh skte hain. Khane ko mai kuch Hooriya ke hath se bhijwati hu. "

Seema ne mjhse mukhatib ho kr kaha tw main apni sochon ke khaul se bahar nikla tha, aur sath hi phr Hooriya ko muskurate huay mere qareeb atay dekha. Thora jhijakte huay ruki, aur phir uss ne mere mathay pr bosa dya.

" Allah apko bhi khush rkhe baba! Blke mjhse zyada khush rkhe. Ap bohat ache hain. "

Uski umar ke hisab se ye batein bohat barri theen, lekin uske dil ki masoomiyat thi jo mjhe uspr pyar ata tha. Khushi se meri ankh nam hone lagi, Allah apne bndon pr soch se zyada meherbaan tha.

Pls vote amd comment!

DeewangiWhere stories live. Discover now