Hello friends. Mujhe khushi hai ki aap sab ko story pasand aa rahi hai aur aap sab aage kya hoga janne ke liye excited hai. Thank you so much story ko itna pyar dene ke liye.
Aur mere right pair me sprain aa gya tha toh doctor ke paas janeki wajab se maine morning me koi update nhi diya. Ab raat ho gyi hai toh dusra update nhi aa paayega. Isliye yeh part long hai. Kal pakka do update aayenge. Toh chaliye shuru karte hai aaj ka part.
Ab HASEENA KARISHMA ko apne ghar le aayi thi. HASEENA ki family uske iss tarah unhe bina bataye shaadi karne se naraz thi. Abhi HASEENA ki family ko pura sach nhi pta tha.
HASEENA ne ghar pahunch kar door bell bajai toh uski ammi ne darwaja khola. HASEENA aur KARISHMA andar aaye toh HASEENA ki ammi ne bataya ki uske papa usse bahut naraz hain.
Uske baad HASEENA ne apni ammi ko sab bataya ki kaise voh MAYUR aur KARISHMA ki shaadi karwana chahti thi. Kaise VIRAJ ne MAYUR pe hamla karwaya. Kais KARISHMA ki safety ke liye usne KARISHMA se shaadi kar li. Sath hi usne hotel wali baat bhi bta di.
Tabhi HASEENA ke dad aur SANTOSH bahar se aaye. HASEENA ke dad bahut gusse me the. HASEENA ke paas jaakar unhone HASEENA ke gaal pe ek thappad raseed kar diya. Humne tujhe itni chhoot di aur tune kya kiya. Court marriage kar li. Hamare bare me ek baar bhi nhi socha.
Tabhi SANTOSH bol padi, Bhai ne shaadi kar li?? Kis se?? HASEENA ki family me se sirf uski ammi ne hi KARISHMA ko dekha tha. KARISHMA kabhi HASEENA ko dekhti aur kabhi uske papa ko. Voh sochne lagi ki uski wajah se yahan koi pareshaani khadi na ho jaaye. Isliye voh sar jhukaye chup chap khadi thi.
HASEENA ne apne dad ko bhi sab sach bataya aur KARISHMA ko ghar me rehne ki permission ke request ki. Sach jaanne ke baad unhone HASEENA se maafi mangte hue unki request maan li. HASEENA ne khush hokar unhe thank you kaha.
Yeh sab dekhkar KARISHMA ko apne mummy papa ki yaad aa gyi aur uski aankhein nam ho gyi. Uske baad Noor ji ne KARISHMA ki dressing change karne me help ki. Apne sath hi khana khila kar unhone KARISHMA ko sula diya.
Tab tak baki sab ne bhi dinner kar liya tha. SANTOSH sone chali gyi thi kyuki use agle din school jana tha. HASEENA aur uske mom dad hall me baithkar VIRAJ ke against case ke bare me baat kar rahe the.Tabhi unhe KARISHMA ki cheekh sunai di aur HASEENA guest room ki taraf bhaagi.
HASEENA ne dekha KARISHMA bed par dari hui baithi thi. KARISHMA ne jaise hi HASEENA ko dekha voh uske gale lagkar boli, HASEENA voh VIRAJ phir se aaya, Usne MAYUR ko maar diya, Voh tumhe bhi mujhse chheen lega. Itna kehte hi KARISHMA rone lagi.
Noor ji ne pehle KARISHMA ko pani pilaya aur phir use sambhalne lagi. Kuchh der baad KARISHMA shaant ho gyi. HASEENA ke dad ne HASEENA ki mom ko kuchh din KARISHMA ke sath sone ko kaha.
Noor ji Haa kehkar KARISHMA ke paas chali gyi aur KARISHMA ka sir apni god me rakhkar sehlane lagi. Jaldi hi KARISHMA ko nind aa gyi. Noor ji bhi KARISHMA ke sath hi so gyi.
Subah KARISHMA uthi toh khud ko ek naye kamre me dekh kar dar gyi. Uske baad use sab yaad aaya. Tabhi Noor ji KARISHMA ko jagane aayi aur use SANTOSH ke kuchh kapde dekar freshe n up hone ke liye bola.
15 minutes baad KARISHMA nahakar breakfast karne aayi. SANTOSH ka chudidaar suit uss par bahut fab raha tha. Breakfast ke baad SANTOSH school chali gyi. SANTOSH 12 me padhti hai.
HASEENA KARISHMA ko uske ghar le gyi kyuki KARISHMA ko kuchh kapde aur books leni thi. KARISHMA ne apna saman liya aur ghar ko lock kar diya kyuki KAMLI bhi apne ghar chali gyi thi.
Ab shaam ho gyi thi. HASEENA kisi dost ke ghar gyi thi. KARISHMA ka man nhi lag raha tha toh voh kitchen me chali gyi.
KARISHMA: Aunty kya main aapki kuchh madad kar sakti hu?
Noor Ji: Nahi beta tum aaram karo. Abhi kuchh kaam nhi sirf chai banani hai. Sab aate hi honge.
KARISHMA: Laiye Aunty. Main bana deti hu. Mujhe khana banana toh nhi aata par chai banana jaroor aata hai.
Noor Ji: Tumhari mummy bahut nek thi beta. Unki har seekh hamesha yaad rakhna.Apni mummy ke bare me sunkar KARISHMA ka dil bhar aaya. Tab tak HASEENA bhi ghar aa gyi. Tabhi SANTOSH kitchen me se chai lekar aayi. Uske sath hi ammi aur KARISHMA bhi aa gye.
SANTOSH: Bro lijiye chai.
HASEENA: Kya baat hai aaj tum chai lekar aayi ho.
SANTOSH: Banayi bhi maine hi hai.
HASEENA (Chai ka sip lekar): Aaj chai ammi ne toh nhi banayi aur tujhe toh pani garam karna bhi nhi aata. Yeh chai KARISHMA ne banayi hai.
SANTOSH: Badi jaldi pehchaan liya KARISHMA ji ki chai ko.
HASEENA (KARISHMA se): Chai achhi bani hai. Mere paas tumhare liye kuchh hai.HASEENA ne apne laptop me ek pendrive lagaya. Usme Annual function ke unke dance ke video aur kuchh photos the. Unn photos se KARISHMA thodi khush ho gyi.
HASEENA: Kaise hai photos aur videos.
KARISHMA: Bahut achhe hai.
HASEENA: Tum theek ho na KARISHMA.
KARISHMA: Haa pehle thoda udas thi par ab bilkul theek hu.
HASEENA: Bas yhi chahiye tha.Tabhi HASEENA ke dad ghar aa gye aur KARISHMA unke liye chai lekar aayi. Chai peekar HASEENA ke dad halka sa muskuraye toh HASEENA bhi khush ho gyi.
SANTOSH: Bro aap itne khush kyu ho.
HASEENA: Kuchh nhi hai. Jaa apna kaam kar.
SANTOSH: Pta nhi KARISHMA ji ne chai me kya dala hai. Jo bhi pee raha hai voh smile kar raha hai.
HASEENA: Chai toh tumne bhi pi thi.
SANTOSH: Haa par aap kuchh jyada hi muskura rahe ho.HASEENA aur SANTOSH ki yeh pyaar aur masti bhari bonding dekhkar KARISHMA bhi khush thi.
Kuchh der baad voh kitchen me gyi aur Noor ji se help ki request karne lagi.
KARISHMA: Aunty kya main bhi aapki help karu please?
Noor Ji: Tum padhai kar lo beta. Khana mai bana lungi.
KARISHMA: Please Aunty. Aapki help karke main bhi thoda seekh lungi.
Noor Ji: Theek hai tum sabji kaat do.KARISHMA hall me baithkar sabji kaatne lagi.
HASEENA: KARISHMA, sabji kaat rahi ho.
KARISHMA: Haa socha seekh lu.
HASEENA: Acha vaise aaloo ko chheela jata hai pehle.
KARISHMA: Ohh sorry. Mujhe pta nhi tha.
HASEENA: Koi baat nhi. Laao main tumhari help karu.Iske baad HASEENA ne jhat se aaloo chheel kar kaat diye. KARISHMA toh bas HASEENA ko dekhti hi reh gyi. Kuchh der baad dinner taiyaar ho gya. Sabne milkar dinner aur apne apne rooms me chale gye.
Thodi der baad Noor ji KARISHMA ke paas doodh lekar aayi.
Noor Ji: KARISHMA beta lo doodh pee lo.
KARISHMA: Par Aunty main doodh nhi piti.
Noor Ji: Peena chahiye beta. Chalo jaldi se piyo.
Noor Ji ka itna pyaar dekhkar KARISHMA ne doodh pee liya.
Noor Ji: Beta agar tum kaho toh main aaj bhi tumahre paas so sakti hu.
KARISHMA: Ab main theek hu Aunty. Ab aap fikar mat kijiye.
Noor Ji: Theek hai beta. Agar koi bhi pareshaani ho toh bina jhijhak ke kehna. Tum bhi meri beti jaisi ho.
Aaj tak mere do bacche the ab se teen hai.
KARISHMA ( khush hokar): Jii Aunty. Thank you.Bas itna hi friends.
Bye 👋
आप पढ़ रहे हैं
Dosti🤝 Ka Saaya - Pyaar❤❤
RomansaAn unusual love story of three friends. Just start reading!!