•••Ramadan Mubarak!•••
~Last Chapter
Pls Leave your comments below to tell me how was this novel?Ahad:
Hooriya ki sansain to goya us darinde ne apne qabze mai kr li theen. Wo meri ankho ke samne meri biwi se na'jayiz taluq qayim krna chah rha tha, aur mai intehai lachaar tha.
Jitni dafa mai agay brhna chahta mere bazu pr blade se cut laga dya jata. Mjhe khud se zyada apni biwi ki prwah thi. Wo mera ghuroor thi, mere dil ka sukoon aur mera qarar... Main kese apni jaan ko takleef pohnchte dekhta?
Ab ki bar jb maine muzahimat ki aur blade meri hath ki traf brhaya gya maine use jhatke se cheen lya jiski wjah se mere angoothay pr gehra cut lag gya, foran maine rassiyo ko kholna shuru kya aur sath hi us admi ke hath pr blade se hamla kya.
Wo chote se cut ke zakhm se bilbila utha kiunke wo cut maine uske chehre pr lagaya tha. Ab mai us ki traf barh rha tha jo meri biwi ko apne hisaar aur napak iradon mai ghere huay tha.
" Tm ne meri mohabbat ki traf ankh utha kr jo gunah kya hay uska kaffara tmhe Khuda ko dene se pehle mjhe dena hoga! "
Ye keh kr maine blade usse balon se jakarte huay apni traf khenchte , uski ankho ke upar lagaya. Takleef ki shiddat se wo cheekh utha.
' Aaahhh! How dare you! Main tmhe zinda nahi chorunga Ahad! Hooriya sirf meri hay, sirf meri! '
Uss ne Hooriya ko baalon se jakarte huay apni aur khenchna chaha, magar maine usse aesa krne se rok dya. Ek aur cut uske dayain hath pe laga jisse wo meri biwi ko pkre huay tha.
" Tm ne aj meri mohabbat ko lalkaara hay. Junoon mai zakhmi shair jb dhaarta hay uski dehshat bohat khaufnak hoti hay. "
Aur dusra cut uske bayain hath pr lagaya, uska khoon behne laga tha aur meri ankho mai khoon utra hua tha.
Jese hi main uski gardan pr blade chalane laga tha usne apne pusht se pistol nikal kr bina ksi tanbeeh ya der ke nishane pr taan lya, aur uska ishara meri traf nahi Hooriya ki traf tha. Ab Wo Hooriya ko apni banho mai le kr usse kehne laga,
' Agar meri mohabbat meri nahi hoskti, tw ksi aur ki bhi nahi hogi. I love you madly Hooriya! Maine tmse door rehne ki bohat koshish ki magar mere junoon ne aesa hone na dya. Main tmse pagalo ki trah ishq krta hun. '
Isse pehle ke mai kch smjhta ya krta us ne goli chala di aur dusri goli us ne apne mathay pr nishana krke maari. Mere samne ek traf bejaan si halat mai meri mohabbat, meri deewangi gher ki banho mai dum torr rhi thi tw dusri traf wo uska ashiq apni sansain qurban krchuka tha.
Kya Khuda ne meri mohabbat ko qabooliyat ka maqam nahi dya tha, ke Hooriya ne usse thukra kr yun bedardi se mera sath chor dya?
Ya phir Khuda ko meri deewangi pasand nahi thi aur mjhe seekhane ke liye ke itna gehra ishq sirf Khuda se krna chahye, Us ne meri Hooriya ko mjhse cheen lya?
Hooriya ki jaan uske jism ko chorna chah rhi thi, maine uska sar apni gaud mai rkh lya tha uske seene se niklte khoon ko rokne ke liye maine apnay hath ko uspr dabaya hua tha. Wo ahistagi se ankhen khol rhi thi, uski ankhon mai ansuon se zyada dard ter rha tha. Ek shikayat ubhar rhi thi, ke shayad meri deewangi uski mohabbat ko paane ke laiq nhi thi.
' Maine... Maine bhi tumse deewangi ki hadh se paar mohabbat ki hay . Bus tmhari trah kabhi jata .. Jatane ka... Moqa nahi milska... Shayad deewangi ka anjam Khuda ne... Yahi.. Tay kya hua hay... Ke.. Jis cheez ko bhi hum Khuda se ... Zyada chahne lag jate hain... Wo humse... Cheen li jati hay... Ahad, meri maa ke sath bhi yahi hua tha aur aj mere sath bhi yahi hua. Farq ye tha ke Farooq ne kbhi meri maa ke sath dil lagaya hi nahi tha, us ne sirf dil'lagi ka dhong kya tha. Aesi dil'lagi jis ne meri maa ko mjhse cheen lya. ... '
" H.. Hooriya tm meri mohabbat, mera eeman, meri jaan, meri zindagi ho. Tm hosh mai mera junoon ho, aur shaoor mai mera deewanapan. Nahi tmhare sath wo nahi hua jo tmhari maa ke sath hua. Main tmhe... "
' Khuda Hafiz Ahad... Ho sake tw baba ko... Kehna. Ke Unki beti Allah ke paas ja kr jannat mai bhi unki sarparasti chahegi. Tum mere baad ek nayi zindagi shuru krna, aur ainda Khuda se zyada mohabbat ksi insan se mat krna. Meri maa ne bhi yahi kya tha, aur hum dono ne bhi yehi kya. Shayad... Shayad yehi anjam taqdeer mai lkha ja chuka tha. Khuda nahi chahta ke Uska banda deewangi ke nashe mai Uski mohabbat ke siwa kisi aur ki mohabbat mai jhoome. Shayad ... Ahad... Shayad hum ne yehi ghalti ki thi... '
" Mohabbat ghalti nahi hay Hooriya, Mohabbat tw... "
Aur us ne meri baat poori sunne se pehle hi ankhain moond li theen.
YOU ARE READING
Deewangi
SpiritualPyar main deewangi nahi,deewana hona chahye. Aur agar pyar deewangi banjaye tw wo pyar, junoon bnjata hay aur junoon sirf brbaad krdeta hay. Started 21 Feb 2018 Ended 28 April 2020