Hii friends. Chaliye aaj ka part shuru karte hai.
HASEENA aur CHEETAH thane ke liye nikal gye the. Ashraf Ji aur Noor Ji ghar chale gye the. Ghar aakar Noor Ji breakfast banane lagi. Dadi ke puchhne par Ashraf Ji ne sari baat dadi ko batayi. Breakfast banate samay bhi Noor Ji bas HASEENA ke bare me soch rahi thi. Tabhi Ashraf Ji kitchen me aate hai.
Ashraf Ji: Noor main janta hu tum HASEENA ke bare me soch rahi ho.
Noor Ji: Kya matlab hai aapka??
Ashraf Ji: Yhi ki tum dukhi ho ki HASEENA ko KARISHMA se pyaar ho gya hai.
Noor Ji: Aur kya karu main?? Aap hi btaiye.
Ashraf Ji: Kya kehna chahti ho tum??
Noor Ji: 6 mahine baad agar KARISHMA chali gyi toh mere bachhe ko kitna dard hoga. Usse nhi saha jaayega sab.
Ashraf Ji: Aage ka toh mujhe nhi pta par KARISHMA ko humne apni beti mana hai. Hume use bachana hoga.
Noor Ji: KARISHMA mere liye bhi meri beti hai isliye uske hume chhod ke jane se dar sa lagta hai.
Ashraf Ji: Dekho aage jo bhi hoga voh dekha jaayega. Abhi bas KARISHMA ko bachana jaroori hai.
Noor Ji: Ji. Chaliye bachho ke liye breakfast lekar chalte hai.
Ashraf Ji: Pehle kapde change kar lo phir chalte hai.
Noor Ji: Theek hai. Main change karke aati hu.Idhar HASEENA thane me pahunchte hai toh bas ek constable hota hai jo so raha tha. HASEENA ne andar jaakar dekha ki KARISHMA jameen par baithe baithe hi so gyi thi. Uske chehre par chot ke nishaan the jo kal hui uss ghatna me use mile the. HASEENA ne uske paas jaakr dekha toh KARISHMA ke chehre par sirf dard tha. Jaise hi HASEENA ne KARISHMA ke gaalon ko chhua KARISHMA ki aankh khul gyi. KARISHMA ne dekha ki HASEENA uske samne baithe the.
KARISHMA: HASEENA tum..... tum theek toh ho na??
HASEENA: Main bilkul theek hu KARISHMA.
HASEENA ka itna kehna tha ki KARISHMA ki aankhon se aansoo behne lage.
KARISHMA: Main......main....... bahut dar.......dar gyi thi.
HASEENA: Daro mat KARISHMA main tumhare sath hu.
CHEETAH: Main bhi. Aaj ke aaj hi main aapko yahan se nikal lunga. Bharosa rakhiye.
HASEENA: Haa KARISHMA bhagwan par bharosa rakho.
KARISHMA: Mujhe apne bhagwan se jyada tumpe bharosa hai HASEENA.Itne me hi voh constable jag gya aur unhe bahar bhejne laga. Tabhi Inspector Aman unhe vahan aata hua dikhai diya. Inspector Aman vahi tha jisne VIRAJ ko arrest kiya tha. VIRAJ ke case ki wajah se HASEENA aur Inspector Aman ek dusre ko jante the. Tabhi Ashraf Ji Noor Ji aur dadi bhi thane aa gye. Sabhi KARISHMA se milne lage aur use tasalli dene lage. Tabhi CHEETAH unhe btakar uss jagah par chala gya jahan yeh sab hua tha.
HASEENA jaldi se uthakar Inspector Aman ke paas chale gye.
I Aman: Are HASEENA tumhe yeh chot kaise lagi?? Sab kuchh theek toh hai na??
HASEENA: Meri chhodiye Inspector. KARISHMA jail me hai.
I Aman: Kyaa?? Par kaise?? Mujhe sab kuchh shuru se batao.Tabhi Ashraf Ji aur Noor Ji unke paas aaye. Noor Ji ne KARISHMA ko lunch karane ke liye Inspector se puchha. Inspector ne constable ko gate khone aur Noor Ji aur dadi ko andar jane dene ko keh diya. Ab Noor Ji ne KARISHMA ko bade pyaar se breakfast khilaya. KARISHMA ko breakfast karwane ke baad Ashraf Ji Noor Ji aur dadi ghar chale gye kyuki thane me jyada log nhi ruk sakte the. HASEENA ne raat ki sari baat Inspector ko batayi.
HASEENA: Inspector sahab plz kuchh kijiye. Hamari bachhi pehen hi bahut takleef me hai.
I Aman: Dekhiye sir main aapki baat samajh raha hu aur aapki help bhi karna chahta hu par....
HASEENA: Par kya Inspector??
I Aman: Main aapki help nhi kar sakta kyuki KARISHMA ne khud kubool kiya hai ki murder usne hi kiya hai.
HASEENA: Par sir KARISHMA uss samay sadme me thi isliye usne aisa kaha.
I Aman: Agar KARISHMA ne confess nhi kiya hota toh main use isi second chhod deta par main majboor hu.HASEENA: Koi toh rasta hoga sit??
I Aman: Agar yeh prove ho jaaye ki KARISHMA ne murder nhi kiya hai. Tabhi kuchh kiya jaa sakta hai.
HASEENA: Par sir hum yeh kaise prove karenge??
CHEETAH(pichhe se): Main KARISHMA Ji ko innocent prove karunga.
HASEENA: Kaise CHEETAH??
CHEETAH: Cctv photage aur iss gun se.
I Aman: Yeh kya hai??
CHEETAH: Yeh vahi gun hai jisse KARISHMA Ji ne uss goon pe goli cahalyi thi. Yeh kuchh dur pe ek khali ghar pe lage Cctv camera ki photage.
HASEENA: Isse kya hoga CHEETAH??CHEETAH: Jab main crime spot pe pahuncha tab maine aas paas koi Cctv camera dhunda. Tabhi mujhe kuchh dur ek ghar dikha jo band tha. Achi baat yeh thi vahan laga yeh camera road ki video capture kar raha tha. Maine ek dost ko call kiya jo cyber hub me kaam karta hai. Uski madad se yeh Cctv photage mil gyi.
Isme dekhkar pta chala ki goli chalane ke baad gun inke hath se chhut gyi thi. Gun road ke kinare bane hue ek khet me gir gyi thi. Thoda dhundne par yeh gun mil gyi. Ispe KARISHMA Ji ke fingers ke prints hai. Isse saabit hoga ki yeh vahi gun hai jisse goli chalaya gyi thi.
Ab sabse jaroori baat iss gun me jo bullets hai voh rubber ki hai. Rubber ki bullets se kisi bhi insaan ki death nhi ho sakti. Isse prove hota hai ki jo goli KARISHMA Ji ne chalayi usse kisi ki death nhi hui aur KARISHMA Ji innocent hai.HASEENA: Yeh toh bahut achhi baat hai par phir bhi ek sawal baki hai.
I Aman: Main bhi vahi soch raha hu.
CHEETAH: Hmm ek sawal ab bhi hai. Jo goli uss goon ko lagi voh kisne chalayi aur kyu?? Khair voh pta lagana police ka kaam hai mera nhi.
I Aman: Yeh sab main dekh lunga. Tum ab KARISHMA ko le jaa sakte ho.
HASEENA: Sach me??
I Aman: Haa par tum apni wife se pareshaan aur use ghar nhi le jana chahte toh.....
HASEENA: Nhi sir aisi koi baat nhi hai.Inspector ne ek constable se KARISHMA ko bahar nikalne ko kaha. Jail se bahar aate hi KARISHMA jaldi se HASEENA ke gale lag gyi.
HASEENA: Shant ho jaao KARISHMA. Sab theek ho gya.
KARISHMA: Main innocent hu HASEENA. Main kaatil nhi hu.
HASEENA: Haa KARISHMA tum kaatil nhi ho.
KARISHMA: Hmm
CHEETAH: Thank you sir. HASEENA: Chalo ghar chalte hai.
Iske baad teeno ghar pahunch jate hai.Ghar pahunchkar kya hoga. Yeh Agle part me pta chalega. Bye friends.
आप पढ़ रहे हैं
Dosti🤝 Ka Saaya - Pyaar❤❤
RomanceAn unusual love story of three friends. Just start reading!!