Hii friends. Chaliye shuru kare.
KARISHMA ka yun HASEENA ko achanak se gale lagana HASEENA ke dil me ek nayi feeling jaga raha tha.
KARISHMA: Koi baat nhi HASEENA. Maafi mat maango. Mujhe toh ulta tumhe Thank you kehna chahiye.
HASEENA: Bhala voh kyu??
KARISHMA: Tumne mere liye itna kuchh kiya hai.
HASEENA: Tum bhi toh meri dadi ke liye itna bada natak kar rahi ho. Iske liye toh mujhe tumhe bada wala Thank you kehna chahiye.Dono ne hi ek dusre ko Thank you bola aur phir se gale liya. Par voh dono iss baat se anjaan the ki kisi ne unki sari baatein sun li thi.
Dadi jo ki KARISHMA se apni saree lene aayi thi. Unki baatein sunkar Dadi ko bahut dukh hua. Asal me Dadi ko KARISHMA pasand thi. Voh HASEENA aur KARISHMA ko hamesha sath dekhna chahte the.
Tabhi unhone darwaja khatkhataya. Dadi ko dekhkar dono agal hue.
HASEENA: Are dadi aap yahan.
Dadi: Kitni baar kaha hai darwaja band kar liya karo. Darwaja bhi itna kamal ka hai khatkhatane se hi khul jata hai.
KARISHMA: Dadi aapko kuchh chahiye tha?
Dadi: Haa shayad meri saree tumhare kapdo me aa gyi.
KARISHMA: Haa Dadi main bas dene aa hi rahi thi.
Dadi: Par HASEENA ne rok liya, hai na.
KARISHMA: Aisa nhi hai dadi.
Dadi: Aaj kal ke bacche toh badon ko pagal samajhte hain. Are main sab janti hu.
HASEENA: Dadi aapki saree.
Dadi: Haa haa le jaa rahi hu. Mujhe bhagane ke bahane dhund rahe hain.Phir dadi apni saree lekar chali gyi. Uske baad KARISHMA ne HASEENA ko project ka kaam explain kiya jo aaj usne college me padha tha. Thoda padhne ke baad voh dono so gye.
Agle din dono apne apne kaam karke college chale gye. Yun toh kai baar voh dono college sath gye the par aaj HASEENA ko KARISHMA ka uski bike par baithkar college jana bahut sukoon de raha tha. Aaj HASEENA RAHUL aur DIVYA project ki baki cheezein discuss kar rahe the aur KARISHMA Library me project ki extra information dhund rahi thi.
ROSHINI bhi HASEENA aur KARISHMA se milne aayi. HASEENA ko ROSHINI se haskar baat karte dekhkar DIVYA ko bahut gussa aa raha tha. DIVYA soch rahi thi ki KARISHMA kya kam thi jo ab yeh ROSHINI bhi aa gyi hai. Kuchh der baad college ki chhutti ho gyi.
HASEENA aur KARISHMA ghar jane se pehle boutique gye kyuki agle din Sunday tha aur Noor ji aur KARISHMA ko dadi ki di hui saree pehenni thi. Uske baad unhone market se pooja ka saman liya aur ghar aa gye. Ghar me sabne kal ki pooja ke liye taiyaari ki aur dinner karke sab so gye.
Agle din jab KARISHMA ne apni saree peheni toh dekha ki uska blouse almost backless tha. Dadi ne yhi saree pehanne ko kaha tha isliye usne majboori me pehen toh liya par pareshaani yeh thi ki ab blouse ki dori kaun bandhega.
KARISHMA ne bahut try kiya par bandh nhi payi. Tabhi HASEENA use bulane aa gyi.
HASEENA: Kya hua KARISHMA?KARISHMA pichhe palti toh HASEENA ne dekha ki uska blouse almost backless tha.
KARISHMA: Ab tumhi batao main kya karu?
HASEENA: Ek kaam karo, saree se back ko cover karlo. Ab change karne ka time bhi nhi hai.
KARISHMA: Theek hai par yeh dori? Ammi ko bula do please.
HASEENA: Par sab toh pooja me baith gye hai. Ab dadi kisi ko uthne nhi dengi.
KARISHMA: Ab kya karu?
HASEENA: Baitho main bandh du.Uske baad HASEENA ne KARISHMA ke blouse ki dori pakdi aur apni aankhein band kar li. Usne aankhein band karke hi blouse ki dori bandh di. KARISHMA ne HASEENA ko thanks kaha aur dono aakr pooja me baith gye.
Pooja hone ke baad Dadi aur Ashraf Ji apne kamre me chale gye. Noor Ji aur SANTOSH kitchen me kaam rahe the. HASEENA aur KARISHMA sara saman pooja ki jagah se uthane lage. Tabhi HASEENA ko ek call aaya aur voh baat karne bahar aa gyi.
KARISHMA kaam me itni busy thi ki use pta hi nhi chala ki kab uski saree ka ek chhor jalte diye par pad gya. HASEENA baat karke andar aayi toh uski nazar KARISHMA ke saree ke chhor par padi jisme aag lag chuki thi.
KARISHMA ke saree me aag lagte dekhkar HASEENA ne jor se awaj lagai "KARISHMA" aur uski taraf bhaagi. HASEENA ki awaj sunkar sab hall me aa gye aur aag dekhkar dar gye.
KARISHMA apne haathon se aag bhujane ki koshish kar rahi thi. HASEENA ne jaldi se mandir me se kalash uthaya aur sara pani KARISHMA ki saree par daal diya.
KARISHMA iss sabse itna dar gyi thi ki usse kuchh bolte nhi ban raha tha. HASEENA ne KARISHMA ko apni god me uthaya aur use apne kamre me le gyi. Uske baad HASEENA ne KARISHMA ke haathon par dawai lagai kyuki aag bhujate samay KARISHMA ke hath thode se jal gye the.
HASEENA ne KARISHMA ko kapde change kar lene ko kaha aur khud hall me aa gyi. Uske baad usne dadi se baat ki.
HASEENA: Dadi, Mujhe aapse kuchh kehna hai.
Dadi: Mujhe pta hai ki tujhe kya kehna hai. KARISHMA ko uss halat me dekhkar tu dar gyi thi.
HASEENA: Haa Dadi isiliye..
Dadi: Isiliye main KARISHMA ko saree pehenne se aazadi det hu.
HASEENA: Thank you Dadi.
Dadi: Koi baat nhi.Ab sab apna apna kaam rahe the. KARISHMA room me aaram kar rahi thi. Raat ko sabne dinner kiya. KARISHMA ke haath me dawai lage hone ki wajah se HASEENA ne use apne haath se khana khilaya. Uske baad sab so gye.
Kal koi part nhi aayega friends
आप पढ़ रहे हैं
Dosti🤝 Ka Saaya - Pyaar❤❤
RomanceAn unusual love story of three friends. Just start reading!!