49

177 4 0
                                    

Pls vote, comment & share this novel with your friends.
I am waiting for your comments!
Show some appreciation, It really took me a lot of effort to get back to writing. :)

Ahad:

Hooriya ko uske maike chorne ke sirf adhe ghnte baad hi mjhe ajeeb bechaini hone lagi thi,uski yaad satane lagi thi ... Goya wo mjhse kafi arse se bichri hui ho. Ajeeb baat thi , shayad mere jazbat aur ehsasaat deewangi ki hadh se paar hochuke thay. Mjhe usse itni mohabbat thi ke mai chahta tha wo har waqt har pal bus meri nazron ke samne rahe.

Maine bina ksi mazeed deri ke use call ki. Do teen ghntiyo ke baad hi us ne meri call receive krli thi, shayad wo bhi mjhe miss kr rhi thi.

' Assalam.o.Alaikum biwi sahiba, Good afternoon . Tm mjhe miss kr rhi thi tw call kyun nahi ki? '

" Walaikum Assalam, hubby sahab. Ap se ye kis ne kehdya ke main apko miss kr rhi thi? "

' Are Ap ne khud abhi aitraf kya hay ke ap mjhe miss kr rhi thi. '

" Jee nahi. Wo maine sawal kya tha, ap ko khushfhmi ki beemari hay "

Hnsi ko dabate huay maine phr use tang krne ke liye socha.

' Acha tw ye btao ghr kb arahi ho? '

" Main apne ghar pe hi hun. "

' Nahi , mera matlab tmhare ghar. Mere paas. Meri banho... '

" Chup! Mai apne ghar pe hi hun. Rahi baat Apki banho mai aane ki, tw flhal mjhe koi dilchaspi nahi. Mjhe apne baba ke paas rehna hay aj. Haan,Ap chaho tw mjhse milne asakte ho. Ghar jamai ka taana nahi dugi. "

' Acha jeeee! Tw ye baat hay, ab dekhna mai kya krta hun. '

Muskurate huay maine call kaat di aur foran tyyar hone lg gya kyuke mjhe Hooriya ko wapas lane jana tha. Hooriya apne baba ki laadli hone ke sath sath apne ghr ki ronaq bhi thi, kyuke wo ikloti thi aur Ayesha aunty ki koi aulad nahi thi unho ne usse maa jesa pyar dena chaha tha. Magar Hooriya ne aj tk unhe maa ke roop mai shayd tasleem nahi kya tha. Uski bhi wjah thi, wo apni marhoom maa se bohat mohabbat krti thi.

Kch hi der mai main apni mehbooba ke paas tha, wo kitchen mai mere liye chai bna rhi thi aur isse acha moqa nahi ho skta tha uske paas jane ka.

Khamoshi se dabe paun mai uske piche akar khara hogya aur uski kamar ke gird apne bazuon ko lapet'te huay uske gaalon ko chooma.

' Hi beautiful '

" Hey Ghar-jamai "

' Kya kaha?? Ghar-jamai! '

" Haan to , kon aese hi apne susral munh utha kr ajata hay. Zara bhi lihaz murawat nahi, biwi ka maika hay. Aese hi thori ajate hain. "

' Ohhh. Biwi ka maika hay tw biwi kiski hay? Meri! Tw mai apni biwi ke paas kaheen bhi kabhi bhi aa skta hu. '

Aur maine use dubara doosre gaal pr pyar kya, achanak piche se gala saaf krne ki awaz ne hmain ek dum bokhla dya.

" Hmmm kitchen romane wo bhi biwi ke maikay mai, Not bad Ahad. "

Ayesha aunty shrarti nzron se hmai dekh rhi theen aur Hooriya se zyada sharam mjhe arahi thi.

' Aunty wo.. Mai chai bna rhi thi Ahad pata nahi kb aye. '

Ayesha aunty zere lab hansi dbaye acha beta maine kb kch kaha tmse, keh kr chli gyin.

Phr qdre khafa aur ghusse se Hooriya meri traf dekhte huay boli,
' Ye apki wjah se hua hay. Ab aunty mere bare mai kya sochengi. '

" Kya sochengi. Kch bhi nahi. Wese aj tum bohat pyari lgrhi ho. "

Chulhe ki gas bnd krte huay chai ko cup mai bhra aur cups ko tray mai rkhte huay  aur dusri plate mai biscuits ko saja kr,phr wo usse lawn ki traf lejane lagi. Wahan pr Zoyaan Uncle aur Ayesha aunty bethe khushguftagu mai masroof thay. Apni beti ko dekhte hi unka chehra ekdum khushi se khil utht'ta.

" Agayi meri gurya. Kesi ho beti. Ao betho mere paas. Ahad tmhara khyal tw rkhta hay na? "

Mjhe ghoorte huay Zoyaan uncle ne Hooriya se pucha. Jispr wo muskura kr shrarat se mjhe dekhne lagi aur phir ,

' Baba zyada tw ni satate, pr ... '

" Pr kya beta, agar ye tmhe zara sa bhi... "

' Nhi Nhi baba, mai mazaq kr rhi thi. Thora bht satate hain. Jese mjhe call pe kehrhe thay ke mai apne ghr kyu nahi arahi,jispr maine kaha ke mai apne ghr pr hi hu, tw bole ke nahi mere paas tmhare ghar mai . '

Main ne Hooriya ko kha jane wali nazro se dekha jispr wo mjse nazren pherne lagi aur apne baba ko batane lagi ke kese mjhe Ghrjamai ka lafz bohat psnd hay.

" Tw Ghar-jamai beta, tum apni biwi ke paas chaho tw yahin ruk skte ho. Aj meri gurya mere sath hi rhegi. Hay na gurya? "

' Jee baba '

Honto pe hnsi ko chupate huay Hooriya ne mjhe bari masoomiat se chera tha.

DeewangiWhere stories live. Discover now