53

541 4 3
                                    

~Epilogue

Ahad:

Few years later,

Aj meri mohabbat ko mjhse bichre 10 saal hochuke thay , main aj phir in 10 saalon ki trah ek bar phir uski qabar ke paas akar usse wahi alfaz wahi safai pesh kr rha tha jo uske mjhe chor jane se pehle maine dena chahi thi.

Mohabbat ghalti nahi hay Hooriya, Mohabbat tw Khuda ne khud apne bnaye huay logon ke dilon mai daali. Khuda ne tumpe ya mjhpe zulm nahi kya, balke us ne humpr rehm kya hay. Khuda kisi pr uski taqat se zyada bojh nahi dalta. Shayad tum mai wo sakt baqi nahi rhi thi ke tum zindagi ki talkhyan mazeed sehti... Shayad ye mere bus mai nhi tha ke mai tmhari hifazat krta, Khuda ne mere naseeb mai tmhari mohabbat jannat main lkhdi thi. Mai ne in dus saalon mai tumhare ilawa aur kisi se utni mohabbat nahi ki. In dus saalon mai Khuda ne mjhe apne qareeb kya hay. Tumse bicharne ke baad goya meri zindagi khatam hogyi thi. Magar phir Khuda ne meri zindagi mai ek aese insan ko bheja jis ne mjhe sahi ma'ino mai mohabbat krna seekhaya. Mjhe ye seekhaya ke Khuda ke siwa itni mohabbat ka hqdar koi insan kbhi nahi hoskta. Khuda apne bndo ke huqooq maaf nahi krta aur dusri traf shirk bhi brdasht nahi krta. Shayad main tmhe poojne lag gya tha, tmhari tasweer ka khaka bna kr apni ankho se tmhe choom kr tmhari ibadat krta tha. Shayad Khuda ko ye manzoor nahi hua.

Ek sard hawa ka jhonka meri shawl ko kandhe se utaarta hua uski qabr ki mitti pr lehrane laga.
Ye hawa meri deewangi ki aag ko kbka bujha chuki thi. Khuda ne mjhe mohabbat krna seekhaya tha.

•••••

Aj meri biwi ki delivery thi. Main usse pehle Hooriya ke paas ana chahta tha. Usse wahi alfaz dubara dohrana chahta tha, shayad wo mjhe maaf krde tw Khuda bhi mjhe maaf krdega.

Uske liye teen dafa surah ikhlas prh kr maine uske sukoon ka saman usse dya aur hospital ki traf jaane laga.

Hospital pohnchte hi apni biwi ke paas jaane pr mjhe maloom hua ke mjhe beti hui hay.

Apni beti ko apne bazuon mai bharte huay mjhe apni Hooriya ka masoom chehra yaad araha tha.

' Hum iska naam Hooriya rakhege '

Maine apni beti ki peshani pr pyar kya aur apne ap se ehed kya ke iss baar mai apni Hooriya ko deewangi se brbaad nahi kruga, apne pyar se uski hifazat kruga. Jab tak Khuda ne mere jism mai jaan rkhni hay, tab tak mai apni Hooriya se mohabbat rkhuga.

Aur Hooriya se maine aj ek aur waada kya tha, Jo dil hi dil mai main krchuka tha.

Itne saalon mai maine ek dafa bhi phr ksi ka khaka nahi bnaya tha aur na ainda bnauga.

Kyuke Ibadat ka haq sirf mere Khuda ka hay, Aur Al-Mussawir bhi wohi hay. Wohi hay jisne insano aur hewano ko,nabatat ko, gharz ke poori kainat ko apni qudrat se takhleeq kya. Wohi hmara Khaliq, Wohi hamara Malik hay.

DeewangiWhere stories live. Discover now