" Kya main iss bachi ko le ja skta hun? "
' Haan bilkul, ab ap isse le ja skte hain. Lekin ho skta hay kuch dino main iske waalid khud akar yahan pr check kren. Islye jab wo aane lagen, tw hum apko inform krdege ap bachi ko yahan la kr chor dijyega. '
" Wo main smjh chuka hun, lekin mjhe ye manzoor nahi hoga ke meri maujudgi mai koi bhi is bachi ko nuqsan pohchaye. Ab ye meri beti hay. "
' Ap befikar rhen wo hmari presence mai aesa kuch nahi krskega. Wo sirf itna make sure krna chahte hoge ke ye bachi unki beghum tk na pohnch sake. '
Maine hooriya ko apne seene se lagaya aur uske mathay pr pyar kya. Wo mere sath ana nahi chahti thi, shayad darr rhi thi.
Lekin ab ye mera farz tha ke usko pyaar du, usko smjhaun ke jo guzar jata hay uske piche apna waqt aur apna dil nahi bhagate.
Mere paas apne gham se nijat pane ka yehu behtareen taareeqa tha.
" Lekin wo apni hi beghum se apni beti ko kyun door rkhe huay hain? Kya ye unki saggi beti nahi? "
Jaate jaate aik baar maine wahan ke coordinator se ek baar dryaft kya.
' Sorry isse zyada hum apko aur kuch nahi bata skte. '
Ghar pohnchte hi foran maine Zaibun nisa (masi) ko phone mila kr pucha ke kaheen amma tw ghar pr maujud nahi hain, kiuke iss waqt amma aksar Zaibun nisa ke sath walk pr jane ki aadi theen.
" Jee sahab, Madam jee ghar pr hi hain. Aj unki tabyat thori na saaz thi is wjah se unho ne mana kr dya. Kiun apko kuch chahye tha kya? "
' Nahi . Wo main. Kuch nahi. Tum aik kam kro, madam ko thori der ke liye piche wale lawn ki traf le jao. '
" Jee sahab jee. "
Main nahi chahta tha ke amma iss bachi ko le kr koi bakhera kharra krden, aur na hi main unko preshan krna chahta tha ke is bachi ki kafalat ka zimma ab maine uthaya hua tha.
" Uncle, Uncle? Ab main ap ke sath rhugi? Kya main kbhi bhi apni maa se aur papa se nahi mil skugi? "
Hooriya ne mjhe apni ankhon mai mayoosi aur umeed ki bujhti lau ke sath sawal kya.
' Umm. Haan beta ab ap yahin rhegi. Aur ap chahen tw apne papa se mil skti hain. Lekin apni maa se... '
" Uncle papa kiun mere sath aesa brtao krte hain? Kya main unki asli beti nahi hu? Ya wo mere asli papa nahi hain? Ap hain kya mere asli papa? Btayen na uncle... Btayen na "
Hooriya ke alfaz hathora bn kr mere kaano pr barse thay, main is masoom si bachi ko uske zehn mai chalne wale toofan se bahar khench kr lana chahta tha. Magar smjh nahi araha tha mjhe, ke ye hoga kese...
Aur maine ye fesla tw krlya tha, magar meri nayi job ki wjah se main apna zyada time isko nahi de pauga.
Kya amma ko btana theek rhega?
Kya wo mere jazbaat smjh payengi?
" Sahab jee, Sahab jee! Ap se koi milne ayi hain. Kehti hain wo apke paas se apni qeemti cheez lene wapas ayi hain! "
" Kon aya hay zoyan? Tmne kiski qeemti cheez apne paas rkhi hay? "
Amma bhi Zaibun ke sath piche piche agayi theen, maine Hooriya ko foran apne piche chupa dya.
" Tum mjhse kya chupa rhe ho beta? "
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020