CHAPTER 34 🥹

220 84 44
                                    

Hii friends. Chaliye aaj ka part shuru karte hai.

HASEENA(to herself): Nhi, KARISHMA ki ijazat ke bina use chhuna galat hoga. Par agar KARISHMA hi nhi bachi toh sahi galat ka kya karunga.

HASEENA soch hi rahi thi ki KARISHMA ki palkon me halchal hone lagi. Yeh dekhkar HASEENA ne dobara KARISHMA ke hath pair rub karne shuru kiye. Kuchh hi minutes me KARISHMA ko hosh aa gya. Hosh aate hi KARISHMA ne sabse pehle HASEENA kaha. Yeh dekhkar HASEENA ka dil bhar aaya aur usne KARISHMA ko seene se laga liya aur uske aansoo lagakar behne lage. KARISHMA abhi bhi HASEENA ko baahon me leti hui thi.
KARISHMA: Main theek hu HASEENA. Shant ho jaao.
HASEENA: Agar tumhe kuchh ho jata toh......
KARISHMA: Kuchh nhi hota mujhe. Tum jo ho mere paas mujhe bachane ke liye.
HASEENA: Isi baat ka galat fayda utha rahi ho tum. Agli baar tumhe bachane nhi aaunga main.
KARISHMA: Acha baba ab nhi karungi aisa. Sorry.
HASEENA: Theek hai. Last chance.
KARISHMA: Theek hai🥶.
HASEENA: Kya hua thand lag rahi hai??
KARISHMA: Ha🥶.
HASEENA: Chalo doctor ke paas chalte hai. Gaon me hi ek doctor hai.

Yeh kehte hue HASEENA apni jacket utar dete hai aur KARISHMA ko pehna dete hai. Iske baad HASEENA KARISHMA ko doctor ke paas le jate hai aur dawai dilate hai. Iske baad dono ghar aa jate hai. Ghar pe dadi unka intezaar kar rahi thi.
Dadi: KARISHMA beta tum akeli vahan talab ke paas kyu chali gyi thi??
KARISHMA: Dadi voh kuchh der akele rehna chahti thi.
Dadi: Beta akele mat Jaya Karo. Talab aage gehra hai. Doobne ka khatra rehta hai.
HASEENA(in mind): Almost doob gyi thi.
KARISHMA: Ji dadi.
Dadi: Jaao dono kapde badal lo.
HASEENA: Ji dadi.

Iske baad dono apne kamre me chale gye. Kuchh ghante baad sab dinner karte hai aur so jate hai.

Abhi itna hi hai friends. Aap sabko pta hi hai ki madam sir off air hone wala hai. Please Sony sub official youtube aur instagram pe #wewantmadamsir comments kijiye. Request hai. Please do it. Agle part kal subah aayega. Byee friends.

Dosti🤝 Ka Saaya - Pyaar❤❤जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें