" Sir yaqeen kijye hmara hm ne apki beti ko kisi ko supurd nahi kya! Usse kidnap kya gya hay! Ap chahen tw hum apne logon ko bhijwa kr pata krwa skte hain ke wo bachi kahan pr ho skti hay? Lekin hmen aik baat smjh nahi arahai ... Ke jab apko uss bachi mai koi dilchaspi hi nahi hay tw ap usse itni tarap se kiun dhoond rhe hain?? "Coordinator ne mjhe naye halat se waqif krne ke liye phone pr btaya tha ke Hooriya, orphanage se ghayab hogyi hay.
Mera dimagh khol utha tha! Agar seema hooriya ko le kr kisi bhi trah Ayesha tak pohanch gyi tw... Tw mera ghar bnne se pehle hi ujar jayega! Meri Ayesha mjhse chinn jayegi! Nahi, nahi ... Main aesa qatayi nahi hone duga! Kuch bhi krke main hooriya ko dhund luga aur phir usse kisi khansa maa ke hawale krke ajauga, aur mahinay ke mahinay unhe pese bhejta rhuga. Itna krna meri traf se Hooriya ki khatir apne baap hone ka farz poora krne ke mutradif hoga, haan yaqeenan.
" Sir ap kya soch rhe hain? Ap uss bachi ke.. "
' Shut up! Tum se jesa kaha hay wesa kro! Aik tw tmhari ghaflat ki wjah se wo bachi yahan se pata nahi kahan ghayab hogyi hay! Tum jante bhi ho iska matlb kya hay??? '
" Sorry sir! "
' Now get lost! Agar mjhe Hooriya do se teen din main nahi mili tw main ye poora orphanage jala kr rakh krduga! '
' Kon Hooriya? Ap kiski baat kr rhe hain? Aur orphanage ko aag laga den ge? Apko kya hogya hay?? '
Pata nahi Ayesha yahan kahan se agayi thi aur ab ye situation handle krna aur bhi mushkil lgrha tha.
" Ayesha tum yahan? "
' Haan main. Maine apko call pr baat krte huay sun liya tha. Uss din jab ap farmhouse se achanak chle gye thay, tb bhi mjhe shak hua tha. Kiuke jahan tk mjhe maloom hay, hmare batch se koi bhi apka dost nahi hay jo baap bnchuka ho. Tw phir wo kiski beti se milne gye thay ap? '
" Ayesha yahan se chalo hum ghar chal kr baat krte hain. "
' Pehle mjhe janna hay ke ye bachi kon hay, aur yahan pr Hooriya ko le kr itni sakht baat kiun chal rhi thi? '
" Wo madam , Hooriya iinki... "
' Shut up! I asked you to get lost! Tmhari himmat kese hui hum dono ke beech mai apni zaban larane ki! Do mahinay se milne wale funds se lgta hay tum logo ka pait nahi bhara! '
Phir maine Ayesha ka hath khench kr usse wahan se lejane ki zbrdsti ki, lekin phir wo hua jiski mjhe koi tawaqa nahi thi.
Ayesha ne mjh pr hath uthaya tha, wo bhi yahan pr sbke samne.
' Ayesha tum ne mjh pe hath uthaya? Mjh pe? '
" Haan. Jab shohar ap ke sath bewafayi krne pe utar aye tw biwi bhi baaghi bnne pr majboor krdi jati hay. "
Aur wo mjhe waheen hakka bakka chor kr chli gyi.
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020