17

387 33 2
                                    

Maine Hooriya ko apne seene se laga kr sulane ki adat dal di thi. Aur wo do,teen dino mai hi mjhse manoos ho chuki thi. Lekin wo mjhe baba nahi bulati thi. Usse apne papa ki kami ab bhi mehsus hoti thi, aur mai ye smjhne se qasir tha ke koi insan kisi aese insan se kese mohabbat krskta hay jo apki mohabbat ke bdle apko srf haqarat aur nfrat deta ho, dard deta ho? Lekin ye baat mjhe Hooriya ne smjhayi thi, ke mohabbat aesi hi hoti hay. Ek trfa mohabbat ho ya do trfa mohabbat. Mohabbat mai insan apni manpsnd cheez ko apne ikhtyar se rkhta hay, uspe apna haq smjhta hay chunaa che jb wo cheez ki hifazat uske liye mushkil hojati hay ya usko smnbhalte huay uske hath kanpne lgte hain tw wo cheez zameen pr phisal kr gir jati hay aur chikna'choor hojati hay. Aesa islye hota hay kiuke unke nazdeeq ye hota hay ke hum apni mohabbat ko smnbhalne ki bharpoor koshish kr rhe hain, magar wo smnbhal nahi pati.

Uski peshaani ko choomne ke baad maine comforter uske upar daala aur uske sar pr pyar krke lights dheemi krke kmre se bahar agaya.

Teen dino se hi maa mjhse naraz thi, unko ye psnd nahi tha ke main ghershadi shuda zindagi guzarte huay aese kisi gher ki beti ki prwarish kru.

Aur mjhe na jane kiun iss bachi se ulfat hogyi thi, dil hi nai chahta tha ke mai usse khud se alag kru. Uski masoom mohabbat mjhe meri khoyi hui mohabbat ki yad dilati thi.

Ayesha...

Kaash maine pehle hi Ayesha ko apne dil ki baat keh di hoti...
Mama mjhse naraz theen, tw mere paas ek aur wjah thi cigarette peene ki, abhi maine dabba jaib se nikala hi tha ke piche se Hooriya ki awaz ayi,

' Baba. '

Main herat aur khushi ke milay julay jzbaat liye piche palta aur wo mere blkl piche kharri thi, uski ankhon mai motay motay ansoo thay.

" Kya hua gurya ko, ap ne koi bura khuwab dekha hay kya? "

Maine cigarette ka dabba dusre hath se waps jaib mai rkhdya. Aur uske samne jakar uski height tk jhuk gya.

' Wo.. wo papa meri maa ke baal ghaseet rhe thay unhe thappar maar rhe thay aur bol rhe thay ke wo unhe maar dalenge kiune wo unki mohabbat k beech mai ayi hain.. papa..  '

" Ssh beta. Ssh. Dekho aesa kuch bhi nahi hoga theek hay? Ap apne papa ka naam bata skti hen?  tw main apki maa ko bhi yahan le auga. "

Maine muskura kr uski ankho mai dekha, meri baat ka yaqeen dilane ke liye . Uske ansoo poche aur apne jawab ka muntazir tha.

' Farooq Ahmed '

" Tw.. Tw apki mama kon hain? "

Mera dil taiz dharak rha tha, mai jo smjh rha tha wo nahi smjhna chahta tha.

' Seema Ahmed. '

Oh.

DeewangiWhere stories live. Discover now