CHAPTER 😌

252 93 121
                                    

Hii friends. I know ki main 2 bje tak update dene wali thi aur diya bhi tha but kuchh problem ki wajah se part open nhi ho raha tha. Maine dobara upload karne ki bhi koshish ki but network problem ho rahi thi. Iske liye Sorry friends.

Ek aur baat friends hamari iss story par 2K votes complete ho chuke hain aur followers bhi 50 jo chuke hain. Thank you so very much friends for your love. Iske liye ek long part aap sabhi ke naam.

Ghar pahunch kar HASEENA aur KARISHMA bahut khush the. Unhone sabko apne tour ke bare me bataya aur raat ko dinner karke so gye. Agle din se college ki chhutti shuru ho rahi thi. HASEENA ki family apne gaon jaa rahi thi.

[Ofcourse yrr Junglee me jo kuchh hua voh nhi bataya.]

Agle din KARISHMA uthi aur nahakar kitchen me chai banane lagi. Chai banakar usne sabko chai di. HASEENA abhi bhi so rahe the isliye KARISHMA apni aur HASEENA ki chai kamre me hi le gyi. KARISHMA ne chai side table pe rakhi aur HASEENA ko awaj lagayi. Do baar awaj dene ke baad bhi HASEENA nhi uthi.

KARISHMA HASEENA ke upar se chadar hatane ke liye aage badhi par ulta uska pair table me fas gya. Pair fasne ki wajah se KARISHMA sidhe HASEENA ke upar gir gyi. Jab KARISHMA HASEENA ke upar giri tab uske hoth HASEENA ke gaalon ko chhu gye.

Jaise hi HASEENA ko apne upar kuchh girne ka ehsaas hua tabhi uski aankh khul gyi. KARISHMA jaldi se HASEENA ke upar se uth gyi aur chai ki taraf ishara kiya.
KARISHMA: HASEENA chai.
HASEENA: Hmm.
KARISHMA: Dadi ne sabko packing karne ko bola hai. Kal gaon jana hai.
HASEENA: Okay.

Itna kehkar HASEENA bathroom ki taraf jane lage ki KARISHMA ne use rok liya.
HASEENA: Kya hua??
KARISHMA: Tumhare gaal par...
HASEENA: Kya??
KARISHMA: Lipstick lagi hui hai. Jab main giri toh galti se.....
HASEENA: Sab tumhare kaam hai. Aajkal kuchh jyada hi meharbaan ho rahi ho mujhpar.

Itna kehkar HASEENA muskurate hue chale gye aur KARISHMA sharma kar reh gyi. Kuchh der baad HASEENA aur Ashraf Ji office chale gye. Din me sabne apni packing kar li. KARISHMA ne HASEENA ki bhi packing kar di. Aise hi pura din beet gya. Shaam ko sab sath me dinner kar rahe the.
Ashraf Ji: HASEENA kal hume ek aur car ki jarurat hogi.
HASEENA: Aap tension mat lijiye abbu. Maine already ek car book kar di hai.

Kuchh der baat karne ke baad sab sone chale gye. Agle din sab sokar uthe aur apne kaam niptane lage. Sabne breakfast kiya aur apna saman cars me rakh liya. Book ki hui car me pehle se hi driver tha. Uss car me Ashraf Ji Noor Ji aur dadi baith gye.

Dusri car jo unki apni car thi use HASEENA drive kar rahe the. Unka saman bhi HASEENA wali car me tha. Aaj KARISHMA ne HASEENA ka gift kiya hua suit pehna tha aur earrings bhi HASEENA ke gift wale hi the. SANTOSH aur KARISHMA pichhe baithne wale the tabhi
HASEENA: O Hello, Driver nhi hu main. Tum me se koi ek aage aakar baitho.
SANTOSH: KARISHMA ji aap aage baith jao. Main toh pichhe so jaungi.
KARISHMA: Ok.

KARISHMA aage wali seat par baith gyi. KARISHMA ne seatbelt lagane ki koshish ki par laga nhi payi. Yeh dekhkar HASEENA thoda sa kareeb jaakar KARISHMA ki seatbelt laga di. Unn dono ko yun kareeb dekhkar SANTOSH ne jaldi se unke iss pal ko phone me capture kar liya.

Iske baad HASEENA ne gadi start kar di aur safar shuru ho gya. SANTOSH apne phone me busy thi aur KARISHMA bhi bahar ke nazare dekh rahi thi. HASEENA thoda bore ho rahi thi toh usne FM shuru kar diya. Tab FM par gana chal raha tha
Tere chehre se nazar nhi hat ti
Nazaare hum kya dekhen
Tujhe milke bhi pyaas nhi ghat ti
Nazaare hum kya dekhen......

KARISHMA bahar ki taraf dekhkar mausam ka maza le rahi thi par uski clip baar baar use chubh rahi thi. Isliye usne clip nikalkar baal khule chhod diye aur bahar ki taraf dekhne lagi. Bahar se aati hui hawa ki wajah se KARISHMA ke baal udd rahe the. Tabhi FM par gana change hua
Ho, chehra hai ya chand khila hai
Zulf ghaneri shaam hai kya
Sagar jaisi aankhon vaali
Ye to bta tera naam hai kya
Tu kya jaane teri khaatir
Kitna hai betaab ye dil
Tu kya jane dekh raha hai
Kaise kaise khwaab ye dil
Dil kehta hai tu hai yahaan to
Jaata lamha tham jaaye
Waqt ka dariya behte behte
Is manzar mein jam jaaye
Tune deewana dil ko banaya
Is dil par ilzaam hai kya
Sagar jaisi aankhon vaali
Ye to bta tera naam hai kya...

Raste bhar KARISHMA chup chap hi thi. KARISHMA ke dimag me baar baar jungle me unke beech jo kuchh hua vahi chal raha tha. Tabhi FM par gana change hua
Khamoshiyan aawaaz hain
Tum sun'ne to aao kabhi
Chhukar tumhe khill jaayengi
Ghar inko bulaao kabhi
Beqarar hain baat karne ko Kehne do inko zaraa
Khamoshiyan........
Teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.........
Lipti hui khamoshiyan

Kuchh der aur KARISHMA aise hi bahar dekhti rahi. Tabhi HASEENA ke phone pe DIVYA ka phone aaya. HASEENA bluetooth pe hi DIVYA se baat karne lage. HASEENA ke baat karne ke tarike se hi KARISHMA samajh gyi ki DIVYA ka phone hai. Tabhi HASEENA ko DIVYA ki kisi baat par hasi aa gyi toh KARISHMA ko gussa aane laga.

KARISHMA ne gusse me FM ki awaj tej kar di taki HASEENA DIVYA se baat na kar paye. HASEENA ne baat karte hue hi awaj kam kar di. Tabhi KARISHMA ne bhi dobara awaj badha di.
HASEENA: KARISHMA awaj thodi kam kar lo. Main jara call par hu.
KARISHMA: Mujhe yeh gana tej awaj me sunna hai. Tum baad me baat karna.

Idhar KARISHMA ki baat sunkar DIVYA ko hasi aa rahi thi. DIVYA HASEENA aur KARISHMA ko disturb nhi karna chahti thi isliye usne baat khatam karte hue call cut kar di. Iske baad HASEENA road par dhyan dekar driving karne lage.

SANTOSH gana sunte sunte pichhe wali seat par hi so gyi thi. Kuchh der baad KARISHMA ko bhi nind aa gyi. KARISHMA ke sone ke baad HASEENA ne gadi side me roki. HASEENA ne KARISHMA ki seat adjust kar di taki KARISHMA aaram se so sake. Uske baad HASEENA ne dobara gadi chalan shuru kar diya.

Ab unhe safar karte hue 4-5 ghante ho gye the. Kuchh der baad Ashraf Ji ne driver se car ek dhabe par rokne ko kaha. Unhe rukte hue dekhkar HASEENA ne bhi car dhabe par rok di. Gadi rukte hi SANTOSH aur KARISHMA ki nind khul gyi.
KARISHMA: Pahunch gye kya??
HASEENA: Nhi abhi nhi.
SANTOSH: Are samne dhaba hai. Hum sab lunch karne ruke hai.
HASEENA: Ha chalo lunch kar lete hai.

Iske baad sabne lunch kiya. Lunch karne ke baad sab vapas gadi me baith gye aur gaon ki taraf chal pade. Dheere dheere nazare badalne lage the. Road ke aas paas ab khet talab aur ped paudhe dikhne lage the. Karib 2 ghante baad sab HASEENA ke pushteni ghar pahunch gye. Sab car se bahar aaye aur dadi ne bahar ka gate khatkhataya.

Kuchh der me andar se ek naukar ne darwaja khola. Dadi ko dekhte hi usne dadi ke pair chhue aur sabka saman andar le gya. Sab gahr ke andar ja hi rahe the ki dadi ne HASEENA aur KARISHMA ko gate par hi rok diya. Tabhi ek lady andar se aarti ki thali lekar aayi. Uss lady ne HASEENA aur KARISHMA ki aarti utari aur uske baad dono andar aa gye.

Kuchh der baad voh lady sabke liye chai nashta le aayi. Sab hall me baithkar chai peene lage.
Lady: Ka HASEENA beta chup chap shadi kar liye. Bataye bhi nhi.
HASEENA: Bas kaki sab kuchh jaldi jaldi me ho gya.
Kaki: Koi baat nhi. Vaise bahuriya badi sundar laaye ho. Jodh janch rahi hai dono ki.
Dadi: Jamuna raat ka khana bana lo. Aaj sab thake hue hai. Isliye sab jaldi so jaayenge.

Aaj dadi ne KARISHMA ko kitchen me jane se mana kar diya. Aaj khana Noor ji aur jamuna kaki ne banaya. Tab tak SANTOSH ne KARISHMA ko pura ghar dikha diya. Sath hi ghar ke members ke bare me bataya. Gaon me dadi ke sath KISHAN Kaka aur JAMUNA kaki rehte the.

Kuchh der baad sabne khana khaya aur sabhi apne rooms me sone chale gye. Kamre me jaakar HASEENA ne dekha ki unke kamre me sirf ek bed ek table aur do chairs thi. KARISHMA kuchh soch hi rahi thi.
HASEENA: Tum bed pe so jao. Main chair pe adjust kar lunge.
KARISHMA: Tum chup raho. Hamesha dusro ke bare me sochte rehte ho.
HASEENA: Toh kaise soyenge??
KARISHMA: Yeh double bed hai. Isliye ek side tum so jaao. Ek side main so jaungi.
HASEENA: Theek hai.

Iske baad HASEENA ne bed ke beech me takiye ki ek deewar bana di. HASEENA aur KARISHMA dono apni apno sides pe so gye.

Lijiye friends 2000+ words part aapke sabke naam. Please story ko aise hi pyaar dete rahiye.

Dosti🤝 Ka Saaya - Pyaar❤❤जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें