Agle din KARISHMA jaldi uth gyi aur nahakar kitchen me aa gyi. Usne sabke liye chai banayi aur Noor ji aaloo ke parathe banaye. Breakfast karte time HASEENA ke dad ne usse office aane ke liye kaha.
HASEENA ne thodi der baad aane ko kaha aur police station ke liye nikal gyi.
HASEENA: Hello Sir, Baki goons ka kuchh pta chala.
NSPECTOR: Abhi voh iss state me nhi hai. Hum koshish kar rahe hai. Tab tak tum apna aur KARISHMA ka khayal rakho.
HASEENA: Okay sir aur case ka kya progress hai.
INSPECTOR: VIRAJ ko central jail bhej diya hai. 1 week baad court date hai.
HASEENA: Aur kuchh sir.
INSPECTOR: Humne pta kiya hai uske parents ka isme koi hath nhi hai. Unhe toh pta bhi nhi tha ki unka beta yeh sab karne wala tha.
HASEENA: Okay sir. Uske parents ko jyada pareshaan na kare. Shayad unhe sach me pta na ho.
HASEENA: Thank you sir.Shaam ho gyi thi. HASEENA ne office ka sara kaam pura kar liya tha. Usne apni ammi ko call kiya-
HASEENA: Hello ammi.
Noor Ji: Haa bolo beta.
HASEENA: Ammi main office se nikal rahi thi. Ghar ka kuchh saman chahiye toh bta dijiye.
Noor Ji: Nahi beta abhi kuchh nhi chahiye.
HASEENA: Okay ammi. KARISHMA theek hai na.
Noor Ji: Haa beta. KARISHMA kitchen me hai aaloo matar ki sabji bana rahi hai.
HASEENA: Okay ammi.Thodi der baad HASEENA aur uske dad ghar aa gye. KARISHMA ne dono ke liye chai banayi. HASEENA ke dad ne 'Chai acchi hai' kaha toh KARISHMA smile karne lagi. HASEENA ne apne hath se wow ka sign kiya KARISHMA ko.
Vahi SANTOSH abhi tak yeh nhi samajh payi thi ki KARISHMA ke haath ki chai peekar HASEENA itna smile kyu karne lagti hai. Thodi der baad sabne dinner kiya. Noor Ji aur KARISHMA ne kitchen sameta aur sab apne rooms me chale gye.
HASEENA padhai kar rahi thi. Use kuchh topics samajh nhi aa rahe the par vih raat me KARISHMA ke paas nhi jana chah rahi thi. Tabhi use ek idea aaya. Voh SANTOSH ke room me gyi jo phone use kar rahi thi.
HASEENA: Kya kar rahi hai phone me?
SANTOSH: Kuchh khaas nhi bro.
HASEENA: Chal books utha aur KARISHMA ke room me chal.
SANTOSH: Kyu bhabhi....KARISHMA ji ke room me kyu?
HASEENA: Mujhe KARISHMA ke sath kuchh topics discuss karne hai. Tu bhi chal hamare sath padh lena.
SANTOSH: Theek hai par books nhi le jaungi.
HASEENA: Khali nhi baithna hai padhna hai. Chal book utha.SANTOSH jo abhi tak phone me games khel rahi thi ab use majboori me padhna padega. Yhi sochkar voh muh phulakar KARISHMA ke room me pahunchi.
KARISHMA: Are tum dono yahan iss time.
SANTOSH: Haa voh bro ko nind nhi aa rahi thi.
KARISHMA: Kya??
HASEENA: Voh mujhe aur santu ko kuchh topics discuss karne the. Hai na santu?
SANTOSH: [in mind - Jabardasti pakad kar laaye hai aur jhoot bhi bulwa rahe hai Huh😤] Ha ha bro sahi bol rahe hai.Uske baad HASEENA aur KARISHMA apna topic discuss karne lage. Thodi der baad HASEENA kitchen me gyi. KARISHMA SANTOSH ko uske topics samjhane lagi toh usne dekha ki SANTOSH ko nind aa rahi thi.
KARISHMA: Santu neend aa rahi hai toh so jaao. Topic subah samajh lena.
SANTOSH: Bro sone de tab na.
KARISHMA: Kya??
SANTOSH: Aa...Voh mujhe raat me padhna acha lagta hai.Tabhi HASEENA 3 cup coffee lekar aayi aur sabko di.
SANTOSH: Kya baat hai bro coffee pila rahe ho. Aaj tak toh kabhi nhi pilayi.
HASEENA: Tu jo Kumbhkaran ban rahi hai. Isliye banani padi.
SANTOSH: Aapne mujhe Kumbhkaran kaha😡. Kahan se Kumbhkaran lagti hu main?
HASEENA: Apni harkaton se.Unka jhagda dekhkar KARISHMA muskurane lagi. Uske baad sabne coffee khatam ki aur topics discuss karne lage. Kuchh 1-2 hours baad HASEENA aur SANTOSH apne room me jaakar so gye. KARISHMA bhi light band karke so gyi.
Bye Friends 👋
आप पढ़ रहे हैं
Dosti🤝 Ka Saaya - Pyaar❤❤
RomanceAn unusual love story of three friends. Just start reading!!