Hello friends. I am sorry ki maine kal koi update nhi kiya but I was really very very busy. Chaliye aaj ka part suru karte hai.
Agle din HASEENA ne uthkar dekha ki KARISHMA naha rahi thi. HASEENA niche Noor Ji ke paas gye.
HASEENA: Good morning ammi🙂.
Noor Ji: Good morning beta😊.
HASEENA: Ammi voh mujhe aapse kuchh kehna tha👉👈.
Noor Ji: Haa bol.
HASEENA: Ammi maine KARISHMA ko ek dress gift ki hai aapka naam lekar.
Noor ji: Theek hai. Agar KARISHMA mujhse puchhegi toh main bol dungi ki maine hi kaha tha tujhe😉.
HASEENA: Thank you ammi🤗.Kuchh der me KARISHMA nahakar niche aa gyi aur HASEENA collge ke liye ready hone apne room me chali gyi.
KARISHMA: Ammi😌...
Noor Ji: Ha bolo beta. Kuchh kehna tha??
KARISHMA: Haa ammi voh kal aapne ek dress di thi.
Noor Ji: Haa beta. Maine hi HASEENA ko kaha tha tumhe dress gift karne ke liye😊.
KARISHMA: Par ammi aap pehle hi itna sab kar chuke ho mere liye...
Noor Ji(cheek par hath rakhte hue): Beta hum sab tumhe apni beti mante hai. Agar tum hume apna nhi manti ho toh gift rakh lo.
KARISHMA: Ji ammi🥺.
Noor Ji(KARISHMA ke mathe par kiss karke): Chalo ab break fast kar lo nhi toh college ke liye late ho jaoge.
KARISHMA: Ji ammi☺️.HASEENA aur KARISHMA breakfast ke baad college chale gye. College ke gate pe unhe RAHUL mila.
RAHUL: Good morning HASEENA🙂. Hii KARISHMA😉.
HASEENA: Good morning😒. KARISHMA: Hi RAHUL🙂.
RAHUL: College ki taraf se last year students ke liye trip organise ki gyi hai. Maine tumhara naam bhi likhwa diya hai😉.
KARISHMA(HASEENA ki taraf dekhte hue): Are par ek baar mujhse puchh toh lete😕.
RAHUL: Isme puchhna kya hai?? Sabhi jaa rahe hai. DIVYA ne HASEENA ka naam bhi likhwa diya hai😏.
KARISHMA: Acha😤.
HASEENA: Par kyu??
RAHUL: Are chalo na tum dono bhi. Sirf ek raat aur do din ka trip hai.HASEENA[in mind-Huhh. Mujhe bhi trip par jana hoga. KARISHMA aur RAHUL ko ek dusre se alag rakhna hai.]: Theek hai. Main taiyaar hu.
KARISHMA[in mind-Hmm. DIVYA bhi trip pe jaa rahi aur HASEENA ne bhi haa kar di hai. Mujhe HASEENA ko DIVYA se bachana hai. Mujhe bhi jana hoga.]: Main bhi chalungi.
Iske baad dono class me apni seat pe baith gye. Tabhi ek student ne HASEENA ko bataya ki unki class incharge ne HASEENA ko staff room me bulaya hai. HASEENA staff room me chali gyi. HASEENA ne dekha ki staff room me aur bhi kuchh students the.
HASEENA: May I come in Mam🙂.
CI(Class Incharge): Yes HASEENA. Come in.
HASEENA: Yes Mam, Aapne bulaya tha🙄.
CI: Ha, Shehar me ek intercollege competition hone wala hai. Jisme har college ke students ke 3 projects submit honge.
Students: Ok Mam😀.
CI: Isliye hamare college ke top 3 positions wale project submit kiye jaayenge. Tum log apne apne project explain karne jaoge.
Students: Kab jana hai Mam🙄??
CI: First day of next month.
Students: Okay Mam.
CI: Ok. You can go.Sabhi students chale gye. HASEENA ne project explain karne ke liye KARISHMA ki help lene ka socha. Usne class me jaakar dekha toh use KARISHMA kahin nhi dikhi. Tabhi DIVYA ne use bataya ki KARISHMA library gyi hai.
HASEENA ne dekha ki library me kuchh hi students the. Tabhi HASEENA ne dekha ki KARISHMA ek seedhi jaise ek stool pe khadi thi aur upar ki shelves ke kuchh books le rahi thi.
HASEENA: KARISHMA yeh tum kya kar rahi ho😦??
KARISHMA: Kuchh books dhund rahi thi. Socha exam ke liye notes bana lu🙂.
HASEENA: Tum neeche utro. Gir jaogi😦.
KARISHMA(HASEENA ki taraf palatte hue): Are main kar lungi.Stool pe khade hue hi palatne ki wajah se KARISHMA ka balance bigad gya aur voh sidha HASEENA ke upar gir gyi. HASEENA ke upar girne ki wajah se KARISHMA ko koi chot nhi lagi par HASEENA ki kamar aur sir ke back side me chot lag gyi. HASEENA ko chot lagte dekhkar voh ghabra gyi. KARISHMA jaldi se uthi.
KARISHMA: HASEENA kya hua??Tum theek toh ho na?? Dikhao kahan lagi hai??
HASEENA: Main theek hu KARISHMA.Jaise hi yeh kehkar HASEENA ne uthne ki koshish ki uska sir dukhne laga. Dard ki wajah se HASEENA ne dobara apna sir pakad liya. HASEENA ko dard me dekhkar KARISHMA ki aankhon se aansoo behne lage.
KARISHMA: Kahan theek ho😢. Lete raho kuchh der please.Itna kehkar KARISHMA ne HASEENA ka sir apni god me rakh liya aur halke halke se massage karne lagi. Khud ki wajah se HASEENA ko dard me dekhkar KARISHMA bas roye jaa rahi thi. Use rote hue dekhkar HASEENA ko bahut pain ho raha tha.
HASEENA: KARISHMA please ro mat🥺. Main theek hu. Vaise ek baat kahu.
KARISHMA: Bo😢...lo😢.
HASEENA: Tum na bahut bhari ho. Tumhare girte hi aisa laga jaise koi chhota hathi mere upar gira ho😉.
KARISHMA: Acha beta. Abhi batati hu.Yeh kehkar KARISHMA HASEENA ko uske shoulder pe halke se marne lagi. Iske baad KARISHMA uthi aur HASEENA ko uthne me help ki. Kamar me lagne ki wajah se HASEENA ne apni kamar pe hath rakhkar dheere dheere chalna shuru kiya. Tabhi RAHUL bhi vahan aa gya.
RAHUL: Kya hua HASEENA?? Tum yeh pregnant lady ki tarah kyu chal rahe ho🤭🤭??
HASEENA: Kya kaha😠?
RAHUL: Aa....mera matlab hai aise kyu chal rahe ho😦??
KARISHMA: Actually sabse upar wali shlef se book nikalne ki koshish me main HASEENA ke upar gir gyi. Isliye HASEENA ko chot lag gyi.
RAHUL: Haye😏. Kash HASEENA ki jagah main hota🤔.
KARISHMA: Chup RAHUL. Har samay mazak acha nhi hota.Kuchh der baad dono class me jaakar baith gye. Shaam ko dono apne ghar chale gye.
So friends aaj ke liye itna hi. Second thing friends, Main ek aur story likhne ka soch rahi thi. So friends likhu ya nhi. Agar likhu toh kaisi story chahiye??
Love story, Friendship story ya mysterious story?? Bye 👋 friends.
आप पढ़ रहे हैं
Dosti🤝 Ka Saaya - Pyaar❤❤
Storie d'amoreAn unusual love story of three friends. Just start reading!!