MATURE CONTENTRed light area,Lahore (Part-2)
Mere hath paseenay se tar horhe thay, jis mqsad ke liye maine wo churi uthai thi , wo mqsad mere zarre zarre pr kap'kapi taari kye huay tha. Kya esa krna sahi hoga?
Wo ajeeb nigahon se mjhe ghoor rha tha aur mai apne hath piche kye huay, uski traf chote chote qadam uthate huay ja rhi thi
Uss ne jaib se aik lighter nikala aur cigarette ko sulgane laga. Cigarette ka dhuan kmre mai ahista ahista ghul rha tha aur uski tez boo mere dimagh pr chrh rhi thi. Maine apna hath apne munh pr rkha aur uske samne akar ruk gyi.
Uss ne mjhe tafteeshi nigahon se dekha, apni maili ankhon se mjhe upr se niche tk tatola aur phir kch sochte huay cigarette ko hatho se masal kr side mai phenk dya.
" Tmhe iske dhuyen se takleef horhi hay na, lo maine ise phenk dya. Ab khush? Qareeb ajao mere. "
Uss ne meri kalai ko pkrte huay, ek jhatke se khench kr apni tango pr bitha dya. Uska ek haath meri kamar ko pkre huay tha, aur dusra hath uss ne mere gaal ko sehlane ke liye agay brhaya. Mjhe laga yahi behtreen moqa hoga, aur maine jese hi piche se waar krne ki koshish ki us ne mera hath maror kr ek jhatke se churi ko niche giraya aur mjhe zameen pr pathak dya.
" ***** , **** mjhe pata tha tum kuch na kuch zaroor karogi. Tmhari ankhon mai hi maine dekh lya tha kis trah tm mjhse khauf kha rhi thi. Aur darpok janwaron pr tu mjhe bohat pyar ata hay. "
Niche jhukte huay uss ne meri grdan ko piche se pkrte huay mere baal khenche aur thori ko dabate huay ghusse se dekhne laga.
' M.. mjhe chor do.. Pls.. Jane do... M. Maine .. Tmhara kya bigara hay... Mera kya qusoor hay... Maaf krdo... Mj. Mjhe .. Jan. Jane do. Jane do.oo '
" ****** tu kya smjhti hay apne ap ko? Tjhe maine bohat pese de kr khareeda hay. Suna tha naya maal aya hay, to maine socha ek chakkar laga kr dekhlu. Aur jb maine tmhe dekha tm mjhe tbhi ek khubsurat cheez maloom hui... To.. "
Drwaze pr achanak se zordaar dastak hui, uss ne mjhe dhakka de kr gira dya aur ghusse se paun pathkta hua drwaze ki janib brhne laga.
" Sahib wo. Maaf kijyega. Wo.. Wo.. "
Ek sannate daar awaaz kmre mai goonji aur maine ghbrate huay uthne ki koshish ki aur dekha ke wo admi zameen pr munh ke bal gira hua tha, ek dusra shakhs munh ko kisi romal se dhanpe huay tesh bhari nazr se use dekh rha tha aur wo aurat ghbrate hauy apne dupate ke konay se khel rhi thi.
Us ne ishara krte huay zameen pr giray admi ko kmre se bahar phenkwaya aur wo aurat bhi sehme huay wahan se chli gyi
" Darne ki zrurat nahi hay, main apko kuch nahi kruga. Ab ap yahan se azaad hain. Magar piche ke drwaze se jayyega. Main apko chor deta hu. "
Uss ne meri traf hath brhaya, magar phir kch soch kr apna hath piche krdya.
" Ap preshan mt haun. Mjhe apna muhafiz smjhye. "
' Lekin... Kyun ap.. Kon hain? '
Us ne mere sawal ko nazar'andaz kya aur hath se ishara krte huay kehne laga, ke yahn pr kisi bhi waqt masla hoskta hay is lye mjhe jald se jald ek mehfooz jagah pr pohchana chahta tha,
" Zyada waqt nahi hay hmare pas. Plz. Khuda ke liye, mere sath chalain. Khuda ki qasam main apko nuqsan nahi pohchauga. "
Maine sar ko asbat mai hilaya aur uske piche chalne lagi.
Kch hi der mai hum uss kothi ke hudood se paar aachuke thay, kuch log ajeeb o ghareeb nzron se mjhe dekh rhe thay. Maine apna dupatta mzbooti se jkra hua tha, aur apne gird lapeta hua tha.
Wo insan jo bhi tha mere liye farishta bnkr aya tha, lekin jb main usse shukrya ada krna chahti wo mjhe wapas se nazr'andaz krne lgjata jese us ne kuch suna hi nahi.
' Apka naam kya hay? Ap mere liye farishte hain. Main nahi janti apko meri madad ke liye kis ne bheja, magar ye yaqeen pukhta hay ke ap Khuda ke bheje huay farishte hain. Shu.. Shukrya. '
" Ab yahan se agay apko khud jaana hoga. Chand qadam chalne ke baad ek gaari apka intezar kr rhi hogi, jiski pehchan ke liye mai apko bata dun ke ek bara sa J bana hua hoga. Wo apko apke hostel tak chordega. Ap ne kuch khaya nahi hoga, ek bag mai kuch khane ka saman bhi hay... Mjh pr bharosa kren, main apka kher'khuwa hun. "
' Ap mere bare mai itna sb kese jante hain? '
' Sunye!!! '
Aur dekhte hi dekhte wo wahn se ja chuka tha, jo meri is dushwaar ghari mai mera maseeha tha... Us insan ka na hi mai naam jan saki thi, aur na hi chehra dekh payi thi.
Allah uska bhala kre.
A/N:
Votes main itni knjoosi kyun horhi hay bhaiee?? It's so disappointing ! :'/Anyways Deewangi almost 6K ko pohchne wali hay. Alhamdulillah ❤
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020