A/N: I know ke ap log sochrhe honge ye story tw end hone wali thi lekin still chal rhi hay? 😄 kuch 10-12 chapter pehle kahi thi shyd ye bat maine, lekin ab kuch changes ki hain story mai isiliye story continue hay. I hope ap still isse psnd krte honge. Drop a heart if you like DEEWANGI. ❤.
Hooriya:
' Aunty ap araam kijye mai krleti hu. '
Maine aunty ko kafi arsa pehle hi maaf krdya tha, jb mjhe pata chla tha ke unka 4thi baar miscarriage hua hay.
Wo ab nidhaal si, aur zindagi se qadre khafa khafa si rehti thin. Baba ka pyar unke liye kbhi kam nhi hua tha, blke baba ab unka aur zyada khyal rkhte thay.
Kpron ko terrace pr sukhane ke liye mai ne kpro ki tokri uthayi aur upr ki traf jaane lgi. Mosam bht haseen tha, thandi hawayen dil ko lubha rhi thee. Bri tag'o'do ke baad akhir hawaon se larte huay maine kore sukha dye thay. Magar is dauran , ek mamuli magr purzor jang chirr gyi thi jisko lrne wali mai akeli aur mere samne behisaab kpre! Jo urr urr kr mere munh pr arahe thay, goya ke wo mere munh pr tamancha maar rhe haun ke lrki se koi kaam dhang ka nahi hota!
" Gurya, beti dekho baba kya laaye hain. "
Baba ki awaz ne mjhe khushi se dochaar krdya aur mai jldi jldi seerhyan utar kr niche chli gyi , baba ki janib.
Baba aj bhi mjhse blkl wese hi muhabbat krte thay jese us din, us orphanage mai sehmi hui bchi se ki thi.
Maine unke hath mai ek envelope dekha , jispr kuch bhi nahi lkha hua tha. Koi suragh nhi tha jo zahir krta ke uske andr kya maujud hay, ye tw mjhe...
" Ao, isse khol kr dekho. "
Ye tw mjhe tbhi pata chlega jb main isse kholugi.
' Kya hay ismai baba? '
Unke hatho se envelope lete huay pehle maine use baghor jancha , phir ek dum se usse khol lya. Kuch papers niche gir gye aur kuch mere hath mai thamay rhe.
' Mohtarma Hooriya sahiba,
Assalam-o-Alaikum!Ye letter apko is baat se aagah krne ke liye bheja ja rha hay ke jis orphanage ko ap pichle kuch saalon se dubara bnane ki koshish mai theen wo ab mukammal hochuka hay. Apko iski opening pr 14 august ko madu kya jata hay. Isse behettar din kya hoga, ke bacche apni azaad zindagi khush'haali se jiyen!
~Khush'haal bacche orphanage. '
Letter prh kr meri ankho mi ansoo jhilmila rhe thay jo ke khushi ke thay, lekin ain waqt pr mjhe hnsi bhi arahi thi.
' Baba ye kesa naam hay? Apko... Lekin.. Ye sab ap ne mere liye kya? '
" Haan bhi aur nahi bhi. Kyuke mai uss waqt tw unn baccho ko bacha nahi ska tha lekin ab mere bus mai hay ke ke mai ab bacchon ko khush'haal azaadi de skta hu. Hmara orphanage ek saal mai taqreeban hazaron ki tadad mai bacche accept krega aur hr bacche ki zimedari zaati tor pr mai dekhuga. Team ke liye bht bareeki se maine selection ki hay. Aese bacche jo pedaish ke bad phenk ya chor dye jate hain , wo bacche jinke maa baap ghareeb hote hain ya phr wo jinke maa baap kisi haadse mai inteqal krjayen hum unki prwarish ka zimma lenge... "
' Lekin baba ye tw itna mushkil kaam hay... Ye kese... '
Meri baat ka jawab mjhe bilkul expected nahi tha ke aunty dengi.
" Beti... Mai... Mai... "
Unki ankho ke gird gehre halqe prre huay thay, apni umr se kaheen zyada lgrhi thin.
" Ayesha keh rhi hain ke wo hmare sath hongi. Hay na Ayesha? "
Baba ne aunty ki unkahi baat ko smjhte huay usse mukammal kya, mjhe aj bhi baba ke pyr pr rashk ata hay.
" Beti mjhe maf krdo... "
Ye phir ek aesa jumla tha jisse sunne ke liye mai blkl tyyar nahi thi. Mai tw inhe kbka maaf krchuki thi.
' Aunty ap maafi... '
" Plss mjhe maf krdo. Main tumse ye nahi keh skti ab ke mjhe maa keh kr pukaro, ye haq tw shyd mjhe kbhi milega hi nahi lekin mai... "
' Nahi... Mai... Ap aesa mat kahain. '
Aunty ab zameen pr besakhta ghutno ke bal beth gyi thee, unki ankho se ek selaab rawaan tha. Mjhe kuch smjh nahi araha tha mai kya kru.
" Maine Zoyaan se shadi sirf islye ki thi ke main apna badla poora krsku, kyuke mjhe lgta tha tmhare papa ke qatil ye hain. Lekin mjhe ye baat smjhne mai der hogyi ke insan apne bure aamal ka zimedar khud hota hay aur sath hi uske sath aane wale wabaal ka bhi. Jab se maine tmhari izzat ko taar taar kya hay , tum isse Khuda ka inteqam smjho ya meri qismat ke tab mera pehla miscarriage hua tha aur tab main bohat tooth gyi thi. Kyuke wo baccha zoyan ka nahi blke Farooq ka tha. "
Baba ab aunty ke paas unhe sahara dete huay, beth gye thay. Aur main herat se unki daastan sun rhi thi. Lekin... Maine tw kbhi aunty ko bad'dua nahi di?
" Shayad uss lamhe tmhare dil se thes bhari aah nikli hogi jo seedha arshe Ilahi tk pohchi thi. Jab dusri baar phir se miscarriage hua, aur ohir teesri baar aut phir chothi baar... tb main smjh gyi thi ke ye Khuda ka inteqam hay... "
Dard ka gehra zrd rang unke chehre pr jam gya tha. Ansuon se ankhen halkan lgrhi thee, magar thaki nahi thi. Magar aunty ko Khuda se shikwa tha jo ke ghalat tha.
' Nahi aunty. Khuda kbhi inteqam nahi leta. Khuda tw wo hay jo bohat Raheem hay, Wadood hay. Wo kese apne bande ke sath kuch ghalat krskta hay. Yaqeenan Allah ki maslihat rahi hogi. '
" Tum bohat achi ho Hooriya. Blkl seema jesi. "
Kya uss gali main kbhi tera jaana hua?
Jahan se zamanae ko guzre zamana hua?
Mera samay tw wahin pe hay thehra hua!
Bataun tmhe kya mere sath kya kya hua?
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020