41

235 12 0
                                    

MATURE CONTENT

Red light area, Lahore. (Part-1)

" Poore 2 laakh rupay mai khareeda hay tmhe hmare ek sahib ne. Tm flhal yahan pr hmari mehman ho. Tm araam kro, mai khane ke liye kuch bhijwati hu. "

Mere pairon ke niche se zameen khisakne lagi, kaanon ko apne sune huay alfaz pr blkl yaqeen nahi araha tha. M.. Mjhe. Mjhe becha gya hay? E.. Ek.. Ek.. Kot.. Kothay pe?

Maine apne bazuon se apne apko sametna chaha, mjhe aese mahol mai saans lete huay bhi ghin arahai thi. Har traf uryaniat numayaan thi, iss mubarak maheenay ki aamad ke bawjood... Logon ne gunah ka daman nahi chora tha, goya ke wo nafs hi tha jis ne shetan ko Adam Alaihi Salam ko sajda krne se inkar krwaya tha aur wo nafs hi tha jo hmari brbadi aur gumrahi ka sabab bnta hay.

Ansoo'uon ki laryan ankhon se tip tip girne lagi theen. Piche se akar kisi ne mere kandhe pr hath rkha, mai ek dum se palat kr uth khari hui... Wahi aurat khari thi jis ne mjhe is jahanum mai welcome kya tha. Uske hath mai khane se saji hui ek tray thi jo uss ne kmre ke konay mai maujud aik maiz pr rkhdi thi, aur ab wo kuch chmkeelay kpre le kr meri traf arahi thi.

" Haseena, is lrki ko boldo ke ye kpre pehen kr jldi se tyyar hojaye. Sahib abhi atay hi honge. "

Andar ke ksi kmre se , mere sath wali aurat se ksi ne mukhatib hotay huay kaha. Mere andr jhur'jhuri ki ek lehar dorr gyi. Maine apna dupatta apne gird aur mazbooti se lapet lya, jesa ke wo mjhe tahaffuz faraham krskta ho. Allah! Meri madad kr plzzzz...

" Khana kha lo. Yahan pr koi ksi ka humdard nahi. Lekin pata nahi mjhe tm se kyu humdardi ho rhi hay. Aur phir tyar hojana. Dekho, sahib ko mana mt krna... Wo bht ghusse wale hain. "

Mai piche hatne lagi, jesa ke mjhe uski humdardi mai koi humdardi nazar nahi arahi thi. Humdard? Allah, sirf Tu mera humdard hay... Babaaaa...

Dil se ek aah nikli, mjhe mere baba yad arahe thay. Kese unho ne mjhe zamane ki har buri nazar se chupa kr rkha tha, unko pata chlega ke mai yahan pr hu to unko sadma lagega... Mere baba... Ya Allah plzz madad kr meri... Beshak izzat aur zillat dene wala Tu hi hay, meri izzat ki hifazat krna... Meri maa nahi hay, lekin Tu hay. Tu mjhse...

Kuch hi seconds mai cigarette ka dhuwan kmre mai bhrne laga, sans lena mushkil horha tha , mere samne ek adher umar ka shakhs gnde bikhre baalon aur munh mai cigarette dbaye mjhe hi ghoor rha tha. Mjhe aesa laga ke kaash zameen phatt jaye aur mai usmai sama jaun , ta'ake us admi ki maili nzro se bach skun... Lekin..

' Door raho mjhse... '

Ba'mushkil khushk hote halaq se maine kaha.

Lekin wo to jese apni hi dhun mai sawar , apne shikaar ki traf barh rha tha uski ankhon mai khoon'khuwaar chamak dikhai de rhi thi, jese ek janwar apne shikar ki traf brhta hua hawas aur bhook ke saath agay brhta hay, wo blkl usi trah meri traf brh rha tha.

" Tmne wo kpre nahi pehne jo maine khas tmhare liye bheje thay? Chalo koi baat nahi, mai khud tmhe pehnata hu. "

Yahan se bchne ki koi umeed dikhai nai de rhi thi, lekin mai himmat nai harne wali thi. Meri maa ne mjhe hmesha himmat se har waqt ko face krna sikhaya tha.

Mere dimagh ne mera saath dya, kyuke Allah mere sath tha, Allah mjhe bachana chahta tha. Acha hua jo maine khana nahi khaya tha, maiz pr rkhi tray pr kuch phalon ke sath ek churi bhi thi. Bus, mjhe kese bhi krke wahan tk pohnchna tha.

' Kya ap... Mjhe.. Khud.. '

Usse baat krna to door mai usse dekhna bhi nahi chahti thi, mjburan mai ne baat krni chahi ta'ake uska dehan hata sku.

" Haan meri jaan, sirf mai hi tmhe khud dekhuga aur chuwooga bhi. Yahan pr aur koi maujud nahi. Tm preshan mat ho. Maine tmhare liye apni itni raqam aese hi thori lgai hay. Tum bohat khubsurat ho. Ab aao mere paas mai khud tmhare iss sangemar'mar se badan pr apne psnd ke kpre sajauga, "

Dil to chah rha tha ke uske ghaleez chehre pr thooku , usse thappar maaru, magar koi bhi aesi hrkat mere hi liye museebat khari krskti thi.

Thore qadam aur maine kmre ke akhri siray pr maujud maiz ki traf brhaye, aur thore aur, magar shayad wo mere iraday ko bhanp chuka tha.

Lmbe lmbe dug bharta huay wo mere blkl samne aakar kharra hogya aur meri nzro ka ta'qub krte huay usne maiz pr dekha.

Allah!

" Jaan, tmne kuch khaya nahi? Ao betho chalo. Pehle mai tmhe khud apne hatho se khana khilata hu. "

Shukr Allah! Mjhe laga tha ke uss ne mera irada bhanp lya hay...

' nai wo mai.. Abhi nai.. M. Mjhe bhook nahi hay... Bus pani chahye tha .. Mai pani pee kr ati hu.. A.. Ap bethye. '

Muskura kr uss ne meri traf dekha aur pehle to sar hilaya phir mere qareeb akar mere gaalon ka bosa lya. Meri rooh tk kaanpne lagi thi. Uske munh se cigarette ki badbu mjhe karahiayt mehsus krwa rhi thi. Maine kese sabar kya hua tha ye Allah jaanta tha. Ek drd bhara pani ka ghoont maine piya , jo mere khushk halaq ko tar to krchuka tha magar mere androoni kefiaat ko sukun nahi de ska tha.

Darte huay, maine wo churi hath mai utha li.

" Jaldi ajao jaan ab mjhse aur brdasht nahi hota. "

DeewangiWhere stories live. Discover now