Pls vote and comment.
Writers ko appreciate krna seekhen.
A public service msg for silent readers. 😜Alhamdulillah.
Ya Allah Tera shukar!
Mjhe yaqeen nahi araha tha ke mjhe ye job miljayegi, main bohat khush tha. Wapsi pr jate huay maine socha ke aj Hooriya ko school se wapas ghar laane main khud jauga.
Usse pick krne ke baad main ne taaza phoolon ke gajre khareeday aur ek mithai ka dabba. Pehle ye mithai apni ammi ko khilauga aur phir ye gajre apni zoja mohtrma ke liye, jiske aane se meri zindagi khushyon se mehekne lagi thi. Haan albatta ye wo nahi thi jiski khuwahish maine apne Rabb se ki thi magar mere Rabb ne mjhe behtareen se nawaza tha chuna'ch mjhe Usse koi shikayat nahi thi. Main Allah ke fesle se mutmaieen aur khush tha.
" Maa, dekhye ap jis aurat ko kos rhi theen uski wjah se hi aj mjhe ye job milgyi hay. Wo achay shugun le kr ayi hay, aap usse kiun nahi accept kr rhin? "
Main janta tha ye behes cherna fazool hay magar shayd aj maa ka dil pghal jaye ye soch kr maine phir se apni baat duhrai.
' hmm. Yaani tmhare nazdeeq tmhari maa ki duayen rad hojati hen aur tmhari talaqshuda ek bachay wali biwi ke qadam itne naik hain ke... '
" Bs maa. Phir se wahi baat? Apko main kese smjhaun ke Seema ek achi aurat hen. Aur kya hua agar wo talaqshuda bachay wali hen tw? Kya hmare Nabi SALLALAHU ALAIHI WASSALAM ne aesi koi shadi nahi ki? Blke unho ne tw zyada tar aesi hi shadyan ki. "
' Mjhe Islam mat sikhao. Tm apni biwi ke paas jao. Maa ka khyal kese agaya tmhe? '
Quran main kaha gya tha ke waldain pr uff tk nahi krni chahye lekin kbhi kbhar ye mrhala ek azmaish lagta tha.
Main chup chaap uth kr wahan se agaya aur apne ghar ke andruni janib brhne laga jahan seema rehti thi. Jbse Seema is ghar main ayi theen Maa ne mjhse zbrdsti krke kirayedaaron ko khaali krwaya tha aur wo ghar ke dusre portion main rehti theen. Unka ye manna tha ke meri biwi manhoos hay... Aur unki is soch ko main nahi badal pa rha tha. Mjhe afsos tha is baat ka. Lekin ab wo meri biwi bhi thi. Main nahi chahta tha ke qayamat ke roz uske hawale se sawal kya jaun.
Hooriya aese time pr blkl khamosh hojaya krti thi. Islye uska mood behlane ko maine jaib se ek chocolate nikal kr uski traf brhayi.
" Chocolate khao gi gurya? "
Chocolate ka naam sunte hi uski ankhen chamakne lagin aur usne apni banhein meri banhon main daal din. Bacchay kitne masoom hote hain.
Ghar ka drwaza khulla dekh kr mera matha thanakne laga. Maine Seema ko awaaz di lekin koi jawab nahi aya.
Maine Hooriya ko jaldi se uske kamre main bheja aur kaha ke change krke niche ajaye.
Chocolate ki khushi mai shayad usse flhal apni maa ka khyal na aya ho magar...
Paun ke paas aata hua laal rang ka pani mjhe wehshat main daal gya tha, mere pairon ke paas Seema bejaan si haalat main ankhen khauf se phelaye huay khoon main lat prri theen. Aur mjhe aesa lagrha tha jese meri dunya ghoom rhi hay aur pairon talay zameen khisakne lagi hay.
Main nahi janta tha ke mere naseeb main iss bhali aurat ka dukh kam krna nahi lkha hua tha.
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020