Ayesha:
Aj hum Hooriya ko treat dene ke liye bahar ja rhe thay,Zoyaan ke order ke mutabiq restaurant mai decorations customized bnayi gyi theen ... Har traf rang barangi gubare sajaye huay thay aur zameen pr bhi mukhtalif rango ke gubare phelay huay thay. Zoyaan ki khushi mai mjhe bhi khush hona hi tha, so mai bhi khoob muskura rhi thi aur Hooriya ko pzerai de rhi thi. Uski achi karkirdgi pr school ki traf se usse trophy di gyi thi aur ab wo school ki jaani maani behtreen students main shumar hone lagi thi. Issi khushi mai Zoyaan ne ek choti si celebration rkhi thi. Zoyaan ki walida ab mjhe qabool krchuki theen tw main bhi unke sath theek rawayye se hi pesh ati thi.
' Are beta Hooriya smnbhal ke , abhi tmhare sar pr lgjati tw main baba ko kya jawab deti? '
Hooriya khelte khelte bedehani se phisal kr kanch ke table ki traf giri thi, wo tw kher maine usse thaam lya aur girne se bacha lya... Aesa krna meri mjboori thi, uski dadi waheen pr maujood theen.
" Haan beta theek kaha tm ne, Zoyaan tw ispr apni jaan chirakta hay. Khuda nakhwasta kuch hojata tw? "
Wo khafgi se Hooriya ki traf dekhte huay bolin.
" Kya hojata tw ammi? "
Itne main zoyaan bhi aa chuke thay jo ke kuch special order ki hidaayat dene manager ke paas gye thay. Unke liye Hooriya bht special thi aur issi wjah se uske liye sab cheez wo special chahte thay.
' Wo ... Baba main slip hogyi thi. Sorry. Mera deehan hi nai tha ke saamne table hay, wo mai... '
Hooriya masoom si shakal bna kr apne baba se aa kar chimat gyi thi, isko bolna zroori tha! Hunh!
" Ayesha... Maine tm se kaha tha na iska khyal rkhna, isse kuch hojata tw? "
' Baba ap aunty ko mat daanten unka qasoor nahi tha wo tw dadi ko chair pr bitha rhi theen . '
Pehle mirchi lagati hay phr meetha bhi khud hi deti hay! Hunhh! Dil tw chah rha tha ke uska gala daba dun!! Manhoos kaheen ki!!
" Acha bete koi baat nahi, lekin ap ainda deehan rkhengi okay? Baba se promise kijye? "
' Okay baba promise. '
" Aur ap inhe ab tak aunty kehti hain? Mummy kb se bolengi hmm? Maine apko smjhaya tha na. "
Zoyaan phir se ghoom phir kr ussi mudde pr agaye thay ke wo manhoos mjhe maa keh kr kyu nahi pukarti, kayi dino se wo iss bat pr afsurda bhi thay... Maine smjhane ki koshish bhi ki ke zahir hay bachi hay apni maa ko aese asaani se bhool kr ksi ghair aurat ko maa ka darja kese degi lekin wo hm dono main * Maa Beti * ka rishta dekhna chahte thay.
' Babaaa! Dil ni manta naa bs islye. Jis din mera dil manega na main khud mummy bolugi. Bs khush? '
Aur wo muskura kr uske baalon pr hath pherne lage.
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020